Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Qabil Ajmeri's Photo'

Qabil Ajmeri

1931 - 1962 | Hyderabad, Pakistan

Sher of Qabil Ajmeri

7.6K
Favorite

SORT BY

rañg-e-mahfil chāhtā hai ik mukammal inqalāb

chand sham.oñ ke bhaḌakne se sahar hotī nahīñ

rang-e-mahfil chahta hai ek mukammal inqalab

chand shamon ke bhaDakne se sahar hoti nahin

vaqt kartā hai parvarish barsoñ

hādisa ek dam nahīñ hotā

waqt karta hai parwarish barson

hadisa ek dam nahin hota

rāsta hai ki kaTtā jaatā hai

fāsla hai ki kam nahīñ hotā

rasta hai ki kaTta jata hai

fasla hai ki kam nahin hota

ab ye aalam hai ki ġham bhī ḳhabar hotī nahīñ

ashk bah jaate haiñ lekin aañkh tar hotī nahīñ

ab ye aalam hai ki gham ki bhi KHabar hoti nahin

ashk bah jate hain lekin aankh tar hoti nahin

kuchh der kisī zulf ke saa.e meñ Thahar jaa.eñ

'qābil' ġham-e-daurāñ abhī dhuup kaḌī hai

kuchh der kisi zulf ke sae mein Thahar jaen

'qabil' gham-e-dauran ki abhi dhup kaDi hai

zamāna dost hai kis kis ko yaad rakkhoge

ḳhudā kare ki tumheñ mujh se dushmanī ho jaa.e

zamana dost hai kis kis ko yaad rakkhoge

KHuda kare ki tumhein mujh se dushmani ho jae

tum na maano magar haqīqat hai

ishq insān zarūrat hai

tum na mano magar haqiqat hai

ishq insan ki zarurat hai

ham badalte haiñ ruḳh havāoñ

aa.e duniyā hamāre saath chale

hum badalte hain ruKH hawaon ka

aae duniya hamare sath chale

ham ne us ke lab o ruḳhsār ko chhū kar dekhā

hausle aag ko gulzār banā dete haiñ

hum ne us ke lab o ruKHsar ko chhu kar dekha

hausle aag ko gulzar bana dete hain

kitne shorīda-sar mohabbat meñ

ho ga.e kūcha-e-sanam ḳhaak

kitne shorida-sar mohabbat mein

ho gae kucha-e-sanam ki KHak

bahut kaam lene haiñ dard-e-jigar se

kahīñ zindagī ko qarār aa na jaa.e

bahut kaam lene hain dard-e-jigar se

kahin zindagi ko qarar aa na jae

tazād-e-jazbāt meñ ye nāzuk maqām aayā to kyā karoge

maiñ ro rahā huuñ tum hañs rahe ho maiñ muskurāyā to kyā karoge

tazad-e-jazbaat mein ye nazuk maqam aaya to kya karoge

main ro raha hun tum hans rahe ho main muskuraya to kya karoge

ġham-e-jahāñ ke taqāze shadīd haiñ varna

junūn-e-kūcha-e-dildār ham bhī rakhte haiñ

gham-e-jahan ke taqaze shadid hain warna

junun-e-kucha-e-dildar hum bhi rakhte hain

tum ko bhī shāyad hamārī justujū karnī paḌe

ham tumhārī justujū meñ ab yahāñ tak aa ga.e

tum ko bhi shayad hamari justuju karni paDe

hum tumhaari justuju mein ab yahan tak aa gae

hairatoñ ke silsile soz-e-nihāñ tak aa ga.e

ham nazar tak chāhte the tum to jaañ tak aa ga.e

hairaton ke silsile soz-e-nihan tak aa gae

hum nazar tak chahte the tum to jaan tak aa gae

un palkoñ par sitāre apne hoñToñ pe hañsī

qissa-e-ġham kahte kahte ham kahāñ tak aa ga.e

un ki palkon par sitare apne honTon pe hansi

qissa-e-gham kahte kahte hum kahan tak aa gae

ḳhud tumheñ chāk-e-garebāñ shu.ūr aa jā.egā

tum vahāñ tak aa to jaao ham jahāñ tak aa ga.e

KHud tumhein chaak-e-gareban ka shuur aa jaega

tum wahan tak aa to jao hum jahan tak aa gae

kuchh aur baḌh ga.ī hai añdheroñ zindagī

yuuñ bhī huā hai jashn-e-charāġhāñ kabhī kabhī

kuchh aur baDh gai hai andheron ki zindagi

yun bhi hua hai jashn-e-charaghan kabhi kabhi

ye gardish-e-zamāna hameñ kyā miTā.egī

ham haiñ tavāf-e-kūcha-e-jānāñ kiye hue

ye gardish-e-zamana hamein kya miTaegi

hum hain tawaf-e-kucha-e-jaanan kiye hue

ye sab rañgīniyāñ ḳhūn-e-tamannā se ibārat haiñ

shikast-e-dil na hotī to shikast-e-zindagī hotī

ye sab ranginiyan KHun-e-tamanna se ibarat hain

shikast-e-dil na hoti to shikast-e-zindagi hoti

mujhe to is darja vaqt-e-ruḳhsat sukūñ talqīn kar rahe ho

magar kuchh apne liye bhī sochā maiñ yaad aayā to kyā karoge

mujhe to is darja waqt-e-ruKHsat sukun ki talqin kar rahe ho

magar kuchh apne liye bhi socha main yaad aaya to kya karoge

abhī to tanqīd ho rahī hai mire mazāq-e-junūñ pe lekin

tumhārī zulfoñ barhamī savāl aayā to kyā karoge

abhi to tanqid ho rahi hai mere mazaq-e-junun pe lekin

tumhaari zulfon ki barhami ka sawal aaya to kya karoge

kaun yaad aa gayā azaañ ke vaqt

bujhtā jaatā hai dil charāġh jale

kaun yaad aa gaya azan ke waqt

bujhta jata hai dil charagh jale

koī dīvāna chāhe bhī to laġhzish kar nahīñ saktā

tire kūche meñ paañv laḌkhaḌānā bhuul jaate haiñ

koi diwana chahe bhi to laghzish kar nahin sakta

tere kuche mein panw laDkhaDana bhul jate hain

aaj junūñ ke Dhañg na.e haiñ

terī galī bhī chhūT na jaa.e

aaj junun ke Dhang nae hain

teri gali bhi chhuT na jae

aaj 'qābil' mai-kade meñ inqalāb aane ko hai

ahl-e-dil andesha-e-sūd-o-ziyāñ tak aa ga.e

aaj 'qabil' mai-kade mein inqalab aane ko hai

ahl-e-dil andesha-e-sud-o-ziyan tak aa gae

kūcha-e-yār markaz-e-anvār

apne dāman meñ dasht-e-ġham ḳhaak

kucha-e-yar markaz-e-anwar

apne daman mein dasht-e-gham ki KHak

vo har maqām se pahle vo har maqām ke baad

sahar thī shaam se pahle sahar hai shaam ke baad

TRANSLATION

Before every destination was she, after every destination she is,

The dawn was before evening, and after evening the dawn is.

Sagar Akbarabadi

wo har maqam se pahle wo har maqam ke baad

sahar thi sham se pahle sahar hai sham ke baad

TRANSLATION

Before every destination was she, after every destination she is,

The dawn was before evening, and after evening the dawn is.

Sagar Akbarabadi

din chhupā aur ġham ke saa.e Dhale

aarzū ke na.e charāġh jale

din chhupa aur gham ke sae Dhale

aarzu ke nae charagh jale

maiñ apne ġham-ḳhāna-e-junūñ meñ

tumheñ bulānā bhī jāntā huuñ

main apne gham-KHana-e-junun mein

tumhein bulana bhi jaanta hun

tumhārī galiyoñ meñ phir rahā huuñ

ḳhayāl-e-rasm-e-vafā hai varna

tumhaari galiyon mein phir raha hun

KHayal-e-rasm-e-wafa hai warna

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now