aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rais Amrohvi's Photo'

Rais Amrohvi

1914 - 1988 | Karachi, Pakistan

Sher of Rais Amrohvi

3.3K
Favorite

SORT BY

ḳhāmosh zindagī jo basar kar rahe haiñ ham

gahre samundaroñ meñ safar kar rahe haiñ ham

KHamosh zindagi jo basar kar rahe hain hum

gahre samundaron mein safar kar rahe hain hum

sirf tārīḳh raftār badal jā.egī

na.ī tārīḳh ke vāris yahī insāñ hoñge

sirf tariKH ki raftar badal jaegi

nai tariKH ke waris yahi insan honge

ham apnī zindagī to basar kar chuke 'ra.īs'

ye kis ziist hai jo basar kar rahe haiñ ham

hum apni zindagi to basar kar chuke 'rais'

ye kis ki zist hai jo basar kar rahe hain hum

aadmī talāsh meñ hai ḳhudā

aadmī ko ḳhudā nahīñ miltā

aadmi ki talash mein hai KHuda

aadmi ko KHuda nahin milta

pahle ye shukr ki ham hadd-e-adab se na baḌhe

ab ye shikva ki sharāfat ne kahīñ na rakhā

pahle ye shukr ki hum hadd-e-adab se na baDhe

ab ye shikwa ki sharafat ne kahin ka na rakha

apne ko talāsh kar rahā huuñ

apnī talab se Dar rahā huuñ

apne ko talash kar raha hun

apni hi talab se Dar raha hun

kis ne dekhe haiñ tirī ruuh ke riste hue zaḳhm

kaun utrā hai tire qalb gahrā.ī meñ

kis ne dekhe hain teri ruh ke riste hue zaKHm

kaun utra hai tere qalb ki gahrai mein

abhī se shikva-e-past-o-buland ham-safro

abhī to raah bahut saaf hai abhī kyā hai

abhi se shikwa-e-past-o-buland ham-safro

abhi to rah bahut saf hai abhi kya hai

pahle bhī ḳharāb thī ye duniyā

ab aur ḳharāb ho ga.ī hai

pahle bhi KHarab thi ye duniya

ab aur KHarab ho gai hai

Tahnī pe ḳhamosh ik parinda

maazī ke ulaT rahā hai daftar

Tahni pe KHamosh ek parinda

mazi ke ulaT raha hai daftar

ab dil ye shakl ho ga.ī hai

jaise koī chiiz kho ga.ī hai

ab dil ki ye shakl ho gai hai

jaise koi chiz kho gai hai

sadiyoñ tak ehtimām-e-shab-e-hijr meñ rahe

sadiyoñ se intizār-e-sahar kar rahe haiñ ham

sadiyon tak ehtimam-e-shab-e-hijr mein rahe

sadiyon se intizar-e-sahar kar rahe hain hum

dil ka.ī roz se dhaḌaktā hai

hai kisī hādse tayyārī

dil kai roz se dhaDakta hai

hai kisi hadse ki tayyari

ham apne hāl-e-pareshāñ pe bārhā ro.e

aur us ke ba.ad hañsī ham ko bārhā aa.ī

hum apne haal-e-pareshan pe barha roe

aur us ke baad hansi hum ko barha aai

ye karbalā hai nazr-e-balā ham hue ki tum

nāmūs-e-qāfila pe fidā ham hue ki tum

ye karbala hai nazr-e-bala hum hue ki tum

namus-e-qafila pe fida hum hue ki tum

dil se mat sarsarī guzar ki 'ra.īs'

ye zamīñ āsmāñ se aatī hai

dil se mat sarsari guzar ki 'rais'

ye zamin aasman se aati hai

chand benām-o-nishāñ qabroñ

maiñ azā-dār huuñ hai mirā dil

chand benam-o-nishan qabron ka

main aza-dar hun ya hai mera dil

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now