Sher of Rasheed lakhnavi
zindagī kahte haiñ kis ko maut kis kā naam hai
mehrbānī aap kī nā-meharbānī aap kī
what is labeled living, how is death defined
Finding your favour, when you are unkind
zindagi kahte hain kis ko maut kis ka nam hai
mehrbani aap ki na-meharbani aap ki
what is labeled living, how is death defined
Finding your favour, when you are unkind
-
Tag : Mehboob
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
hañs hañs ke kah rahā hai jalānā savāb hai
zālim ye merā dil hai charāġh-e-haram nahīñ
hans hans ke kah raha hai jalana sawab hai
zalim ye mera dil hai charagh-e-haram nahin
hamārī zindagī-o-maut kī ho tum raunaq
charāġh-e-bazm bhī ho aur charāġh-e-fan bhī ho
hamari zindagi-o-maut ki ho tum raunaq
charagh-e-bazm bhi ho aur charagh-e-fan bhi ho
donoñ āñkheñ dil jigar haiñ ishq hone meñ sharīk
ye to sab achchhe raheñge mujh par ilzām aa.egā
donon aankhen dil jigar hain ishq hone mein sharik
ye to sab achchhe rahenge mujh par ilzam aaega
intizār aap kā aisā hai ki dam kahtā hai
nigah-e-shauq huuñ āñkhoñ se nikal jā.ūñgā
intizar aap ka aisa hai ki dam kahta hai
nigah-e-shauq hun aankhon se nikal jaunga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum ne ehsān kiyā hai ki namak chhiḌkā hai
ab mujhe zaḳhm-e-jigar aur mazā dete haiñ
tum ne ehsan kiya hai ki namak chhiDka hai
ab mujhe zaKHm-e-jigar aur maza dete hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ga.e the hazrat-e-zāhid to zard thā chehra
sharāb-ḳhāne se nikle to surḳh-rū nikle
gae the hazrat-e-zahid to zard tha chehra
sharab-KHane se nikle to surKH-ru nikle
huā hai saḳht mushkil dafan honā tere vahshī kā
jahāñ par qabr khodī jaatī hai patthar nikalte haiñ
hua hai saKHt mushkil dafan hona tere wahshi ka
jahan par qabr khodi jati hai patthar nikalte hain
ai gul-andām ye hai fasl-e-javānī kā uruuj
husn kā rañg Tapakne ko hai ruḳhsāroñ se
ai gul-andam ye hai fasl-e-jawani ka uruj
husn ka rang Tapakne ko hai ruKHsaron se
apnī vahshat se hai shikva dūsre se kyā gila
ham se jab baiThā na jaa.e kū-e-jānāñ kyā kare
apni wahshat se hai shikwa dusre se kya gila
hum se jab baiTha na jae ku-e-jaanan kya kare
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
butoñ ke dil meñ hamārī kuchh ab huī hai jagah
ḳhudā ne rahm kiyā varna mar ga.e hote
buton ke dil mein hamari kuchh ab hui hai jagah
KHuda ne rahm kiya warna mar gae hote
nahīñ hai jis meñ terā ishq vo dil hai tabāhī meñ
vo kashtī Duub jā.egī na jis meñ nā-ḳhudā hogā
nahin hai jis mein tera ishq wo dil hai tabahi mein
wo kashti Dub jaegi na jis mein na-KHuda hoga
qaid kī muddat baḌhī chhuTne kī jab tadbīr kī
rose badlī jaatī haiñ kaḌiyāñ mirī zanjīr kī
qaid ki muddat baDhi chhuTne ki jab tadbir ki
rose badli jati hain kaDiyan meri zanjir ki
siye jaate haiñ kafan aap ke dīvānoñ ke
taar dāman ke haiñ TukḌe haiñ garebānoñ ke
siye jate hain kafan aap ke diwanon ke
tar daman ke hain TukDe hain garebanon ke
sabhoñ kī aa ga.ī piirī jo tum javān hue
zamīñ kā dil huā miTTī ḳham āsmān hue
sabhon ki aa gai piri jo tum jawan hue
zamin ka dil hua miTTi KHam aasman hue
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dekhiye lāzim-o-malzūm ise kahte haiñ
dil hai dāġhoñ ke liye daaġh mire dal ke liye
dekhiye lazim-o-malzum ise kahte hain
dil hai daghon ke liye dagh mere dal ke liye
ma.ashūq kaun sā hai na ho dil meñ jis kī yaad
is muḳhtasar se baaġh meñ kis gul kī bū nahīñ
mashuq kaun sa hai na ho dil mein jis ki yaad
is muKHtasar se bagh mein kis gul ki bu nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kabhī madfūn hue the jis jagah par kushta-e-abrū
abhī tak is zamīñ se saikḌoñ ḳhanjar nikalte haiñ
kabhi madfun hue the jis jagah par kushta-e-abru
abhi tak is zamin se saikDon KHanjar nikalte hain
raas aa.e tum ko mulk-e-ishq kī āb-o-havā
āshiqo har-vaqt shaġhl-e-āh-o-zārī chāhiye
ras aae tum ko mulk-e-ishq ki aab-o-hawa
aashiqo har-waqt shaghl-e-ah-o-zari chahiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil hai shauq-e-vasl meñ muztar nazar mushtāq-e-dīd
jo hai mashġhūl apnī apnī sa.i-e-lā-hāsil meñ hai
dil hai shauq-e-wasl mein muztar nazar mushtaq-e-did
jo hai mashghul apni apni sai-e-la-hasil mein hai
sazā har ek ko dene lagī hayā un kī
ki chaak ho ga.ī lipTī jahāñ qabā in kī
saza har ek ko dene lagi haya un ki
ki chaak ho gai lipTi jahan qaba in ki
vo gesū baḌhte jaate haiñ balā.eñ hotī haiñ nāzil
qadam tak aa ga.e jab hashr aalam meñ bapā hogā
wo gesu baDhte jate hain balaen hoti hain nazil
qadam tak aa gae jab hashr aalam mein bapa hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hamesha be-dilī kī kījiye kyūñkar na dildārī
na honā paas dil kā hai nishānī ek dilbar kī
hamesha be-dili ki kijiye kyunkar na dildari
na hona pas dil ka hai nishani ek dilbar ki
ḳhudā jaane ye gardish kā tarīqa kab nikālā hai
jise kahte haiñ gardūñ ik mire paañv kā chhālā hai
KHuda jaane ye gardish ka tariqa kab nikala hai
jise kahte hain gardun ek mere panw ka chhaala hai
jo merī chashm ke parde sharīk ho jaate
kamāl-e-dāman-e-abr-e-bahār baḌh jaatā
jo meri chashm ke parde sharik ho jate
kamal-e-daman-e-abr-e-bahaar baDh jata
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download