Sher of Saail Dehlvi
hamesha ḳhūn-e-dil royā huuñ maiñ lekin salīqe se
na qatra āstīñ par hai na dhabbā jaib o dāman par
hamesha KHun-e-dil roya hun main lekin saliqe se
na qatra aastin par hai na dhabba jaib o daman par
haiñ e'tibār se kitne gire hue dekhā
isī zamāne meñ qisse isī zamāne ke
hain e'tibar se kitne gire hue dekha
isi zamane mein qisse isi zamane ke
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ma.alūm nahīñ kis se kahānī mirī sun lī
bhātā hī nahīñ ab unheñ afsāna kisī kā
malum nahin kis se kahani meri sun li
bhata hi nahin ab unhen afsana kisi ka
aah kartā huuñ to aate haiñ pasīne un ko
naala kartā huuñ to rātoñ ko vo Dar jaate haiñ
aah karta hun to aate hain pasine un ko
nala karta hun to raaton ko wo Dar jate hain
jhaḌī aisī lagā dī hai mire ashkoñ kī bārish ne
dabā rakkhā hai bhādoñ ko bhulā rakkhā hai sāvan ko
jhaDi aisi laga di hai mere ashkon ki barish ne
daba rakkha hai bhadon ko bhula rakkha hai sawan ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhat-e-shauq ko paḌh ke qāsid se bole
ye hai kaun dīvāna ḳhat likhne vaalā
KHat-e-shauq ko paDh ke qasid se bole
ye hai kaun diwana KHat likhne wala
mohtasib tasbīh ke dānoñ pe ye gintā rahā
kin ne pī kin ne na pī kin kin ke aage jaam thā
mohtasib tasbih ke danon pe ye ginta raha
kin ne pi kin ne na pi kin kin ke aage jam tha
shabāb kar diyā merā tabāh ulfat ne
ḳhizāñ ke haath kī boī huī bahār huuñ maiñ
shabab kar diya mera tabah ulfat ne
KHizan ke hath ki boi hui bahaar hun main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye masjid hai ye mai-ḳhāna ta.ajjub is par aatā hai
janāb-e-shaiḳh kā naqsh-e-qadam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ye masjid hai ye mai-KHana tajjub is par aata hai
janab-e-shaiKH ka naqsh-e-qadam yun bhi hai aur yun bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mohabbat meñ jiinā na.ī baat hai
na marnā bhī mar kar karāmāt hai
TRANSLATION
To live in love, is a novel spectacle,
Not to die even in death is a miracle.
Sagar Akbarabadi
mohabbat mein jina nai baat hai
na marna bhi mar kar karamat hai
TRANSLATION
To live in love, is a novel spectacle,
Not to die even in death is a miracle.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
janāb-e-shaiḳh mai-ḳhāne meñ baiThe haiñ barahna-sar
ab un se kaun pūchhe aap ne pagḌī kahāñ rakh dī
janab-e-shaiKH mai-KHane mein baiThe hain barahna-sar
ab un se kaun puchhe aap ne pagDi kahan rakh di
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tumheñ parvā na ho mujh ko to jins-e-dil kī parvā hai
kahāñ DhūñDūñ kahāñ pheñkī kahāñ dekhūñ kahāñ rakh dī
tumhein parwa na ho mujh ko to jins-e-dil ki parwa hai
kahan DhunDun kahan phenki kahan dekhun kahan rakh di
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
khil ga.ī sham.a tirī saarī karāmāt-e-jamāl
dekh parvāne kidhar khol ke par jaate haiñ
khil gai shama teri sari karamat-e-jamal
dekh parwane kidhar khol ke par jate hain
tum aao marg-e-shādī hai na aao marg-e-nākāmī
nazar meñ ab rah-e-mulk-e-adam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
tum aao marg-e-shadi hai na aao marg-e-nakaami
nazar mein ab rah-e-mulk-e-adam yun bhi hai aur yun bhi