Sher of Sarfraz Zahid
mohabbat aam sā ik vāqi.a thā
hamāre saath pesh aane se pahle
mohabbat aam sa ek waqia tha
hamare sath pesh aane se pahle
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
lamha itnī gunjā.ish rakhtā hai ḳhud meñ
aap us meñ aane se pahle jā sakte haiñ
lamha itni gunjaish rakhta hai KHud mein
aap us mein aane se pahle ja sakte hain
aañsū nahīñ banā so ham ne
ujlat meñ qahqaha banāyā
aansu nahin bana so hum ne
ujlat mein qahqaha banaya
kuñ.eñ kī samt bulā le na koī ḳhvāb mujhe
maiñ apne baap kā sab se hasīn beTā huuñ
kunen ki samt bula le na koi KHwab mujhe
main apne bap ka sab se hasin beTa hun
saal guzar jaatā hai saarā
aur calender rah jaatā hai
sal guzar jata hai sara
aur calender rah jata hai
-
Tag : New Year
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo ek ḳhvāb meñ mere qarīb aa.e agar
maiñ saare shahar kī nīndeñ ḳharīd saktā huuñ
wo ek KHwab mein mere qarib aae agar
main sare shahar ki ninden KHarid sakta hun
sab ko qudrat thī ḳhush-kalāmī par
ḳhāmushī meñ zabāñ-darāz thā maiñ
sab ko qudrat thi KHush-kalami par
KHamushi mein zaban-daraaz tha main
gale lag kar ham us k ḳhuub ro.e
ḳhushī ik din milī thī raah chalte
gale lag kar hum us k KHub roe
KHushi ek din mili thi rah chalte
zinda ikaTThe ho rahe haiñ
lagtā hai koī mar gayā hai
zinda ikaTThe ho rahe hain
lagta hai koi mar gaya hai
khiḌkī se jhāñk kar kisī ne
manzar ko vāqi.a banāyā
khiDki se jhank kar kisi ne
manzar ko waqia banaya
dukh se do-chār saal chhoTā huuñ
hijr se ek din baḌā huuñ maiñ
dukh se do-chaar sal chhoTa hun
hijr se ek din baDa hun main
qīmat mire sone kī vahāñ ḳhaak lagegī
ho ḳhaak kī qīmat jahāñ sone k barābar
qimat mere sone ki wahan KHak lagegi
ho KHak ki qimat jahan sone k barabar
mohabbat aam sā ik vāqi.a thā
hamāre saath pesh aane se pahle
mohabbat aam sa ek waqia tha
hamare sath pesh aane se pahle
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raushnī un dinoñ keī baat hai jab
de rahā thā koī dikhā.ī hameñ
raushni un dinon kei baat hai jab
de raha tha koi dikhai hamein
namī jagah banā rahī hai aañkh meñ
ye tiir ab kamān se nikāliye
nami jagah bana rahi hai aankh mein
ye tir ab kaman se nikaliye
-
Tag : Teer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik adāvat se farāġhat nahīñ miltī varna
kaun kahtā hai mohabbat nahīñ kar sakte ham
ek adawat se faraghat nahin milti warna
kaun kahta hai mohabbat nahin kar sakte hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek rim-jhim sī kaifiyat k baad
mūslā-dhār ho rahā huuñ maiñ
ek rim-jhim si kaifiyat k baad
musla-dhaar ho raha hun main
kuñ.eñ kī samt bulā le na koī ḳhvāb mujhe
maiñ apne baap kā sab se hasīn beTā huuñ
kunen ki samt bula le na koi KHwab mujhe
main apne bap ka sab se hasin beTa hun
aa rahā huuñ nasīhateñ le kar
us se kahnā abhī javān rahe
aa raha hun nasihaten le kar
us se kahna abhi jawan rahe
ḳharīdāroñ meñ bhagdaḌ mach ga.ī hai
ham apne daam batlāne lage haiñ
KHaridaron mein bhagdaD mach gai hai
hum apne dam batlane lage hain
ham ko misrā k tañg siine meñ
aah bharne kā tajraba hai miyāñ
hum ko misra k tang sine mein
aah bharne ka tajraba hai miyan
ye jo tālāb hai dariyā thā kabhī
maiñ yahāñ baiTh k rotā thā kabhī
ye jo talab hai dariya tha kabhi
main yahan baiTh k rota tha kabhi
dukh se do chaar saal chhoTā huuñ
hijr se ek din baḌā huuñ
dukh se do chaar sal chhoTa hun
hijr se ek din baDa hun
sunā hai koī dīvāna yahāñ par
rahā kartā thā vīrāne se pahle
suna hai koi diwana yahan par
raha karta tha virane se pahle
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ tire daa.eñ baa.eñ rahtā huuñ
ai mire sāmne kī majbūrī
main tere daen baen rahta hun
ai mere samne ki majburi
aap agar samjhā deñ ḳhāl-o-ḳhad manzar k
ham apnī hairat kā naam batā sakte haiñ
aap agar samjha den KHal-o-KHad manzar k
hum apni hairat ka nam bata sakte hain
ik adāvat se farāġhat nahīñ miltī varna
kaun kahtā hai mohabbat nahīñ kar sakte ham
ek adawat se faraghat nahin milti warna
kaun kahta hai mohabbat nahin kar sakte hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aañsū nahīñ banā so ham ne
ujlat meñ qahqaha banāyā
aansu nahin bana so hum ne
ujlat mein qahqaha banaya
zabāñ pe tauba kī te kis taraf se aa niklī
abhī gilās meñ baaqī sharāb keī be hai
zaban pe tauba ki te kis taraf se aa nikli
abhi gilas mein baqi sharab kei be hai