Sher of Sharaf Mujaddidi
is parde meñ ye husn kā aalam hai ilāhī
be-parda vo ho jaa.eñ to kyā jāniye kyā ho
is parde mein ye husn ka aalam hai ilahi
be-parda wo ho jaen to kya jaaniye kya ho
terī āñkheñ jise chāheñ use apnā kar leñ
kaash aisā hī sikhā deñ koī afsūñ mujh ko
teri aankhen jise chahen use apna kar len
kash aisa hi sikha den koi afsun mujh ko
allāh allāh ḳhusūsiyyat-e-zāt-e-hasnain
saarī ummat ke haiñ potoñ se navāse baḌh kar
allah allah KHususiyyat-e-zat-e-hasnain
sari ummat ke hain poton se nawase baDh kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil meñ mire jigar meñ mire aañkh meñ mirī
har jā hai dost aur nahīñ miltī hai jā-e-dost
dil mein mere jigar mein mere aankh mein meri
har ja hai dost aur nahin milti hai ja-e-dost
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tamām chāragaroñ se to mil chukā hai javāb
tumheñ bhī dard-e-mohabbat sunā.e dete haiñ
tamam chaaragaron se to mil chuka hai jawab
tumhein bhi dard-e-mohabbat sunae dete hain
hazrat-e-nāseh bhī mai piine lage
ab mujhe samjhāne vaalā kaun thā
hazrat-e-naseh bhi mai pine lage
ab mujhe samjhane wala kaun tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jī meñ aatā hai ki phūloñ kī uḌā duuñ ḳhushbū
rañg uḌā laa.e haiñ zālim tirī ra.anā.ī kā
ji mein aata hai ki phulon ki uDa dun KHushbu
rang uDa lae hain zalim teri ranai ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pārsā ban ke sū-e-mai-ḳhāna
sar jhukā.e hue ham jaate haiñ
parsa ban ke su-e-mai-KHana
sar jhukae hue hum jate hain
tasavvur ne tire ābād jab se ghar kiyā merā
nikaltā hī nahīñ din raat apne ghar meñ rahtā hai
tasawwur ne tere aabaad jab se ghar kiya mera
nikalta hi nahin din raat apne ghar mein rahta hai
jis ko chāhā tū ne us ko mil gayā
varna tujh ko paane vaalā kaun thā
jis ko chaha tu ne us ko mil gaya
warna tujh ko pane wala kaun tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duḳht-e-raz aur tū kahāñ miltī
khīñch laa.e sharāb-ḳhāne se
duKHt-e-raz aur tu kahan milti
khinch lae sharab-KHane se
-
Tag : Maikada
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
qadmoñ pe girā to haT ke bole
andhā hai to dekhtā nahīñ hai
qadmon pe gira to haT ke bole
andha hai to dekhta nahin hai
kam-sinī jin kī hameñ yaad hai aur kal kī hī baat
aaj unheñ dekhiye kyā ho ga.e kyā se baḌh kar
kam-sini jin ki hamein yaad hai aur kal ki hi baat
aaj unhen dekhiye kya ho gae kya se baDh kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ushshāq ke aage na laḌā ġhairoñ se āñkheñ
Dar hai ki na ho jaa.e laḌā.ī tire dar par
ushshaq ke aage na laDa ghairon se aankhen
Dar hai ki na ho jae laDai tere dar par
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab to mai-ḳhānoñ se bhī kuchh baḌh kar
jaam chalte haiñ ḳhānqāhoñ meñ
ab to mai-KHanon se bhi kuchh baDh kar
jam chalte hain KHanqahon mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
intihā-e-ma.arifat se ai 'sharaf'
maiñ ne jo dekhā jo samjhā kuchh na thā
intiha-e-marifat se ai 'sharaf'
main ne jo dekha jo samjha kuchh na tha
ālam-e-ishq meñ allāh-re nazar kī vus.at
nuqta-e-vahm huā gumbad-e-gardūñ mujh ko
aalam-e-ishq mein allah-re nazar ki wusat
nuqta-e-wahm hua gumbad-e-gardun mujh ko
shaiḳh kuchh apne-āp ko samjheñ
mai-kashoñ kī nazar meñ kuchh bhī nahīñ
shaiKH kuchh apne-ap ko samjhen
mai-kashon ki nazar mein kuchh bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duḳht-e-raz zāhid se bolī mujh se ghabrāte ho kyuuñ
kyā tumhīñ ho pāk-dāman pārsā maiñ bhī to huuñ
duKHt-e-raz zahid se boli mujh se ghabraate ho kyun
kya tumhin ho pak-daman parsa main bhi to hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pāmāliyoñ kā ziina hai arsh se bhī ūñchā
dil us kī raah meñ hai kyā sarfarāz merā
pamaliyon ka zina hai arsh se bhi uncha
dil us ki rah mein hai kya sarfaraaz mera
hairat meñ huuñ ilāhī kyūñ-kar ye ḳhatm hogā
kotāh roz-e-mahshar qissa darāz merā
hairat mein hun ilahi kyun-kar ye KHatm hoga
kotah roz-e-mahshar qissa daraaz mera
ek ko ek nahīñ rashk se marne detā
ye nayā kūcha-e-qātil meñ tamāshā dekhā
ek ko ek nahin rashk se marne deta
ye naya kucha-e-qatil mein tamasha dekha