Sher of Sujit Sahgal Haasil
kal tak jo kuchh na thā mirā īmān ho gayā
ik 'aam aadmī se maiñ insān ho gayā
kal tak jo kuchh na tha mera iman ho gaya
ek 'am aadmi se main insan ho gaya
jab ye panne kitāboñ ke gal jā.eñge
mol bhī kyā kahānī ke Dhal jā.eñge
jab ye panne kitabon ke gal jaenge
mol bhi kya kahani ke Dhal jaenge
rok ke apnī aañkh ke aañsū hañs kar us ko ruḳhsat dī
tab samjhe haiñ yaaro ham bhī shahnā.ī kyā hotī hai
rok ke apni aankh ke aansu hans kar us ko ruKHsat di
tab samjhe hain yaro hum bhi shahnai kya hoti hai
mujh ko joḌā hai toḌ kar ḳhud ko
us ne mujh ko bikhartā paayā jab
mujh ko joDa hai toD kar KHud ko
us ne mujh ko bikharta paya jab
mujh ko joḌā hai toḌ kar ḳhud ko
us ne mujh ko bikhartā paayā jab
mujh ko joDa hai toD kar KHud ko
us ne mujh ko bikharta paya jab
yuuñ imtihān merā lete rahe masā.il
ik haath par thā dariyā ik haath par thā sāhil
yun imtihan mera lete rahe masail
ek hath par tha dariya ek hath par tha sahil
ho ga.e bebas ka.ī ustād bhī hālāt se
bik rahī chhup-chhup ke yuuñ har roz bechārī ġhazal
ho gae bebas kai ustad bhi haalat se
bik rahi chhup-chhup ke yun har roz bechaari ghazal
un ko har zulm par du'ā.eñ diiñ
sabr kī aur intihā kyā hai
un ko har zulm par du'aen din
sabr ki aur intiha kya hai
jab ye panne kitāboñ ke gal jā.eñge
mol bhī kyā kahānī ke Dhal jā.eñge
jab ye panne kitabon ke gal jaenge
mol bhi kya kahani ke Dhal jaenge
dekh terī sohbatoñ kā kyā asar aayā hai aaj
ek āvāra parinda phir se ghar aayā hai aaj
dekh teri sohbaton ka kya asar aaya hai aaj
ek aawara parinda phir se ghar aaya hai aaj
chhū bhī letī hai musībat gar mirī dahlīz ko
ek zarra huuñ magar chaTTān ho jaatā huuñ maiñ
chhu bhi leti hai musibat gar meri dahliz ko
ek zarra hun magar chaTTan ho jata hun main