Sher of Tarkash Pradeep
ham to kahte haiñ mohabbat meñ mazā hai hī nahīñ
aap kahte haiñ to phir maan liyā jaatā hai
hum to kahte hain mohabbat mein maza hai hi nahin
aap kahte hain to phir man liya jata hai
aur bhaTkeñge to kuchh aur nayā dekheñge
ham to āvāra parinde haiñ hamārā kyā hai
aur bhaTkenge to kuchh aur naya dekhenge
hum to aawara parinde hain hamara kya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pāgal vahshī tanhā tanhā ujḌā ujḌā dikhtā huuñ
kitne ā.īne badle haiñ maiñ vaise kā vaisā huuñ
pagal wahshi tanha tanha ujDa ujDa dikhta hun
kitne aaine badle hain main waise ka waisa hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
banātā huuñ maiñ tasavvur meñ us kā chehra magar
har ek baar na.ī kā.enāt bantī hai
banata hun main tasawwur mein us ka chehra magar
har ek bar nai kaenat banti hai
aaj phir ḳhud se ḳhafā huuñ to yahī kartā huuñ
aaj phir ḳhud se koī baat nahīñ kartā maiñ
aaj phir KHud se KHafa hun to yahi karta hun
aaj phir KHud se koi baat nahin karta main
-
Tag : Khafa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merā piñjra khol diyā hai tum bhī ajiib shikārī ho
apne hī par kaaT liye haiñ maiñ bhī ajiib parinda huuñ
mera pinjra khol diya hai tum bhi ajib shikari ho
apne hi par kaT liye hain main bhi ajib parinda hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab to maiñ aur bhī burā huuñ ki
ab ziyāda sudhar gayā huuñ maiñ
ab to main aur bhi bura hun ki
ab ziyaada sudhar gaya hun main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tujhe gale se lagā ke bhī dekhā jā.egā
abhī to mujh ko tirā intizār karnā hai
tujhe gale se laga ke bhi dekha jaega
abhi to mujh ko tera intizar karna hai
-
Tag : Intezar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yuuñ apne aap ko barbād kartā hai koī
ai mere dil tū samajhdār hai nahīñ hai kyā
yun apne aap ko barbaad karta hai koi
ai mere dil tu samajhdar hai nahin hai kya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum ne to aap hī pinjre ko khulā chhoḌ diyā
koī aise bhī parindoñ ko rihā kartā hai
tum ne to aap hi pinjre ko khula chhoD diya
koi aise bhi parindon ko riha karta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
husn hotā hai kisī shai kā koī apnā hī
aur phir dekhne vaale kī nazar hotī hai
husn hota hai kisi shai ka koi apna hi
aur phir dekhne wale ki nazar hoti hai
-
Tag : Husn
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhuub mushkil hai par āsān liyā jaatā hai
kitnā halke meñ ye insān liyā jaatā hai
KHub mushkil hai par aasan liya jata hai
kitna halke mein ye insan liya jata hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aap ne is ke fasāne hī sune hote haiñ
aur achānak ye balā aap ke sar hotī hai
aap ne is ke fasane hi sune hote hain
aur achanak ye bala aap ke sar hoti hai
-
Tag : Zindagi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujh se kahte nahīñ bantā ki sitam kam kiije
phir na aisā ho kisī roz mirā ġham kiije
mujh se kahte nahin banta ki sitam kam kije
phir na aisa ho kisi roz mera gham kije