Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ummeed Fazli's Photo'

Ummeed Fazli

1923 - 2005 | Karachi, Pakistan

Karachi based Urdu poet. Brother of eminent Indian Urdu poet Nida Fazli.

Karachi based Urdu poet. Brother of eminent Indian Urdu poet Nida Fazli.

Sher of Ummeed Fazli

11.6K
Favorite

SORT BY

ye sard raat ye āvārgī ye niiñd bojh

ham apne shahr meñ hote to ghar ga.e hote

ye sard raat ye aawargi ye nind ka bojh

hum apne shahr mein hote to ghar gae hote

chaman meñ rakhte haiñ kāñTe bhī ik maqām ai dost

faqat guloñ se gulshan aabrū to nahīñ

chaman mein rakhte hain kanTe bhi ek maqam ai dost

faqat gulon se hi gulshan ki aabru to nahin

ai dopahar dhuup batā kyā javāb duuñ

dīvār pūchhtī hai ki saaya kidhar gayā

ai dopahar ki dhup bata kya jawab dun

diwar puchhti hai ki saya kidhar gaya

āsmānoñ se farishte jo utāre jaa.eñ

vo bhī is daur meñ sach boleñ to maare jaa.eñ

aasmanon se farishte jo utare jaen

wo bhi is daur mein sach bolen to mare jaen

gar qayāmat ye nahīñ hai to qayāmat kyā hai

shahr jaltā rahā aur log na ghar se nikle

gar qayamat ye nahin hai to qayamat kya hai

shahr jalta raha aur log na ghar se nikle

jaane kis moḌ pe le aa.ī hameñ terī talab

sar pe sūraj bhī nahīñ raah meñ saayā bhī nahīñ

jaane kis moD pe le aai hamein teri talab

sar pe suraj bhi nahin rah mein saya bhi nahin

kal us key aañkh ne kyā zinda guftugū key thī

gumān tak na huā vo bichhaḌne vaalā hai

kal us key aankh ne kya zinda guftugu key thi

guman tak na hua wo bichhaDne wala hai

ghar to aisā kahāñ thā lekin

dar-ba-dar haiñ to yaad aatā hai

ghar to aisa kahan ka tha lekin

dar-ba-dar hain to yaad aata hai

ye ḳhud-e-farebi-e-ehsās-e-ārzū to nahīñ

tirī talāsh kahīñ apnī justujū to nahīñ

ye KHud-e-farebi-e-ehsas-e-arzu to nahin

teri talash kahin apni justuju to nahin

vo ḳhvāb sahī pesh-e-nazar to ab bhī hai

bichhaḌne vaalā sharīk-e-safar to ab bhī hai

wo KHwab hi sahi pesh-e-nazar to ab bhi hai

bichhaDne wala sharik-e-safar to ab bhi hai

maqtal-e-jāñ se ki zindāñ se ki ghar se nikle

ham to ḳhushbū tarah nikle jidhar se nikle

maqtal-e-jaan se ki zindan se ki ghar se nikle

hum to KHushbu ki tarah nikle jidhar se nikle

tirī talāsh meñ jaane kahāñ bhaTak jā.ūñ

safar meñ dasht bhī aatā hai ghar bhī aatā hai

teri talash mein jaane kahan bhaTak jaun

safar mein dasht bhi aata hai ghar bhi aata hai

jab se 'ummīd' gayā hai koī!!

lamhe sadiyoñ alāmat Thahre

jab se 'ummid' gaya hai koi!!

lamhe sadiyon ki alamat Thahre

sukūt vo bhī musalsal sukūt kyā ma.anī

kahīñ yahī tirā andāz-e-guftugū to nahīñ

sukut wo bhi musalsal sukut kya mani

kahin yahi tera andaz-e-guftugu to nahin

jaane kab tūfān bane aur rastā rastā bichh jaa.e

band banā kar so mat jaanā dariyā āḳhir dariyā hai

jaane kab tufan bane aur rasta rasta bichh jae

band bana kar so mat jaana dariya aaKHir dariya hai

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now