Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Yasmeen Hameed's Photo'

Yasmeen Hameed

1951 | Pakistan

Sher of Yasmeen Hameed

2.2K
Favorite

SORT BY

ek dīvār uThā.ī thī baḌī ujlat meñ

vahī dīvār girāne meñ bahut der lagī

ek diwar uThai thi baDi ujlat mein

wahi diwar girane mein bahut der lagi

jis samt havā hai usī samt chal paḌeñ

jab kuchh na ho sakā to yahī faisla kiyā

jis samt ki hawa hai usi samt chal paDen

jab kuchh na ho saka to yahi faisla kiya

musalsal ek tasvīr chashm-e-tar meñ rahī

charāġh bujh bhī gayā raushnī safar meñ rahī

musalsal ek hi taswir chashm-e-tar mein rahi

charagh bujh bhi gaya raushni safar mein rahi

parda āñkhoñ se haTāne meñ bahut der lagī

hameñ duniyā nazar aane meñ bahut der lagī

parda aankhon se haTane mein bahut der lagi

hamein duniya nazar aane mein bahut der lagi

ḳhushī ke daur to mehmāñ the aate jaate rahe

udāsī thī ki hamesha hamāre ghar meñ rahī

KHushi ke daur to mehman the aate jate rahe

udasi thi ki hamesha hamare ghar mein rahi

hameñ ḳhabar thī bachāne us meñ yaarā nahīñ

so ham bhī Duub ga.e aur use pukārā nahīñ

hamein KHabar thi bachane ka us mein yara nahin

so hum bhi Dub gae aur use pukara nahin

us imārat ko girā do jo nazar aatī hai

mire andar jo khañDar hai use ta.amīr karo

us imarat ko gira do jo nazar aati hai

mere andar jo khanDar hai use tamir karo

apnī nigāh par bhī karūñ e'tibār kyā

kis maan par kahūñ vo mirā intiḳhāb thā

apni nigah par bhi karun e'tibar kya

kis man par kahun wo mera intiKHab tha

samundar ho to us meñ Duub jaanā bhī ravā hai

magar dariyāoñ ko to paar karnā chāhiye thā

samundar ho to us mein Dub jaana bhi rawa hai

magar dariyaon ko to par karna chahiye tha

us ke shikasta vaar bhī rakh liyā bharam

ye qarz ham ne zaḳhm sūrat adā kiyā

us ke shikasta war ka bhi rakh liya bharam

ye qarz hum ne zaKHm ki surat ada kiya

zarā dhīmī ho to ḳhushbū bhī bhalī lagtī hai

aañkh ko rañg bhī saare nahīñ achchhe lagte

zara dhimi ho to KHushbu bhi bhali lagti hai

aankh ko rang bhi sare nahin achchhe lagte

agar itnī muqaddam thī zarūrat raushnī

to phir saa.e se apne pyaar karnā chāhiye thā

agar itni muqaddam thi zarurat raushni ki

to phir sae se apne pyar karna chahiye tha

raste se mirī jañg bhī jaarī hai abhī tak

aur paañv tale zaḳhm vahshat bhī vahī hai

raste se meri jang bhi jari hai abhi tak

aur panw tale zaKHm ki wahshat bhi wahi hai

kisī ke narm lahje qarīna

mirī āvāz meñ shāmil rahā hai

kisi ke narm lahje ka qarina

meri aawaz mein shamil raha hai

jo Dubo.egī na pahuñchā.egī sāhil pe hameñ

ab vahī mauj samundar se ubharne ko hai

jo Duboegi na pahunchaegi sahil pe hamein

ab wahi mauj samundar se ubharne ko hai

maiñ ab us harf se katrā rahī huuñ

jo merī baat hāsil rahā hai

main ab us harf se katra rahi hun

jo meri baat ka hasil raha hai

itnī be-rabt kahānī nahīñ achchhī lagtī

aur vāzeh bhī ishāre nahīñ achchhe lagte

itni be-rabt kahani nahin achchhi lagti

aur wazeh bhi ishaare nahin achchhe lagte

kyuuñ DhūñDne nikle haiñ na.e ġham ḳhazīna

jab dil bhī vahī dard daulat bhī vahī hai

kyun DhunDne nikle hain nae gham ka KHazina

jab dil bhi wahi dard ki daulat bhi wahi hai

mirī har baat pas-manzar se kyuuñ mansūb hotī hai

mujhe āvāz aatī hai kyuuñ ujḌe dayāroñ se

meri har baat pas-manzar se kyun mansub hoti hai

mujhe aawaz si aati hai kyun ujDe dayaron se

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now