Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rajendera Krishan's Photo'

Rajendera Krishan

1919 - 1988 | Mumbai, India

Poet & film lyricist.

Poet & film lyricist.

Sher of Rajendera Krishan

na jhaTko zulf se paanī ye motī TuuT jā.eñge

tumhārā kuchh na bigḌegā magar dil TuuT jā.eñge

na jhaTko zulf se pani ye moti TuT jaenge

tumhaara kuchh na bigDega magar dil TuT jaenge

na chārāgar zarūrat na kuchh davā hai

duā ko haath uThāo ki ġham raat kaTe

na chaaragar ki zarurat na kuchh dawa ki hai

dua ko hath uThao ki gham ki raat kaTe

log ro ro ke bhī is duniyā meñ lete haiñ

ek ham haiñ ki hañse bhī to guzārā na huā

log ro ro ke bhi is duniya mein ji lete hain

ek hum hain ki hanse bhi to guzara na hua

is bharī duniyā meñ koī bhī hamārā na huā

ġhair to ġhair haiñ apnoñ sahārā na huā

is bhari duniya mein koi bhi hamara na hua

ghair to ghair hain apnon ka sahaara na hua

ik mohabbat ke sivā aur na kuchh māñgā thā

kyā kareñ ye bhī zamāne ko gavārā na huā

ek mohabbat ke siwa aur na kuchh manga tha

kya karen ye bhi zamane ko gawara na hua

ye nāzuk lab haiñ aapas meñ do lipTī huī kaliyāñ

zarā in ko alag kar do tarannum phuuT jā.eñge

ye nazuk lab hain ya aapas mein do lipTi hui kaliyan

zara in ko alag kar do tarannum phuT jaenge

hameñ vāsta taḌap se hameñ kaam āñsuoñ se

tujhe yaad kar ke ro.e tujhe bhulā ke ro.e

hamein wasta taDap se hamein kaam aansuon se

tujhe yaad kar ke roe ya tujhe bhula ke roe

murjhā chukā hai phir bhī ye dil phuul to hai

ab aap ḳhushī ise kāñToñ meñ tauliye

murjha chuka hai phir bhi ye dil phul hi to hai

ab aap ki KHushi ise kanTon mein tauliye

ik chhoTā thā merā āshiyāñ

aaj tinke se alag tinkā huā

ek chhoTa sa tha mera aashiyan

aaj tinke se alag tinka hua

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now