SEARCH RESULTS
Showing search results for "صبر"
Ghazal MATCHES FOR "صبر"
Ghazal
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuu.n KHuun-e-jigar hote tak
Mirza Ghalib
Ghazal
le gayaa chhiin ke kaun aaj tiraa sabr o qaraar
be-qaraarii tujhe ai dil kabhii aisii to na thii
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
fitrat-e-husn to ma.aluum hai tujh ko hamdam
chaara hii kyaa hai ba-juz sabr so hotaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
kahaa.n kaa sabr ki dam par hai ban ga.ii zaalim
ba tang aa.e to haal-e-dil aashkaar kiyaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
mai.n jabr huu.n to jabr kii taa.iid band ho
mai.n sabr huu.n to mujh ko du.aa denii chaahiye
Rahat Indori
Ghazal
judaa.iyo.n ke zaKHm dard-e-zindagii ne bhar diye
tujhe bhii nii.nd aa ga.ii mujhe bhii sabr aa gayaa
Nasir Kazmi
Ghazal
tire va.ade par sitamgar abhii aur sabr karte
agar apnii zindagii kaa hame.n e'tibaar hotaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
jii bhar ke dil kii maut pe rone diyaa use
pursaa diyaa na sabr kii talqiin ham ne kii
Iqbal Sajid
Ghazal
zulm aur sabr kaa ye khel mukammal ho jaa.e
us ko KHanjar jo diyaa hai mujhe sar bhii denaa
Meraj Faizabadi
Ghazal
daaman me.n aa.nsu.o.n kaa zaKHiira na kar abhii
ye sabr kaa maqaam hai girya na kar abhii