Sher on Jannat
We all have heard of
heaven and hell but we have not seen either of them. It occupies our imagination as it does the imagination of the poets. Poetry in all languages has constructed heaven and hell in their own ways but the Urdu poets have added yet another set of meanings to them. This selection brings some of them to you.
ham ko ma.alūm hai jannat kī haqīqat lekin
dil ke ḳhush rakhne ko 'ġhālib' ye ḳhayāl achchhā hai
hum ko malum hai jannat ki haqiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'ghaalib' ye KHayal achchha hai
-
Tags : Famous shayariand 3 more
jis meñ lākhoñ baras kī hūreñ hoñ
aisī jannat ko kyā kare koī
where virgins aged a million years reside
hopes for such a heaven why abide
jis mein lakhon baras ki huren hon
aisi jannat ko kya kare koi
where virgins aged a million years reside
hopes for such a heaven why abide
ye jannat mubārak rahe zāhidoñ ko
ki maiñ aap kā sāmnā chāhtā huuñ
ye jannat mubarak rahe zahidon ko
ki main aap ka samna chahta hun
maiñ samajhtā huuñ ki hai jannat o dozaḳh kyā chiiz
ek hai vasl tirā ek hai furqat terī
main samajhta hun ki hai jannat o dozaKH kya chiz
ek hai wasl tera ek hai furqat teri
jannat milī jhūToñ ko agar jhuuT ke badle
sachchoñ ko sazā meñ hai jahannam bhī gavārā
jannat mili jhuTon ko agar jhuT ke badle
sachchon ko saza mein hai jahannam bhi gawara
gunāhgār ke dil se na bach ke chal zāhid
yahīñ kahīñ tirī jannat bhī paa.ī jaatī hai
gunahgar ke dil se na bach ke chal zahid
yahin kahin teri jannat bhi pai jati hai
-
Tag : Waiz
apnī jannat mujhe dikhlā na sakā tū vaa.iz
kūcha-e-yār meñ chal dekh le jannat merī
apni jannat mujhe dikhla na saka tu waiz
kucha-e-yar mein chal dekh le jannat meri
-
Tag : Waiz
kahte haiñ jis ko jannat vo ik jhalak hai terī
sab vā.izoñ kī baaqī rañgīñ-bayāniyāñ haiñ
kahte hain jis ko jannat wo ek jhalak hai teri
sab waizon ki baqi rangin-bayaniyan hain