Sher on social distancing shayari
This collection of Urdu
couplets heralds that poetry is to life what silence is to death. Poetry has always stood for the tenacity of life against the cruelty of death. Prompted by the outbreak of COVID-19, Urdu poets are campaigning and arguing for life in the way they best do: through poetry.
koī haath bhī na milā.egā jo gale miloge tapāk se
ye na.e mizāj kā shahr hai zarā fāsle se milā karo
koi hath bhi na milaega jo gale miloge tapak se
ye nae mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo
-
Tags : Famous shayariand 1 more
ab nahīñ koī baat ḳhatre kī
ab sabhī ko sabhī se ḳhatra hai
ab nahin koi baat KHatre ki
ab sabhi ko sabhi se KHatra hai
qurbateñ laakh ḳhūb-sūrat hoñ
dūriyoñ meñ bhī dilkashī hai abhī
qurbaten lakh KHub-surat hon
duriyon mein bhi dilkashi hai abhi
-
Tag : Fasla
thaknā bhī lāzmī thā kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gayā huuñ ārām karte karte
thakna bhi lazmi tha kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gaya hun aaram karte karte
shaam hote hī khulī saḌkoñ kī yaad aatī hai
sochtā roz huuñ maiñ ghar se nahīñ niklūñgā
sham hote hi khuli saDkon ki yaad aati hai
sochta roz hun main ghar se nahin niklunga
-
Tag : Shaam
rāste haiñ khule hue saare
phir bhī ye zindagī rukī huī hai
raste hain khule hue sare
phir bhi ye zindagi ruki hui hai
ek hī shahr meñ rahnā hai magar milnā nahīñ
dekhte haiñ ye aziyyat bhī gavāra kar ke
ek hi shahr mein rahna hai magar milna nahin
dekhte hain ye aziyyat bhi gawara kar ke
ghar meñ ḳhud ko qaid to maiñ ne aaj kiyā hai
tab bhī tanhā thā jab mahfil mahfil thā maiñ
ghar mein KHud ko qaid to main ne aaj kiya hai
tab bhi tanha tha jab mahfil mahfil tha main
ye jo milāte phirte ho tum har kisī se haath
aisā na ho ki dhonā paḌe zindagī se haath
ye jo milate phirte ho tum har kisi se hath
aisa na ho ki dhona paDe zindagi se hath
kuchh roz nasīr aao chalo ghar meñ rahā jaa.e
logoñ ko ye shikva hai ki ghar par nahīñ miltā
kuchh roz nasir aao chalo ghar mein raha jae
logon ko ye shikwa hai ki ghar par nahin milta
maiñ vo mahrūm-e-ināyat huuñ ki jis ne tujh se
milnā chāhā to bichhaḌne kī vabā phuuT paḌī
main wo mahrum-e-inayat hun ki jis ne tujh se
milna chaha to bichhaDne ki waba phuT paDi
ab to mushkil hai kisī aur kā honā mire dost
tū mujhe aise huā jaise corona mire dost
ab to mushkil hai kisi aur ka hona mere dost
tu mujhe aise hua jaise corona mere dost
ye kah ke us ne mujhe maḳhmase meñ Daal diyā
milāo haath agar vāqa.ī mohabbat hai
ye kah ke us ne mujhe maKHmase mein Dal diya
milao hath agar waqai mohabbat hai
dil to pahle hī judā the yahāñ bastī vaalo
kyā qayāmat hai ki ab haath milāne se ga.e
dil to pahle hi juda the yahan basti walo
kya qayamat hai ki ab hath milane se gae
tenshan se maregā na corone se maregā
ik shaḳhs tire paas na hone se maregā
tenshan se marega na corone se marega
ek shaKHs tere pas na hone se marega
haal pūchhā na kare haath milāyā na kare
maiñ isī dhuup meñ ḳhush huuñ koī saaya na kare
haal puchha na kare hath milaya na kare
main isi dhup mein KHush hun koi saya na kare
bhuuk se yā vabā se marnā hai
faisla aadmī ko karnā hai
bhuk se ya waba se marna hai
faisla aadmi ko karna hai
afsos ye vabā ke dinoñ kī mohabbateñ
ik dūsre se haath milāne se bhī ga.e
afsos ye waba ke dinon ki mohabbaten
ek dusre se hath milane se bhi gae
ghūm-phir kar na qatl-e-ām kare
jo jahāñ hai vahīñ qayām kare
ghum-phir kar na qatl-e-am kare
jo jahan hai wahin qayam kare
ghar rahiye ki bāhar hai ik raqs balāoñ kā
is mausam-e-vahshat meñ nādān nikalte haiñ
ghar rahiye ki bahar hai ek raqs balaon ka
is mausam-e-wahshat mein nadan nikalte hain
mumkin hai yahī dil ke milāne kā sabab ho
ye rut jo hameñ haath milāne nahīñ detī
mumkin hai yahi dil ke milane ka sabab ho
ye rut jo hamein hath milane nahin deti
bāzār haiñ ḳhāmosh to galiyoñ pe hai sakta
ab shahr meñ tanhā.ī kā Dar bol rahā hai
bazar hain KHamosh to galiyon pe hai sakta
ab shahr mein tanhai ka Dar bol raha hai
in dūriyoñ ne aur baḌhā dī haiñ qurbateñ
sab fāsle vabā kī tavālat se miT ga.e
in duriyon ne aur baDha di hain qurbaten
sab fasle waba ki tawalat se miT gae
aisī taraqqī par to ronā bantā hai
jis meñ dahshat-gard corona bantā hai
aisi taraqqi par to rona banta hai
jis mein dahshat-gard corona banta hai
koī davā bhī nahīñ hai yahī to ronā hai
sad ehtiyāt ki phailā huā corona hai
koi dawa bhi nahin hai yahi to rona hai
sad ehtiyat ki phaila hua corona hai
shahr gum-sum rāste sunsān ghar ḳhāmosh haiñ
kyā balā utrī hai kyuuñ dīvār-o-dar ḳhāmosh haiñ
shahr gum-sum raste sunsan ghar KHamosh hain
kya bala utri hai kyun diwar-o-dar KHamosh hain
aap hī aap diye bujhte chale jaate haiñ
aur aaseb dikhā.ī bhī nahīñ detā hai
aap hi aap diye bujhte chale jate hain
aur aaseb dikhai bhi nahin deta hai
maut aa jaa.e vabā meñ ye alag baat magar
ham tire hijr meñ nāġha to nahīñ kar sakte
maut aa jae waba mein ye alag baat magar
hum tere hijr mein nagha to nahin kar sakte
mujhe ye saare masīhā aziiz haiñ lekin
ye kah rahe haiñ ki maiñ tum se fāsla rakkhūñ
mujhe ye sare masiha aziz hain lekin
ye kah rahe hain ki main tum se fasla rakkhun
apnī majbūrī ko ham dīvār-o-dar kahne lage
qaid kā sāmāñ kiyā aur us ko ghar kahne lage
apni majburi ko hum diwar-o-dar kahne lage
qaid ka saman kiya aur us ko ghar kahne lage
jahāñ jo thā vahīñ rahnā thā us ko
magar ye log hijrat kar rahe haiñ
jahan jo tha wahin rahna tha us ko
magar ye log hijrat kar rahe hain
jaan hai to jahān hai dil hai to aarzū bhī hai
ishq bhī ho rahegā phir jaan abhī bachā.iye
jaan hai to jahan hai dil hai to aarzu bhi hai
ishq bhi ho rahega phir jaan abhi bachaiye
kaisā chaman ki ham se asīroñ ko man.a hai
chāk-e-qafas se baaġh kī dīvār dekhnā
kaisa chaman ki hum se asiron ko mana hai
chaak-e-qafas se bagh ki diwar dekhna
vasl ko mauqūf karnā paḌ gayā hai chand roz
ab mujhe milne na aanā ab koī shikva nahīñ
wasl ko mauquf karna paD gaya hai chand roz
ab mujhe milne na aana ab koi shikwa nahin
akelā ho rah-e-duniyā meñ gir chāhe bahut jiinā
huī hai faiz-e-tanhā.ī se umr-e-ḳhizr tūlānī
akela ho rah-e-duniya mein gir chahe bahut jina
hui hai faiz-e-tanhai se umr-e-KHizr tulani
har ek jism meñ maujūd hasht-pā kī tarah
vabā kā ḳhauf hai ḳhud bhī kisī vabā kī tarah
har ek jism mein maujud hasht-pa ki tarah
waba ka KHauf hai KHud bhi kisi waba ki tarah
ik balā kūktī hai galiyoñ meñ
sab simaT kar gharoñ meñ baiTh raheñ
ek bala kukti hai galiyon mein
sab simaT kar gharon mein baiTh rahen
shahr-e-jāñ meñ vabāoñ kā ik daur thā
maiñ adā-e-tanaffus meñ kamzor thā
shahr-e-jaan mein wabaon ka ek daur tha
main ada-e-tanaffus mein kamzor tha