TOP 20 SHAYARI of Haidar Ali Aatish
rakh ke muñh so ga.e ham ātishīñ ruḳhsāroñ par
dil ko thā chain to niiñd aa ga.ī añgāroñ par
rakh ke munh so gae hum aatishin ruKHsaron par
dil ko tha chain to nind aa gai angaron par
bandish-e-alfāz jaḌne se nagoñ ke kam nahīñ
shā.irī bhī kaam hai 'ātish' murassa-sāz kā
bandish-e-alfaz jaDne se nagon ke kam nahin
shairi bhi kaam hai 'atish' murassa-saz ka
dostoñ se is qadar sadme uThā.e jaan par
dil se dushman kī adāvat kā gila jaatā rahā
doston se is qadar sadme uThae jaan par
dil se dushman ki adawat ka gila jata raha
ye aarzū thī tujhe gul ke rū-ba-rū karte
ham aur bulbul-e-betāb guftugū karte
ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
hum aur bulbul-e-betab guftugu karte
-
Tag : Aarzoo
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo ālā-zarf hote haiñ hamesha jhuk ke milte haiñ
surāhī sar-nigūñ ho kar bharā kartī hai paimāna
jo aala-zarf hote hain hamesha jhuk ke milte hain
surahi sar-nigun ho kar bhara karti hai paimana
payām-bar na mayassar huā to ḳhuub huā
zabān-e-ġhair se kyā sharh-e-ārzū karte
payam-bar na mayassar hua to KHub hua
zaban-e-ghair se kya sharh-e-arzu karte
na paak hogā kabhī husn o ishq kā jhagḌā
vo qissa hai ye ki jis kā koī gavāh nahīñ
na pak hoga kabhi husn o ishq ka jhagDa
wo qissa hai ye ki jis ka koi gawah nahin
yaar ko maiñ ne mujhe yaar ne sone na diyā
raat bhar tāla-e-bedār ne sone na diyā
yar ko main ne mujhe yar ne sone na diya
raat bhar tala-e-bedar ne sone na diya
qaid-e-maz.hab kī giraftārī se chhuT jaatā hai
ho na dīvāna to hai aql se insāñ ḳhālī
qaid-e-mazhab ki giraftari se chhuT jata hai
ho na diwana to hai aql se insan KHali
har shab shab-e-barāt hai har roz roz-e-īd
sotā huuñ haath gardan-e-mīnā meñ Daal ke
each night is a night of love, each day a day divine
I sleep with my arms entwined around a flask of wine
har shab shab-e-baraat hai har roz roz-e-id
sota hun hath gardan-e-mina mein Dal ke
each night is a night of love, each day a day divine
I sleep with my arms entwined around a flask of wine
-
Tag : Maikashi
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
fasl-e-bahār aa.ī piyo sūfiyo sharāb
bas ho chukī namāz musallā uThā.iye
fasl-e-bahaar aai piyo sufiyo sharab
bas ho chuki namaz musalla uThaiye
lage muñh bhī chiḌhāne dete dete gāliyāñ sāhab
zabāñ bigḌī to bigḌī thī ḳhabar liije dahan bigḌā
lage munh bhi chiDhane dete dete galiyan sahab
zaban bigDi to bigDi thi KHabar lije dahan bigDa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na pūchh haal mirā chob-e-ḳhushk-e-sahrā huuñ
lagā ke aag mujhe kārvāñ ravāna huā
na puchh haal mera chob-e-KHushk-e-sahra hun
laga ke aag mujhe karwan rawana hua
-
Tag : Famous shayari
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āfat-e-jāñ huī us rū-e-kitābī kī yaad
raas aayā na mujhe hāfiz-e-qur.āñ honā
aafat-e-jaan hui us ru-e-kitabi ki yaad
ras aaya na mujhe hafiz-e-quran hona
safar hai shart musāfir-navāz bahutere
hazār-hā shajar-e-sāya-dār raah meñ hai
safar hai shart musafir-nawaz bahutere
hazar-ha shajar-e-saya-dar rah mein hai
-
Tag : Safar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sun to sahī jahāñ meñ hai terā fasāna kyā
kahtī hai tujh ko ḳhalq-e-ḳhudā ġhā.ebāna kyā
sun to sahi jahan mein hai tera fasana kya
kahti hai tujh ko KHalq-e-KHuda ghaebana kya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aa.e bhī log baiThe bhī uTh bhī khaḌe hue
maiñ jā hī DhūñDtā tirī mahfil meñ rah gayā
in your presence others were seated with charm and grace
whilst I remained unheeded, for me there was no place
aae bhi log baiThe bhi uTh bhi khaDe hue
main ja hi DhunDta teri mahfil mein rah gaya
in your presence others were seated with charm and grace
whilst I remained unheeded, for me there was no place
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
baḌā shor sunte the pahlū meñ dil kā
jo chīrā to ik qatra-e-ḳhūñ na niklā
baDa shor sunte the pahlu mein dil ka
jo chira to ek qatra-e-KHun na nikla
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na gor-e-sikandar na hai qabr-e-dārā
miTe nāmiyoñ ke nishāñ kaise kaise
na gor-e-sikandar na hai qabr-e-dara
miTe namiyon ke nishan kaise kaise
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
but-ḳhāna toḌ Dāliye masjid ko Dhā.iye
dil ko na toḌiye ye ḳhudā kā maqām hai
you may excavate the temple, the mosque you may explode
do not break the heart of man, for this is God's abode
but-KHana toD Daliye masjid ko Dhaiye
dil ko na toDiye ye KHuda ka maqam hai
you may excavate the temple, the mosque you may explode
do not break the heart of man, for this is God's abode
-
Tag : Dil
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download