TOP 20 SHAYARI of Mubarak Azimabadi
jo nigāh-e-nāz kā bismil nahīñ
dil nahīñ vo dil nahīñ vo dil nahīñ
jo nigah-e-naz ka bismil nahin
dil nahin wo dil nahin wo dil nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
terī baḳhshish ke bharose pe ḳhatā.eñ kī haiñ
terī rahmat ke sahāre ne gunahgār kiyā
teri baKHshish ke bharose pe KHataen ki hain
teri rahmat ke sahaare ne gunahgar kiya
mujh ko ma.alūm hai anjām-e-mohabbat kyā hai
ek din maut kī ummīd pe jiinā hogā
mujh ko malum hai anjam-e-mohabbat kya hai
ek din maut ki ummid pe jina hoga
rahne de apnī bandagī zāhid
be-mohabbat ḳhudā nahīñ miltā
rahne de apni bandagi zahid
be-mohabbat KHuda nahin milta
phuul kyā Dāloge turbat par mirī
ḳhaak bhī tum se na Daalī jā.egī
phul kya Daloge turbat par meri
KHak bhi tum se na Dali jaegi
din bhī hai raat bhī hai sub.h bhī hai shaam bhī hai
itne vaqtoñ meñ koī vaqt-e-mulāqāt bhī hai
din bhi hai raat bhi hai subh bhi hai sham bhi hai
itne waqton mein koi waqt-e-mulaqat bhi hai
tirī adā kī qasam hai tirī adā ke sivā
pasand aur kisī kī hameñ adā na huī
teri ada ki qasam hai teri ada ke siwa
pasand aur kisi ki hamein ada na hui
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kab vo ā.eñge ilāhī mire mehmāñ ho kar
kaun din kaun baras kaun mahīna hogā
kab wo aaenge ilahi mere mehman ho kar
kaun din kaun baras kaun mahina hoga
aap kā iḳhtiyār hai sab par
aap par iḳhtiyār kis kā hai
aap ka iKHtiyar hai sab par
aap par iKHtiyar kis ka hai
jo dil-nashīñ ho kisī ke to is kā kyā kahnā
jagah nasīb se miltī hai dil ke goshoñ meñ
jo dil-nashin ho kisi ke to is ka kya kahna
jagah nasib se milti hai dil ke goshon mein
apnī sī karo tum bhī apnī sī kareñ ham bhī
kuchh tum ne bhī Thānī hai kuchh ham ne bhī Thānī hai
apni si karo tum bhi apni si karen hum bhi
kuchh tum ne bhi Thani hai kuchh hum ne bhi Thani hai
mehrbānī chārasāzoñ kī baḌhī
jab baḌhā darmāñ to bīmārī baḌhī
mehrbani chaarasazon ki baDhi
jab baDha darman to bimari baDhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
le chalā phir mujhe dil yār-e-dil-āzār ke paas
ab ke chhoḌ ā.ūñgā zālim ko sitamgār ke paas
le chala phir mujhe dil yar-e-dil-azar ke pas
ab ke chhoD aaunga zalim ko sitamgar ke pas
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik tirī baat ki jis baat kī tardīd muhāl
ik mirā ḳhvāb ki jis ḳhvāb kī ta.abīr nahīñ
ek teri baat ki jis baat ki tardid muhaal
ek mera KHwab ki jis KHwab ki tabir nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
samjhā.eñ kis tarah dil-e-nā-kardā-kār ko
ye dostī samajhtā hai dushman ke pyaar ko
samjhaen kis tarah dil-e-na-karda-kar ko
ye dosti samajhta hai dushman ke pyar ko
kisī ne barchhiyāñ mārīñ kisī ne tiir maare haiñ
ḳhudā rakkhe inheñ ye sab karam-farmā hamāre haiñ
kisi ne barchhiyan marin kisi ne tir mare hain
KHuda rakkhe inhen ye sab karam-farma hamare hain
ye ġham-kada hai is meñ 'mubārak' ḳhushī kahāñ
ġham ko ḳhushī banā koī pahlū nikāl ke
ye gham-kada hai is mein 'mubarak' KHushi kahan
gham ko KHushi bana koi pahlu nikal ke
-
Tag : Gham
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mohabbat meñ vafā kī had jafā kī intihā kaisī
'mubārak' phir na kahnā ye sitam koī sahe kab tak
mohabbat mein wafa ki had jafa ki intiha kaisi
'mubarak' phir na kahna ye sitam koi sahe kab tak
shikast-e-tauba kī tamhīd hai tirī tauba
zabāñ pe tauba 'mubārak' nigāh sāġhar par
shikast-e-tauba ki tamhid hai teri tauba
zaban pe tauba 'mubarak' nigah saghar par
ḳhair saaqī kī salāmat mai-kada
jis qadar pī utnī hushyārī baḌhī
KHair saqi ki salamat mai-kada
jis qadar pi utni hushyari baDhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download