ALL
Profile
Ghazal46
Nazm40
Sher21
E-book151
Image Shayari5
Audio13
Video15
Qita58
Article9
Short story3
Gallery 4
Blog2
Other
Sher of Ali Sardar Jafri
kaam ab koī na aa.egā bas ik dil ke sivā
rāste band haiñ sab kūcha-e-qātil ke sivā
kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa
raste band hain sab kucha-e-qatil ke siwa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
inqalāb aa.egā raftār se māyūs na ho
bahut āhista nahīñ hai jo bahut tez nahīñ
inqalab aaega raftar se mayus na ho
bahut aahista nahin hai jo bahut tez nahin
sau milīñ zindagī se sauġhāteñ
ham ko āvārgī hī raas aa.ī
sau milin zindagi se saughaten
hum ko aawargi hi ras aai
purāne saal kī ThiThurī huī parchhā.iyāñ simTīñ
na.e din kā nayā sūraj ufuq par uThtā aatā hai
purane sal ki ThiThuri hui parchhaiyan simTin
nae din ka naya suraj ufuq par uThta aata hai
ye kis ne phone pe dī sāl-e-nau kī tahniyat mujh ko
tamannā raqs kartī hai taḳhayyul gungunātā hai
ye kis ne phone pe di sal-e-nau ki tahniyat mujh ko
tamanna raqs karti hai taKHayyul gungunata hai
dāman jhaTak ke vādī-e-ġham se guzar gayā
uTh uTh ke dekhtī rahī gard-e-safar mujhe
daman jhaTak ke wadi-e-gham se guzar gaya
uTh uTh ke dekhti rahi gard-e-safar mujhe
shikāyateñ bhī bahut haiñ hikāyateñ bhī bahut
mazā to jab hai ki yāroñ ke rū-ba-rū kahiye
shikayaten bhi bahut hain hikayaten bhi bahut
maza to jab hai ki yaron ke ru-ba-ru kahiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
isī liye to hai zindāñ ko justujū merī
ki muflisī ko sikhā.ī hai sar-kashī maiñ ne
isi liye to hai zindan ko justuju meri
ki muflisi ko sikhai hai sar-kashi main ne
bahut barbād haiñ lekin sadā-e-inqalāb aa.e
vahīñ se vo pukār uThegā jo zarra jahāñ hogā
bahut barbaad hain lekin sada-e-inqalab aae
wahin se wo pukar uThega jo zarra jahan hoga
maqtal-e-shauq ke ādāb nirāle haiñ bahut
dil bhī qātil ko diyā karte haiñ sar se pahle
love's killing grounds has etiquette that is truly apart
before the killer takes your head you have to give your heart
maqtal-e-shauq ke aadab nirale hain bahut
dil bhi qatil ko diya karte hain sar se pahle
love's killing grounds has etiquette that is truly apart
before the killer takes your head you have to give your heart
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye mai-kada hai yahāñ haiñ gunāh jām-ba-dast
vo madrasa hai vo masjid vahāñ milegā savāb
ye mai-kada hai yahan hain gunah jam-ba-dast
wo madrasa hai wo masjid wahan milega sawab
tū vo bahār jo apne chaman meñ āvāra
maiñ vo chaman jo bahārāñ ke intizār meñ hai
tu wo bahaar jo apne chaman mein aawara
main wo chaman jo bahaaran ke intizar mein hai
isī duniyā meñ dikhā deñ tumheñ jannat kī bahār
shaiḳh jī tum bhī zarā kū-e-butāñ tak aao
isi duniya mein dikha den tumhein jannat ki bahaar
shaiKH ji tum bhi zara ku-e-butan tak aao
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
phūTne vaalī hai mazdūr ke māthe se kiran
surḳh parcham ufuq-e-sub.h pe lahrāte haiñ
phuTne wali hai mazdur ke mathe se kiran
surKH parcham ufuq-e-subh pe lahraate hain
shab ke sannāTe meñ ye kis kā lahū gaatā hai
sarhad-e-dard se ye kis kī sadā aatī hai
shab ke sannaTe mein ye kis ka lahu gata hai
sarhad-e-dard se ye kis ki sada aati hai
kamī kamī sī thī kuchh rañg-o-bū-e-gulshan meñ
lab-e-bahār se niklī huī duā tum ho
kami kami si thi kuchh rang-o-bu-e-gulshan mein
lab-e-bahaar se nikli hui dua tum ho
pyaas jahāñ kī ek bayābāñ terī saḳhāvat shabnam hai
pī ke uThā jo bazm se terī aur bhī tishna-kām uThā
pyas jahan ki ek bayaban teri saKHawat shabnam hai
pi ke uTha jo bazm se teri aur bhi tishna-kaam uTha
ye terā gulistāñ terā chaman kab merī navā ke qābil hai
naġhma mirā apne dāman meñ aap apnā gulistāñ laatā hai
ye tera gulistan tera chaman kab meri nawa ke qabil hai
naghma mera apne daman mein aap apna gulistan lata hai
dil-o-nazar ko abhī tak vo de rahe haiñ fareb
tasavvurāt-e-kuhan ke qadīm but-ḳhāne
dil-o-nazar ko abhi tak wo de rahe hain fareb
tasawwuraat-e-kuhan ke qadim but-KHane
partav se jis ke ālam-e-imkāñ bahār hai
vo nau-bahār-e-nāz abhī rahguzar meñ hai
partaw se jis ke aalam-e-imkan bahaar hai
wo nau-bahaar-e-naz abhi rahguzar mein hai
tah-e-āriz jo farozāñ haiñ hazāroñ sham.eñ
lutf-e-iqrār hai yā shoḳhī-e-inkār kā rang
tah-e-ariz jo farozan hain hazaron shamen
lutf-e-iqrar hai ya shoKHi-e-inkar ka rang