Sher of Ehsan Danish
aaj us ne hañs ke yuuñ pūchhā mizāj
umr bhar ke ranj-o-ġham yaad aa ga.e
aaj us ne hans ke yun puchha mizaj
umr bhar ke ranj-o-gham yaad aa gae
ye uḌī uḌī sī rañgat ye khule khule se gesū
tirī sub.h kah rahī hai tirī raat kā fasāna
ye uDi uDi si rangat ye khule khule se gesu
teri subh kah rahi hai teri raat ka fasana
rahtā nahīñ insān to miT jaatā hai ġham bhī
so jā.eñge ik roz zamīñ oḌh ke ham bhī
rahta nahin insan to miT jata hai gham bhi
so jaenge ek roz zamin oDh ke hum bhi
kis kis kī zabāñ rokne jā.ūñ tirī ḳhātir
kis kis kī tabāhī meñ tirā haath nahīñ hai
kis kis ki zaban rokne jaun teri KHatir
kis kis ki tabahi mein tera hath nahin hai
kuchh log jo savār haiñ kāġhaz kī naav par
tohmat tarāshte haiñ havā ke dabāv par
kuchh log jo sawar hain kaghaz ki naw par
tohmat tarashte hain hawa ke dabaw par
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum sāda-mizājī se miTe phirte ho jis par
vo shaḳhs to duniyā meñ kisī kā bhī nahīñ hai
tum sada-mizaji se miTe phirte ho jis par
wo shaKHs to duniya mein kisi ka bhi nahin hai
maiñ hairāñ huuñ ki kyuuñ us se huī thī dostī apnī
mujhe kaise gavāra ho ga.ī thī dushmanī apnī
main hairan hun ki kyun us se hui thi dosti apni
mujhe kaise gawara ho gai thi dushmani apni
jo de rahe ho zamīñ ko vahī zamīñ degī
babūl bo.e to kaise gulāb niklegā
jo de rahe ho zamin ko wahi zamin degi
babul boe to kaise gulab niklega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aur kuchh der sitāro Thahro
us kā va.ada hai zarūr aa.egā
aur kuchh der sitaro Thahro
us ka wada hai zarur aaega
-
Tag : Wada
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zaḳhm pe zaḳhm khā ke jī apne lahū ke ghūñT pī
aah na kar laboñ ko sī ishq hai dil-lagī nahīñ
zaKHm pe zaKHm kha ke ji apne lahu ke ghunT pi
aah na kar labon ko si ishq hai dil-lagi nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
haañ aap ko dekhā thā mohabbat se hamīñ ne
jī saare zamāne ke gunahgār hamīñ the
han aap ko dekha tha mohabbat se hamin ne
ji sare zamane ke gunahgar hamin the
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vafā kā ahd thā dil ko sambhālne ke liye
vo hañs paḌe mujhe mushkil meñ Dālne ke liye
wafa ka ahd tha dil ko sambhaalne ke liye
wo hans paDe mujhe mushkil mein Dalne ke liye
'ehsān' apnā koī bure vaqt kā nahīñ
ahbāb bevafā haiñ ḳhudā be-niyāz hai
'ehsan' apna koi bure waqt ka nahin
ahbab bewafa hain KHuda be-niyaz hai
husn ko duniyā kī āñkhoñ se na dekh
apnī ik tarz-e-nazar ījād kar
husn ko duniya ki aankhon se na dekh
apni ek tarz-e-nazar ijad kar
-
Tag : Husn
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na jaane mohabbat kā anjām kyā hai
maiñ ab har tasallī se ghabrā rahā huuñ
na jaane mohabbat ka anjam kya hai
main ab har tasalli se ghabra raha hun
shorish-e-ishq meñ hai husn barābar kā sharīk
soch kar jurm-e-tamannā kī sazā do ham ko
shorish-e-ishq mein hai husn barabar ka sharik
soch kar jurm-e-tamanna ki saza do hum ko
log yuuñ dekh ke hañs dete haiñ
tū mujhe bhuul gayā ho jaise
log yun dekh ke hans dete hain
tu mujhe bhul gaya ho jaise
zabt bhī sabr bhī imkān meñ sab kuchh hai magar
pahle kam-baḳht mirā dil to mirā dil ho jaa.e
zabt bhi sabr bhi imkan mein sab kuchh hai magar
pahle kam-baKHt mera dil to mera dil ho jae
kaun detā hai mohabbat ko parastish kā maqām
tum ye insāf se socho to duā do ham ko
kaun deta hai mohabbat ko parastish ka maqam
tum ye insaf se socho to dua do hum ko
'ehsān' aisā talḳh javāb-e-vafā milā
ham is ke ba.ad phir koī armāñ na kar sake
I, to my troth, such a bitter response did obtain
after that I could never hope to hope again
'ehsan' aisa talKH jawab-e-wafa mila
hum is ke baad phir koi arman na kar sake
I, to my troth, such a bitter response did obtain
after that I could never hope to hope again
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
aaise anjān bane baiThe ho
tum ko kuchh bhī na patā ho jaise
aaise anjaan bane baiThe ho
tum ko kuchh bhi na pata ho jaise
balā se kuchh ho ham 'ehsān' apnī ḳhū na chhoḌeñge
hamesha be-vafāoñ se mileñge bā-vafā ho kar
bala se kuchh ho hum 'ehsan' apni KHu na chhoDenge
hamesha be-wafaon se milenge ba-wafa ho kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
uTThā jo abr dil kī umañgeñ chamak uThīñ
lahrā.īñ bijliyāñ to maiñ lahrā ke pī gayā
uTTha jo abr dil ki umangen chamak uThin
lahrain bijliyan to main lahra ke pi gaya
ḳhaak se saiñkaḌoñ uge ḳhurshīd
hai añdherā magar charāg-tale
KHak se sainkaDon uge KHurshid
hai andhera magar charag-tale
-
Tag : Charagh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ jis raftār se tūfāñ kī jānib baḌhtā jaatā huuñ
usī raftār se nazdīk sāhil hotā jaatā hai
main jis raftar se tufan ki jaanib baDhta jata hun
usi raftar se nazdik sahil hota jata hai
ham haqīqat haiñ to taslīm na karne kā sabab
haañ agar harf-e-ġhalat haiñ to miTā do ham ko
hum haqiqat hain to taslim na karne ka sabab
han agar harf-e-ghalat hain to miTa do hum ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye kaun hañs ke sehn-e-chaman se guzar gayā
ab tak haiñ phuul chaak garebāñ kiye hue
ye kaun hans ke sehn-e-chaman se guzar gaya
ab tak hain phul chaak gareban kiye hue
marne vaale fanā bhī parda hai
uTh sake gar to ye hijāb uThā
marne wale fana bhi parda hai
uTh sake gar to ye hijab uTha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil kī shaguftagī ke saath rāhat-e-mai-kada ga.ī
fursat-e-mai-kashī to hai hasrat-e-mai-kashī nahīñ
dil ki shaguftagi ke sath rahat-e-mai-kada gai
fursat-e-mai-kashi to hai hasrat-e-mai-kashi nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
satā lo mujhe zindagī meñ satā lo
khulegā pas-e-marg ehsān kyā thā
sata lo mujhe zindagi mein sata lo
khulega pas-e-marg ehsan kya tha
suntā huuñ surañgoñ the farishte mire huzūr
maiñ jaane apnī zaat ke kis marhale meñ thā
sunta hun surangon the farishte mere huzur
main jaane apni zat ke kis marhale mein tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham chaTāneñ haiñ koī ret ke sāhil to nahī
shauq se shahr-panāhoñ meñ lagā do ham ko
hum chaTanen hain koi ret ke sahil to nahi
shauq se shahr-panahon mein laga do hum ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maqsad-e-zīst ġham-e-ishq hai sahrā ho ki shahr
baiTh jā.eñge jahāñ chāho biThā do ham ko
maqsad-e-zist gham-e-ishq hai sahra ho ki shahr
baiTh jaenge jahan chaho biTha do hum ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh apne sāz-e-nafas kī na qadr kī tū ne
ki is rabāb se behtar koī rabāb na thā
kuchh apne saz-e-nafas ki na qadr ki tu ne
ki is rabab se behtar koi rabab na tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
damak rahā hai jo nas nas kī tishnagī se badan
is aag ko na tirā pairahan chhupā.egā
damak raha hai jo nas nas ki tishnagi se badan
is aag ko na tera pairahan chhupaega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye ujāloñ ke jazīre ye sarāboñ ke dayār
sehr-o-afsūñ ke sivā jashn-e-tarab kuchh bhī nahīñ
ye ujalon ke jazire ye sarabon ke dayar
sehr-o-afsun ke siwa jashn-e-tarab kuchh bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kise ḳhabar thī ki ye daur-e-ḳhud-ġharaz ik din
junūñ se qīmat-e-dār-o-rasan chhupā.egā
kise KHabar thi ki ye daur-e-KHud-gharaz ek din
junun se qimat-e-dar-o-rasan chhupaega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
fusūn-e-sher se ham us mah-e-gurezāñ ko
ḳhalāoñ se sar-e-kāġhaz utaar laa.e haiñ
fusun-e-sher se hum us mah-e-gurezan ko
KHalaon se sar-e-kaghaz utar lae hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ba-juz us ke 'ehsān' ko kyā samajhiye
bahāroñ meñ khoyā huā ik sharābī
ba-juz us ke 'ehsan' ko kya samajhiye
bahaaron mein khoya hua ek sharabi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
avval avval jab mujhe jaur-āshnā samjhā thā maiñ
aaj samjhā huuñ jo samjhā thā bajā samjhā thā maiñ
awwal awwal jab mujhe jaur-ashna samjha tha main
aaj samjha hun jo samjha tha baja samjha tha main