Sher on Ayaadat
Poetry for visiting
the sick has an interesting and humorous aspect. An afflicted lover wants his beloved to visit him and waits until the sickness reaches a boiling point. Yet, the indifferent beloved does not visit the lover. This character can only be synonymous of a lover who waits for his/her beloved while faking illness hundreds of times. Apart from this aspect, there are more amusing articles about poetry written for vising the sick. Here are a few good selections for you to read.
bahr-e-ayādat aa.e vo lekin qazā ke saath
dam hī nikal gayā mirā āvāz-e-pā ke saath
bahr-e-ayaadat aae wo lekin qaza ke sath
dam hi nikal gaya mera aawaz-e-pa ke sath
vo ayādat ke liye aa.e haiñ lo aur sahī
aaj hī ḳhūbī-e-taqdīr se haal achchhā hai
wo ayaadat ke liye aae hain lo aur sahi
aaj hi KHubi-e-taqdir se haal achchha hai
aayā na ek baar ayādat ko tū masīh
sau baar maiñ fareb se bīmār ho chukā
aaya na ek bar ayaadat ko tu masih
sau bar main fareb se bimar ho chuka
vo ayādat ko na aayā kareñ maiñ dar guzrā
hāl-e-dil pūchh ke aur aag lagā jaate haiñ
wo ayaadat ko na aaya karen main dar guzra
haal-e-dil puchh ke aur aag laga jate hain
ayādat hotī jaatī hai ibādat hotī jaatī hai
mire marne kī dekho sab ko aadat hotī jaatī hai
ayaadat hoti jati hai ibaadat hoti jati hai
mere marne ki dekho sab ko aadat hoti jati hai
-
Tags : Ibaadatand 1 more
vo ayādat ko to aayā thā magar jaate hue
apnī tasvīreñ bhī kamre se uThā kar le gayā
wo ayaadat ko to aaya tha magar jate hue
apni taswiren bhi kamre se uTha kar le gaya
-
Tag : Tasweer
ayādat ko mirī aa kar vo ye tākīd karte haiñ
tujhe ham maar Dāleñge nahīñ to jald achchhā ho
ayaadat ko meri aa kar wo ye takid karte hain
tujhe hum mar Dalenge nahin to jald achchha ho
tandurustī se to behtar thī mirī bīmārī
vo kabhī pūchh to lete the ki haal achchhā hai
tandurusti se to behtar thi meri bimari
wo kabhi puchh to lete the ki haal achchha hai
le merī ḳhabar chashm mire yaar kī kyūñ-kar
bīmār ayādat kare bīmār kī kyūñ-kar
le meri KHabar chashm mere yar ki kyun-kar
bimar ayaadat kare bimar ki kyun-kar
pūchh lete vo bas mizāj mirā
kitnā āsān thā ilaaj mirā
puchh lete wo bas mizaj mera
kitna aasan tha ilaj mera
-
Tags : Loveand 1 more
ek din pūchhā na 'hātim' ko kabhū us ne ki dost
kab se tū bīmār hai aur kyā tujhe āzār hai
ek din puchha na 'hatim' ko kabhu us ne ki dost
kab se tu bimar hai aur kya tujhe aazar hai
kaun aatā hai ayādat ke liye dekheñ 'farāġh'
apne jī ko zarā nā-sāz kiye dete haiñ
kaun aata hai ayaadat ke liye dekhen 'faragh'
apne ji ko zara na-saz kiye dete hain
jab na thā zabt to kyuuñ aa.e ayādat ke liye
tum ne kaahe ko mirā hāl-e-pareshāñ dekhā
jab na tha zabt to kyun aae ayaadat ke liye
tum ne kahe ko mera haal-e-pareshan dekha
ik baar aur merī ayādat ko aa.iye
achchhī tarah se maiñ abhī achchhā huā nahīñ
ek bar aur meri ayaadat ko aaiye
achchhi tarah se main abhi achchha hua nahin
aate haiñ ayādat ko to karte haiñ nasīhat
ahbāb se ġham-ḳhvār huā bhī nahīñ jaatā
aate hain ayaadat ko to karte hain nasihat
ahbab se gham-KHwar hua bhi nahin jata
apnī zabāñ se kuchh na kaheñge chup hī raheñge āshiq log
tum se to itnā ho saktā hai pūchho haal bechāroñ kā
apni zaban se kuchh na kahenge chup hi rahenge aashiq log
tum se to itna ho sakta hai puchho haal bechaaron ka
kabhū bīmār sun kar vo ayādat ko to aatā thā
hameñ apne bhale hone se vo āzār behtar thā
kabhu bimar sun kar wo ayaadat ko to aata tha
hamein apne bhale hone se wo aazar behtar tha
dekhne aa.e the vo apnī mohabbat kā asar
kahne ko ye hai ki aa.e haiñ ayādat kar ke
dekhne aae the wo apni mohabbat ka asar
kahne ko ye hai ki aae hain ayaadat kar ke
aan ke is bīmār ko dekhe tujh ko bhī taufīq huī
lab par us ke naam thā terā jab bhī dard shadīd huā
aan ke is bimar ko dekhe tujh ko bhi taufiq hui
lab par us ke nam tha tera jab bhi dard shadid hua
-
Tag : Dard
aaj us ne hañs ke yuuñ pūchhā mizāj
umr bhar ke ranj-o-ġham yaad aa ga.e
aaj us ne hans ke yun puchha mizaj
umr bhar ke ranj-o-gham yaad aa gae
aane lage haiñ vo bhī ayādat ke vāste
ai chārāgar marīz ko achchhā kiyā na jaa.e
aane lage hain wo bhi ayaadat ke waste
ai chaaragar mariz ko achchha kiya na jae