Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Habib Jalib's Photo'

Habib Jalib

1928 - 1993 | Lahore, Pakistan

Popular poet from Pakistan, known for his anti-establishment poetry, having mass following.

Popular poet from Pakistan, known for his anti-establishment poetry, having mass following.

Sher of Habib Jalib

22.2K
Favorite

SORT BY

ek hameñ āvāra kahnā koī baḌā ilzām nahīñ

duniyā vaale dil vāloñ ko aur bahut kuchh kahte haiñ

ek hamein aawara kahna koi baDa ilzam nahin

duniya wale dil walon ko aur bahut kuchh kahte hain

dushmanoñ ne jo dushmanī hai

dostoñ ne bhī kyā kamī hai

dushmanon ne jo dushmani ki hai

doston ne bhi kya kami ki hai

tum se pahle vo jo ik shaḳhs yahāñ taḳht-nashīñ thā

us ko bhī apne ḳhudā hone pe itnā yaqīñ thā

tum se pahle wo jo ek shaKHs yahan taKHt-nashin tha

us ko bhi apne KHuda hone pe itna hi yaqin tha

duniyā to chāhtī hai yūñhī fāsle raheñ

duniyā ke mashvaroñ pe na us galī meñ chal

duniya to chahti hai yunhi fasle rahen

duniya ke mashwaron pe na ja us gali mein chal

log Darte haiñ dushmanī se tirī

ham tirī dostī se Darte haiñ

log Darte hain dushmani se teri

hum teri dosti se Darte hain

sakeñge na umr bhar jis ko

justujū aaj bhī usī hai

pa sakenge na umr bhar jis ko

justuju aaj bhi usi ki hai

kuchh aur bhī haiñ kaam hameñ ai ġham-e-jānāñ

kab tak koī uljhī huī zulfoñ ko sañvāre

kuchh aur bhi hain kaam hamein ai gham-e-jaanan

kab tak koi uljhi hui zulfon ko sanware

un ke aane ke ba.ad bhī 'jālib'

der tak un intizār rahā

un ke aane ke baad bhi 'jalib'

der tak un ka intizar raha

aag meñ ai aurat zinda bhī jalī barsoñ

sāñche meñ har ik ġham ke chup-chāp Dhalī barsoñ

tu aag mein ai aurat zinda bhi jali barson

sanche mein har ek gham ke chup-chap Dhali barson

kuchh log ḳhayāloñ se chale jaa.eñ to so.eñ

biite hue din raat na yaad aa.eñ to so.eñ

kuchh log KHayalon se chale jaen to soen

bite hue din raat na yaad aaen to soen

ik umr sunā.eñ to hikāyat na ho puurī

do roz meñ ham par jo yahāñ biit ga.ī hai

ek umr sunaen to hikayat na ho puri

do roz mein hum par jo yahan bit gai hai

us sitamgar haqīqat ham pe zāhir ho ga.ī

ḳhatm ḳhush-fahmī manzil safar bhī ho gayā

us sitamgar ki haqiqat hum pe zahir ho gai

KHatm KHush-fahmi ki manzil ka safar bhi ho gaya

tumheñ to naaz bahut dostoñ pe thā 'jālib'

alag-thalag se ho kyā baat ho ga.ī pyāre

tumhein to naz bahut doston pe tha 'jalib'

alag-thalag se ho kya baat ho gai pyare

jin ḳhātir shahr bhī chhoḌā jin ke liye badnām hue

aaj vahī ham se begāne begāne se rahte haiñ

jin ki KHatir shahr bhi chhoDa jin ke liye badnam hue

aaj wahi hum se begane begane se rahte hain

chhoḌ is baat ko ai dost ki tujh se pahle

ham ne kis kis ko ḳhayāloñ meñ basā.e rakkhā

chhoD is baat ko ai dost ki tujh se pahle

hum ne kis kis ko KHayalon mein basae rakkha

jin yādoñ se raushan haiñ merī āñkheñ

dil kahtā hai un ko bhī maiñ yaad aatā huuñ

jin ki yaadon se raushan hain meri aankhen

dil kahta hai un ko bhi main yaad aata hun

laakh kahte raheñ zulmat ko na zulmat likhnā

ham ne sīkhā nahīñ pyāre ba-ijāzat likhnā

lakh kahte rahen zulmat ko na zulmat likhna

hum ne sikha nahin pyare ba-ijazat likhna

ik tirī yaad se ik tere tasavvur se hameñ

aa ga.e yaad ka.ī naam hasīnāoñ ke

ek teri yaad se ek tere tasawwur se hamein

aa gae yaad kai nam hasinaon ke

ye aur baat terī galī meñ na aa.eñ ham

lekin ye kyā ki shahr tirā chhoḌ jaa.eñ ham

ye aur baat teri gali mein na aaen hum

lekin ye kya ki shahr tera chhoD jaen hum

na terī yaad na duniyā ġham na apnā ḳhayāl

ajiib sūrat-e-hālāt ho ga.ī pyāre

na teri yaad na duniya ka gham na apna KHayal

ajib surat-e-haalat ho gai pyare

dil baat laboñ par kar ab tak ham dukh sahte haiñ

ham ne sunā thā is bastī meñ dil vaale bhī rahte haiñ

TRANSLATION

Having uttered my heart’s woes, till date I suffer,

I had heard that courageous people live in this town.

Sagar Akbarabadi

dil ki baat labon par la kar ab tak hum dukh sahte hain

hum ne suna tha is basti mein dil wale bhi rahte hain

TRANSLATION

Having uttered my heart’s woes, till date I suffer,

I had heard that courageous people live in this town.

Sagar Akbarabadi

kabhī jamhūriyat yahāñ aa.e

yahī 'jālib' hamārī hasrat hai

kabhi jamhuriyat yahan aae

yahi 'jalib' hamari hasrat hai

aur sab bhuul ga.e harf-e-sadāqat likhnā

rah gayā kaam hamārā baġhāvat likhnā

aur sab bhul gae harf-e-sadaqat likhna

rah gaya kaam hamara hi baghawat likhna

aane vaalī barkhā dekheñ kyā dikhlā.e āñkhoñ ko

ye barkhā barsāte din to bin pirītam be-kār ga.e

aane wali barkha dekhen kya dikhlae aankhon ko

ye barkha barsate din to bin piritam be-kar gae

amn thā pyaar thā mohabbat thā

rañg thā nuur thā navā thā firāq

amn tha pyar tha mohabbat tha

rang tha nur tha nawa tha firaq

sher se shā.irī se Darte haiñ

kam-nazar raushnī se Darte haiñ

sher se shairi se Darte hain

kam-nazar raushni se Darte hain

apnī to dāstāñ hai bas itnī

ġham uThā.e haiñ shā.erī hai

apni to dastan hai bas itni

gham uThae hain shaeri ki hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now