Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Asad Ali Khan Qalaq

1820 - 1879 | Lucknow, India

Prominent courtier of Wajid Ali Shah who accompanied him during his exile to Kolkata. Awarded the honorific title of 'Aftabu Daula Shams-e-Jung' by the Nawab.

Prominent courtier of Wajid Ali Shah who accompanied him during his exile to Kolkata. Awarded the honorific title of 'Aftabu Daula Shams-e-Jung' by the Nawab.

Sher of Asad Ali Khan Qalaq

4.2K
Favorite

SORT BY

adā se dekh lo jaatā rahe gila dil

bas ik nigāh pe Thahrā hai faisla dil

ada se dekh lo jata rahe gila dil ka

bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka

apne begāne se ab mujh ko shikāyat na rahī

dushmanī kar ke mire dost ne maarā mujh ko

apne begane se ab mujh ko shikayat na rahi

dushmani kar ke mere dost ne mara mujh ko

ai be-ḳhudi-e-dil mujhe ye bhī ḳhabar nahīñ

kis din bahār aa.ī maiñ dīvāna kab huā

ai be-KHudi-e-dil mujhe ye bhi KHabar nahin

kis din bahaar aai main diwana kab hua

āḳhir insān huuñ patthar to rakhtā nahīñ dil

ai buto itnā satāo na ḳhudā-rā mujh ko

aaKHir insan hun patthar ka to rakhta nahin dil

ai buto itna satao na KHuda-ra mujh ko

dast-e-junūñ ne phaaḌ ke pheñkā idhar-udhar

dāman abad meñ hai to garebāñ azal meñ hai

dast-e-junun ne phaD ke phenka idhar-udhar

daman abad mein hai to gareban azal mein hai

phir mujh se is tarah na kījegā dil-lagī

ḳhair is ghaḌī to aap maiñ kar gayā lihāz

phir mujh se is tarah ki na kijega dil-lagi

KHair is ghaDi to aap ka main kar gaya lihaz

hoñThoñ meñ daab kar jo gilaurī yaar ne

kyā daañt piise ġhairoñ ne kyā kyā chabā.e hoñTh

honThon mein dab kar jo gilauri di yar ne

kya dant pise ghairon ne kya kya chabae honTh

āsār-e-rihā.ī haiñ ye dil bol rahā hai

sayyād sitamgar mire par khol rahā hai

aasar-e-rihai hain ye dil bol raha hai

sayyaad sitamgar mere par khol raha hai

ḳhafā ho gāliyāñ do chāhe aane do na aane do

maiñ bose lūñgā sote meñ mujhe lapkā hai chorī

KHafa ho galiyan do chahe aane do na aane do

main bose lunga sote mein mujhe lapka hai chori ka

zamīn paañv ke nīche se sarkī jaatī hai

hameñ na chheḌiye ham haiñ falak satā.e hue

zamin panw ke niche se sarki jati hai

hamein na chheDiye hum hain falak satae hue

raste meñ un ko chheḌ ke khāte haiñ gāliyāñ

bāzār miThā.ī bhī hotī hai kyā lazīz

raste mein un ko chheD ke khate hain galiyan

bazar ki miThai bhi hoti hai kya laziz

karo tum mujh se bāteñ aur maiñ bāteñ karūñ tum se

kalīm-ullāh ho jā.ūñ maiñ ejāz-e-takallum se

karo tum mujh se baaten aur main baaten karun tum se

kalim-ullah ho jaun main ejaz-e-takallum se

kareñge ham se vo kyūñkar nibāh dekhte haiñ

ham un thoḌe dinoñ aur chaah dekhte haiñ

karenge hum se wo kyunkar nibah dekhte hain

hum un ki thoDe dinon aur chah dekhte hain

yahī insāf tire ahd meñ hai ai shah-e-husn

vājib-ul-qatl mohabbat ke gunahgār haiñ sab

yahi insaf tere ahd mein hai ai shah-e-husn

wajib-ul-qatl mohabbat ke gunahgar hain sab

yaad dilvā.iye un ko jo kabhī va.ada-e-vasl

to vo kis naaz se farmāte haiñ ham bhuul ga.e

yaad dilwaiye un ko jo kabhi wada-e-wasl

to wo kis naz se farmate hain hum bhul gae

umr to apnī huī sab but-parastī meñ basar

naam ko duniyā meñ haiñ ab sāhib-e-islām ham

umr to apni hui sab but-parasti mein basar

nam ko duniya mein hain ab sahib-e-islam hum

banā kar til ruḳh-e-raushan par do shoḳhī se se kahte haiñ

ye kājal ham ne yaarā hai charāġh-e-māh-e-tābāñ par

bana kar til ruKH-e-raushan par do shoKHi se se kahte hain

ye kajal hum ne yara hai charagh-e-mah-e-taban par

ḳhudā-hāfiz hai ab ai zāhido islām-e-āshiq

butān-e-dahr ġhālib aa ga.e haiñ ka.aba-o-dil par

KHuda-hafiz hai ab ai zahido islam-e-ashiq ka

butan-e-dahr ghaalib aa gae hain kaba-o-dil par

chalā hai chhoḌ ke tanhā kidhar tasavvur-e-yār

shab-e-firāq meñ thā tujh se mashġhala dil

chala hai chhoD ke tanha kidhar tasawwur-e-yar

shab-e-firaq mein tha tujh se mashghala dil ka

himmat zāhidoñ sarāsar qusūr thā

mai-ḳhāna ḳhānqāh se aisā na duur thā

himmat ka zahidon ki sarasar qusur tha

mai-KHana KHanqah se aisa na dur tha

sitam vo tum ne kiye bhūle ham gila dil

huā tumhāre bigaḌne se faisla dil

sitam wo tum ne kiye bhule hum gila dil ka

hua tumhaare bigaDne se faisla dil ka

vo ek raat to mujh se alag na so.egā

huā jo lazzat-e-bos-o-kanār se vāqif

wo ek raat to mujh se alag na soega

hua jo lazzat-e-bos-o-kanar se waqif

kyā koī dil lagā ke kahe sher ai 'qalaq'

nāqadrī-e-suḳhan se haiñ ahl-e-suḳhan udaas

kya koi dil laga ke kahe sher ai 'qalaq'

naqadri-e-suKHan se hain ahl-e-suKHan udas

ai parī-zād jo raqs kare mastī meñ

dāna-e-tāk har ik paañv meñ ghuñghrū ho jaa.e

ai pari-zad jo tu raqs kare masti mein

dana-e-tak har ek panw mein ghunghru ho jae

sindūr us maañg meñ detā hai yuuñ bahār

jaise dhanak nikaltī hai abr-e-siyāh meñ

sindur us ki mang mein deta hai yun bahaar

jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyah mein

manzil hai apnī apnī 'qalaq' apnī apnī gor

koī nahīñ sharīk kisī ke gunāh meñ

manzil hai apni apni 'qalaq' apni apni gor

koi nahin sharik kisi ke gunah mein

ruḳh tah-e-zulf hai aur zulf pareshāñ sar par

maañg bāloñ meñ nahīñ hai ye numāyāñ sar par

ruKH tah-e-zulf hai aur zulf pareshan sar par

mang baalon mein nahin hai ye numayan sar par

khulne se ek jism ke sau aib Dhak ga.e

uryāñ-tanī bhī josh-e-junūñ meñ libās hai

khulne se ek jism ke sau aib Dhak gae

uryan-tani bhi josh-e-junun mein libas hai

vo riñd huuñ ki mujhe hathkaḌī se bai.at hai

milā hai gesū-e-jānāñ se silsila dil

wo rind hun ki mujhe hathkaDi se baiat hai

mila hai gesu-e-jaanan se silsila dil ka

maiñ vo mai-kash huuñ milī hai mujh ko ghuTTī meñ sharāb

shiir ke badle piyā hai maiñ ne shīra taak

main wo mai-kash hun mili hai mujh ko ghuTTi mein sharab

shir ke badle piya hai main ne shira tak ka

ḳhat meñ likkhī hai haqīqat dasht-gardī agar

nāma-bar jañgalī kabūtar ko banānā chāhiye

KHat mein likkhi hai haqiqat dasht-gardi ki agar

nama-bar jangali kabutar ko banana chahiye

yaar fart-e-nazākat huuñ maiñ shukr-guzār

dhyān bhī us mire dil se nikalne na diyā

yar ki fart-e-nazakat ka hun main shukr-guzar

dhyan bhi us ka mere dil se nikalne na diya

ghaaT par talvār ke nahlā.īyo mayyat mirī

kushta-e-abrū huuñ maiñ kyā ġhusl-ḳhāna chāhiye

ghaT par talwar ke nahlaiyo mayyat meri

kushta-e-abru hun main kya ghusl-KHana chahiye

nayā mazmūn laanā kāTnā koh-o-jabal hai

nahīñ ham sher kahte pesha-e-farhād kahte haiñ

naya mazmun lana kaTna koh-o-jabal ka hai

nahin hum sher kahte pesha-e-farhad kahte hain

ālam-e-pīrī meñ kyā mū-e-siyah e.atibār

sub.h-e-sādiq detī hai jhūTī gavāhī raat

aalam-e-piri mein kya mu-e-siyah ka eatibar

subh-e-sadiq deti hai jhuTi gawahi raat ki

mujh se un āñkhoñ ko vahshat hai magar mujh ko hai ishq

khelā kartā huuñ shikār āhū-e-sahrā.ī

mujh se un aankhon ko wahshat hai magar mujh ko hai ishq

khela karta hun shikar aahu-e-sahrai ka

chheḌā agar mire dil-e-nālāñ ko aap ne

phir bhuul jā.iyegā bajānā sitār

chheDa agar mere dil-e-nalan ko aap ne

phir bhul jaiyega bajaana sitar ka

bahār aate zaḳhm-e-dil hare sab ho ga.e mere

udhar chaTkā koī ġhuncha idhar TuuTā har ik Tāñkā

bahaar aate hi zaKHm-e-dil hare sab ho gae mere

udhar chaTka koi ghuncha idhar TuTa har ek Tanka

pūchhā sabā se us ne patā kū-e-yār

dekho zarā shu.ūr hamāre ġhubār

puchha saba se us ne pata ku-e-yar ka

dekho zara shuur hamare ghubar ka

huā maiñ riñd-mashrab ḳhaak mar kar is tamannā meñ

namāz āḳhir paḌheñge vo kisī din to tayammum se

hua main rind-mashrab KHak mar kar is tamanna mein

namaz aaKHir paDhenge wo kisi din to tayammum se

'qalaq' ġhazleñ paḌheñge jā-e-qur.āñ sab pas-e-murdan

hamārī qabr par jab majma-e-ahl-e-suḳhan hogā

'qalaq' ghazlen paDhenge ja-e-quran sab pas-e-murdan

hamari qabr par jab majma-e-ahl-e-suKHan hoga

kotāh umr ho ga.ī aur ye na kam huī

ai jaan aa ke tūl-e-shab-e-intizār dekh

kotah umr ho gai aur ye na kam hui

ai jaan aa ke tul-e-shab-e-intizar dekh

jab huā garm-e-kalām-e-muḳhtasar mahkā diyā

itr khīñchā yaar ke lab ne gul-e-taqrīr

jab hua garm-e-kalam-e-muKHtasar mahka diya

itr khincha yar ke lab ne gul-e-taqrir ka

kufr-o-islām ke jhagḌoñ se chhuḌāyā sad-shukr

qaid-e-maz.hab se junūñ ne mujhe āzād kiyā

kufr-o-islam ke jhagDon se chhuDaya sad-shukr

qaid-e-mazhab se junun ne mujhe aazad kiya

dil ḳhasta ho to lutf uThe kuchh apnī ġhazal

matlab koī kyā samjhegā mastoñ zaTal

dil KHasta ho to lutf uThe kuchh apni ghazal ka

matlab koi kya samjhega maston ki zaTal ka

tire hoñThoñ se sharmā kar pasīne meñ huā ye tar

ḳhizar ne ḳhud araq poñchhā jabīn-e-āb-e-haivāñ

tere honThon se sharma kar pasine mein hua ye tar

KHizar ne KHud araq ponchha jabin-e-ab-e-haiwan ka

misāl-e-ā.ina ham jab se hairatī haiñ tire

ki jin dinoñ meñ na thā siñgār se vāqif

misal-e-aina hum jab se hairati hain tere

ki jin dinon mein na tha tu singar se waqif

un vā.izoñ zid se ham ab bahār meñ

toḌeñge tauba pīr-e-muġhāñ dukān par

un waizon ki zid se hum ab ki bahaar mein

toDenge tauba pir-e-mughan ki dukan par

mai jo ġhair ko saaqī ne karāhat dekho

shīsha-e-mai ko maraz ho gayā ubkā.ī

mai jo di ghair ko saqi ne karahat dekho

shisha-e-mai ko maraz ho gaya ubkai ka

ḳhush-qadoñ se kabhī aalam na rahegā ḳhālī

is chaman se jo gayā sarv to shamshād aayā

KHush-qadon se kabhi aalam na rahega KHali

is chaman se jo gaya sarw to shamshad aaya

Recitation

Speak Now