Sher of Azhar Inayati
har ek raat ko mahtāb dekhne ke liye
maiñ jāgtā huuñ tirā ḳhvāb dekhne ke liye
har ek raat ko mahtab dekhne ke liye
main jagta hun tera KHwab dekhne ke liye
ye aur baat ki āñdhī hamāre bas meñ nahīñ
magar charāġh jalānā to iḳhtiyār meñ hai
ye aur baat ki aandhi hamare bas mein nahin
magar charagh jalana to iKHtiyar mein hai
-
Tag : Motivational
apnī tasvīr banāoge to hogā ehsās
kitnā dushvār hai ḳhud ko koī chehrā denā
apni taswir banaoge to hoga ehsas
kitna dushwar hai KHud ko koi chehra dena
-
Tag : Tasweer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġhazal kā sher to hotā hai bas kisī ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunānā paḌtā hai
ghazal ka sher to hota hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunana paDta hai
-
Tag : Sher
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rāsto kyā hue vo log ki āte-jāte
mere ādāb pe kahte the ki jiite rahiye
rasto kya hue wo log ki aate-jate
mere aadab pe kahte the ki jite rahiye
-
Tag : Yaad-e-Raftagan
ye alag baat ki maiñ nuuh nahīñ thā lekin
maiñ ne kashtī ko ġhalat samt meñ bahne na diyā
ye alag baat ki main nuh nahin tha lekin
main ne kashti ko ghalat samt mein bahne na diya
-
Tag : Kashti
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
purāne ahd meñ bhī dushmanī thī
magar māhaul zahrīlā nahīñ thā
purane ahd mein bhi dushmani thi
magar mahaul zahrila nahin tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kisī ke aib chhupānā savāb hai lekin
kabhī kabhī koī parda uThānā paḌtā hai
kisi ke aib chhupana sawab hai lekin
kabhi kabhi koi parda uThana paDta hai
-
Tag : Aib
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tamām-shahr meñ kis tarah chāñdnī phailī
ki māhtāb to kal raat mere ghar meñ thā
tamam-shahr mein kis tarah chandni phaili
ki mahtab to kal raat mere ghar mein tha
ḳhud-kushī ke liye thoḌā sā ye kaafī hai magar
zinda rahne ko bahut zahr piyā jaatā hai
KHud-kushi ke liye thoDa sa ye kafi hai magar
zinda rahne ko bahut zahr piya jata hai
naqsh miTte haiñ to aatā hai ḳhayāl
ret par ham bhī kahāñ the pahle
naqsh miTte hain to aata hai KHayal
ret par hum bhi kahan the pahle
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo tāza-dam haiñ na.e sho.abde dikhāte hue
avaam thakne lage tāliyāñ bajāte hue
wo taza-dam hain nae shoabde dikhate hue
awam thakne lage taliyan bajate hue
-
Tag : Politics
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kabhī qarīb kabhī duur ho ke rote haiñ
mohabbatoñ ke bhī mausam ajiib hote haiñ
kabhi qarib kabhi dur ho ke rote hain
mohabbaton ke bhi mausam ajib hote hain
ajab junūn hai ye intiqām kā jazba
shikast khā ke vo paanī meñ zahr Daal aayā
ajab junun hai ye intiqam ka jazba
shikast kha ke wo pani mein zahr Dal aaya
-
Tag : Intiqam
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sambhal ke chalne kā saarā ġhurūr TuuT gayā
ik aisī baat kahī us ne laḌkhaḌāte hue
sambhal ke chalne ka sara ghurur TuT gaya
ek aisi baat kahi us ne laDkhaDate hue
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
is rāste meñ jab koī saaya na pā.egā
ye āḳhirī daraḳht bahut yaad aa.egā
is raste mein jab koi saya na paega
ye aaKHiri daraKHt bahut yaad aaega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhud apne paañv bhī logoñ ne kar liye zaḳhmī
hamārī raah meñ kāñTe yahāñ bichhāte hue
KHud apne panw bhi logon ne kar liye zaKHmi
hamari rah mein kanTe yahan bichhate hue
log yuuñ kahte haiñ apne qisse
jaise vo shāh-jahāñ the pahle
log yun kahte hain apne qisse
jaise wo shah-jahan the pahle
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo taḌap jaa.e ishāra koī aisā denā
us ko ḳhat likhnā to merā bhī havāla denā
wo taDap jae ishaara koi aisa dena
us ko KHat likhna to mera bhi hawala dena
-
Tag : Khat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
huā ujālā to ham un ke naam bhuul ga.e
jo bujh ga.e haiñ charāġhoñ kī lau baḌhāte hue
hua ujala to hum un ke nam bhul gae
jo bujh gae hain charaghon ki lau baDhate hue
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
palaT chaleñ ki ġhalat aa ga.e hamīñ shāyad
ra.iis logoñ se milne ke vaqt hote haiñ
palaT chalen ki ghalat aa gae hamin shayad
rais logon se milne ke waqt hote hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merī ḳhāmoshī pe the jo ta.ana-zan
shor meñ apne hī bahre ho ga.e
meri KHamoshi pe the jo tana-zan
shor mein apne hi bahre ho gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye bhī rahā hai kūcha-e-jānāñ meñ apnā rañg
aahaT huī to chāñd darīche meñ aa gayā
ye bhi raha hai kucha-e-jaanan mein apna rang
aahaT hui to chand dariche mein aa gaya
-
Tag : Aahat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye masḳharoñ ko vazīfe yūñhī nahīñ milte
ra.iis ḳhud nahīñ hañste hañsānā paḌtā hai
ye masKHaron ko wazife yunhi nahin milte
rais KHud nahin hanste hansana paDta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo jis ke sehn meñ koī gulāb khil na sakā
tamām shahr ke bachchoñ se pyaar kartā thā
wo jis ke sehn mein koi gulab khil na saka
tamam shahr ke bachchon se pyar karta tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujh ko bhī jāgne kī aziyyat se de najāt
ai raat ab to ghar ke dar-o-bām so ga.e
mujh ko bhi jagne ki aziyyat se de najat
ai raat ab to ghar ke dar-o-baam so gae
-
Tag : Baam
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aaj shahroñ meñ haiñ jitne ḳhatre
jañgaloñ meñ bhī kahāñ the pahle
aaj shahron mein hain jitne KHatre
jangalon mein bhi kahan the pahle
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shikastagī meñ bhī kyā shaan hai imārat kī
ki dekhne ko ise sar uThānā paḌtā hai
shikastagi mein bhi kya shan hai imarat ki
ki dekhne ko ise sar uThana paDta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aaj bhī shām-e-ġham! udaas na ho
maañg kar maiñ charāġh laatā huuñ
aaj bhi sham-e-gham! udas na ho
mang kar main charagh lata hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
javānoñ meñ tasādum kaise ruktā
qabīle meñ koī būḌhā nahīñ thā
jawanon mein tasadum kaise rukta
qabile mein koi buDha nahin tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chaurāhoñ kā to husn baḌhā shahr ke magar
jo log nāmvar the vo patthar ke ho ga.e
chaurahon ka to husn baDha shahr ke magar
jo log namwar the wo patthar ke ho gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apne āñchal meñ chhupā kar mire aañsū le jā
yaad rakhne ko mulāqāt ke jugnū le jā
apne aanchal mein chhupa kar mere aansu le ja
yaad rakhne ko mulaqat ke jugnu le ja
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jahāñ zideñ kiyā kartā thā bachpanā merā
kahāñ se lā.ūñ khilaunoñ kī un dukānoñ ko
jahan ziden kiya karta tha bachpana mera
kahan se laun khilaunon ki un dukanon ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ jise DhūñDne niklā thā use pā na sakā
ab jidhar jī tirā chāhe mujhe ḳhushbū le jā
main jise DhunDne nikla tha use pa na saka
ab jidhar ji tera chahe mujhe KHushbu le ja
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ghar se kis tarah maiñ niklūñ ki ye maddham sā charāġh
maiñ nahīñ hūñgā to tanhā.ī meñ bujh jā.egā
ghar se kis tarah main niklun ki ye maddham sa charagh
main nahin hunga to tanhai mein bujh jaega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
javān ho ga.ī ik nasl sunte sunte ġhazal
ham aur ho ga.e būḌhe ġhazal sunāte hue
jawan ho gai ek nasl sunte sunte ghazal
hum aur ho gae buDhe ghazal sunate hue
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nayā ḳhuuñ ragoñ meñ ravāñ kar diyā
ġhazal ham ne tujh ko javāñ kar diyā
naya KHun ragon mein rawan kar diya
ghazal hum ne tujh ko jawan kar diya
is kār-e-āgahī ko junūñ kah rahe haiñ log
mahfūz kar rahe haiñ fazā meñ sadā.eñ ham
is kar-e-agahi ko junun kah rahe hain log
mahfuz kar rahe hain faza mein sadaen hum
-
Tag : Aagahi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sab dekh kar guzar ga.e ik pal meñ aur ham
dīvār par bane hue manzar meñ kho ga.e
sab dekh kar guzar gae ek pal mein aur hum
diwar par bane hue manzar mein kho gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
un ke bhī apne ḳhvāb the apnī zarūrateñ
ham-sā.e kā magar vo galā kāTte rahe
un ke bhi apne KHwab the apni zaruraten
ham-sae ka magar wo gala kaTte rahe
ham-asroñ meñ ye chheḌ chalī aa.ī hai 'az.har'
yaañ 'zauq' ne 'ġhālib' ko bhī ġhālib nahīñ samjhā
ham-asron mein ye chheD chali aai hai 'azhar'
yan 'zauq' ne 'ghaalib' ko bhi ghaalib nahin samjha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā rah gayā hai shahr meñ khañDarāt ke sivā
kyā dekhne ko ab yahāñ aa.e hue haiñ log
kya rah gaya hai shahr mein khanDaraat ke siwa
kya dekhne ko ab yahan aae hue hain log
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
karne ko raushnī ke ta.āqub kā tajraba
kuchh duur mere saath bhī parchhā.iyāñ ga.iiñ
karne ko raushni ke taaqub ka tajraba
kuchh dur mere sath bhi parchhaiyan gain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tamām shahr se bad-zan karā diyā shah ko
musāhiboñ kā ḳhudā jaane thā irāda kyā
tamam shahr se bad-zan kara diya shah ko
musahibon ka KHuda jaane tha irada kya
ab mire ba.ad koī sar bhī nahīñ hogā tulūa
ab kisī samt se patthar bhī nahīñ aa.egā
ab mere baad koi sar bhi nahin hoga tulua
ab kisi samt se patthar bhi nahin aaega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tārīḳh bhī huuñ utne baras kī moarriḳho
chehre pe mere jitne baras kī ye gard hai
tariKH bhi hun utne baras ki moarriKHo
chehre pe mere jitne baras ki ye gard hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hamāre sar kī bulandī tak aao to dekho
farāz-e-dār se kyā kyā dikhā.ī detā hai
hamare sar ki bulandi tak aao to dekho
faraaz-e-dar se kya kya dikhai deta hai