Sher of Majeed Amjad
maiñ roz idhar se guzartā huuñ kaun dekhtā hai
maiñ jab idhar se na guzrūñgā kaun dekhegā
main roz idhar se guzarta hun kaun dekhta hai
main jab idhar se na guzrunga kaun dekhega
haa.e vo zindagī-fareb āñkheñ
tū ne kyā sochā maiñ ne kyā samjhā
hae wo zindagi-fareb aankhen
tu ne kya socha main ne kya samjha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ ek pal ke rañj-e-farāvāñ meñ kho gayā
murjhā ga.e zamāne mire intizār meñ
main ek pal ke ranj-e-farawan mein kho gaya
murjha gae zamane mere intizar mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
salām un pe tah-e-teġh bhī jinhoñ ne kahā
jo terā hukm jo terī razā jo tū chāhe
salam un pe tah-e-tegh bhi jinhon ne kaha
jo tera hukm jo teri raza jo tu chahe
masīh-o-ḳhizr kī umreñ nisār hoñ us par
vo ek lamha jo yāroñ ke darmiyāñ guzre
masih-o-KHizr ki umren nisar hon us par
wo ek lamha jo yaron ke darmiyan guzre
baḌe salīqe se duniyā ne mere dil ko diye
vo ghaao jin meñ thā sachchā.iyoñ kā charkā bhī
baDe saliqe se duniya ne mere dil ko diye
wo ghao jin mein tha sachchaiyon ka charka bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā ruup dostī kā kyā rañg dushmanī kā
koī nahīñ jahāñ meñ koī nahīñ kisī kā
kya rup dosti ka kya rang dushmani ka
koi nahin jahan mein koi nahin kisi ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har vaqt fikr-e-marg-e-ġharībāna chāhiye
sehhat kā ek pahlū marīzāna chāhiye
har waqt fikr-e-marg-e-gharibana chahiye
sehhat ka ek pahlu marizana chahiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zindagī kī rāhateñ miltī nahīñ miltī nahīñ
zindagī kā zahr pī kar justujū meñ ghūmiye
zindagi ki rahaten milti nahin milti nahin
zindagi ka zahr pi kar justuju mein ghumiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tire ḳhayāl ke pahlū se uTh ke jab dekhā
mahak rahā thā zamāne meñ chār-sū tirā ġham
tere KHayal ke pahlu se uTh ke jab dekha
mahak raha tha zamane mein chaar-su tera gham
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
is jaltī dhuup meñ ye ghane sāya-dār peḌ
maiñ apnī zindagī unheñ de duuñ jo ban paḌe
is jalti dhup mein ye ghane saya-dar peD
main apni zindagi unhen de dun jo ban paDe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nigah uThī to zamāne ke sāmne tirā ruup
palak jhukī to mire dil ke rū-ba-rū tirā ġham
nigah uThi to zamane ke samne tera rup
palak jhuki to mere dil ke ru-ba-ru tera gham
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye kyā tilism hai ye kis kī yāsmīñ bāñheñ
chhiḌak ga.ī haiñ jahāñ-dar-jahāñ gulāb ke phuul
ye kya tilism hai ye kis ki yasmin banhen
chhiDak gai hain jahan-dar-jahan gulab ke phul
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merī mānind ḳhud-nigar tanhā
ye surāhī meñ phuul nargis kā
meri manind KHud-nigar tanha
ye surahi mein phul nargis ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
din kaT rahe haiñ kashmakash-e-rozgār meñ
dam ghuT rahā hai sāya-e-abr-e-bahār meñ
din kaT rahe hain kashmakash-e-rozgar mein
dam ghuT raha hai saya-e-abr-e-bahaar mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chāñdnī meñ sāya-hā-e-kāḳh-o-kū meñ ghūmiye
phir kisī ko chāhne kī aarzū meñ ghūmiye
chandni mein saya-ha-e-kaKH-o-ku mein ghumiye
phir kisi ko chahne ki aarzu mein ghumiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
supurdagī meñ bhī ik ramz-e-ḳhud-nigah-dārī
vo mere dil se mire vāste nahīñ guzre
supurdagi mein bhi ek ramz-e-KHud-nigah-dari
wo mere dil se mere waste nahin guzre
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jab anjuman tavajjoh-e-sad-guftugū meñ ho
merī taraf bhī ik nigah-e-kam-suḳhan paḌe
jab anjuman tawajjoh-e-sad-guftugu mein ho
meri taraf bhi ek nigah-e-kam-suKHan paDe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shāyad ik bhūlī tamannā miTte miTte jī uThe
aur bhī is jalva-zār-e-rañg-o-bū meñ ghūmiye
shayad ek bhuli tamanna miTte miTte ji uThe
aur bhi is jalwa-zar-e-rang-o-bu mein ghumiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download