Sher of Sahir Dehlavi
mil-milā ke donoñ ne dil ko kar diyā barbād
husn ne kiyā be-ḳhud ishq ne kiyā āzād
mil-mila ke donon ne dil ko kar diya barbaad
husn ne kiya be-KHud ishq ne kiya aazad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
naqsh-e-qadam haiñ raah meñ farhād-o-qais ke
ai ishq khīñch kar mujhe laayā idhar kahāñ
naqsh-e-qadam hain rah mein farhad-o-qais ke
ai ishq khinch kar mujhe laya idhar kahan
sher kyā hai aah hai yā vaah hai
jis se har dil kī ubhar aatī hai choT
sher kya hai aah hai ya wah hai
jis se har dil ki ubhar aati hai choT
yuuñ to har diin meñ hai sāhab-e-īmāñ honā
ham ko ik but ne sikhāyā hai musalmāñ honā
yun to har din mein hai sahab-e-iman hona
hum ko ek but ne sikhaya hai musalman hona
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
azal se ham-nafasī hai jo jān-e-jāñ se hameñ
payām dam-ba-dam aatā hai lā-makāñ se hameñ
azal se ham-nafasi hai jo jaan-e-jaan se hamein
payam dam-ba-dam aata hai la-makan se hamein
kitāb-e-dars-e-majnūñ mus.haf-e-ruḳhsār-e-lailā hai
harīf-e-nukta-dān-e-ishq ko maktab se kyā matlab
kitab-e-dars-e-majnun mushaf-e-ruKHsar-e-laila hai
harif-e-nukta-dan-e-ishq ko maktab se kya matlab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġham-e-maujūd ġhalat aur ġham-e-fardā bātil
rāhat ik ḳhvāb hai jis kī koī tābīr nahīñ
gham-e-maujud ghalat aur gham-e-farda baatil
rahat ek KHwab hai jis ki koi tabir nahin
vā hote haiñ mastī meñ ḳharābāt ke asrār
rindī mirā īmān hai mastī hai mirā farz
wa hote hain masti mein KHarabaat ke asrar
rindi mera iman hai masti hai mera farz
thā anal-haq lab-e-mansūr pe kyā aap se aap
thā jo parde meñ chhupā bol uThā aap se aap
tha anal-haq lab-e-mansur pe kya aap se aap
tha jo parde mein chhupa bol uTha aap se aap
ahd-e-mīsāq kā lāzim hai adab ai vaa.iz
hai ye paimān-e-vafā rishta-e-zunnār na toḌ
ahd-e-misaq ka lazim hai adab ai waiz
hai ye paiman-e-wafa rishta-e-zunnar na toD
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo lā-maz.hab ho us ko millat-o-mashrab se kyā matlab
mirā mashrab hai rindī riñd ko maz.hab se kyā matlab
jo la-mazhab ho us ko millat-o-mashrab se kya matlab
mera mashrab hai rindi rind ko mazhab se kya matlab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai parī-rū tire dīvāne kā īmāñ kyā hai
ik nigāh-e-ġhalat-andāz pe qurbāñ honā
ai pari-ru tere diwane ka iman kya hai
ek nigah-e-ghalat-andaz pe qurban hona
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ dīvāna huuñ aur dair-o-haram se mujh ko vahshat hai
paḌī rahne do mere paañv meñ zanjīr-e-mai-ḳhāna
main diwana hun aur dair-o-haram se mujh ko wahshat hai
paDi rahne do mere panw mein zanjir-e-mai-KHana
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā shauq kā aalam thā ki hāthoñ se uḌā ḳhat
dil thaam ke us shoḳh ko likhne jo lagā ḳhat
kya shauq ka aalam tha ki hathon se uDa KHat
dil tham ke us shoKH ko likhne jo laga KHat
pābandī-e-ahkām-e-sharī.at hai vahāñ farz
rindoñ ko ruḳh-e-sāqī-o-sāġhar hue maḳhsūs
pabandi-e-ahkaam-e-shariat hai wahan farz
rindon ko ruKH-e-saqi-o-saghar hue maKHsus
hai sanam-ḳhāna mirā paimān-e-ishq
zauq-e-mai-ḳhāna mujhe sāmān-e-ishq
hai sanam-KHana mera paiman-e-ishq
zauq-e-mai-KHana mujhe saman-e-ishq
aate hue is tan meñ na jaate hue tan se
hai jān-e-makīñ ko na lagāvaT na rukāvaT
aate hue is tan mein na jate hue tan se
hai jaan-e-makin ko na lagawaT na rukawaT
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham gadā-e-dar-e-mai-ḳhāna haiñ ai pīr-e-muġhāñ
kaam apnā tire sadqe meñ chalā lete haiñ
hum gada-e-dar-e-mai-KHana hain ai pir-e-mughan
kaam apna tere sadqe mein chala lete hain
kaunain-e-ain-e-ilm meñ hai jalva-gāh-e-husn
jeb-e-ḳhirad se ainak-e-irfāñ nikāliye
kaunain-e-ain-e-ilm mein hai jalwa-gah-e-husn
jeb-e-KHirad se ainak-e-irfan nikaliye
be-nishāñ sāhir nishāñ meñ aa ke shāyad ban gayā
lā-makāñ ho kar makāñ meñ ḳhud makīñ hotā rahā
be-nishan sahir nishan mein aa ke shayad ban gaya
la-makan ho kar makan mein KHud makin hota raha
qadam hai ain hudūs aur hudūs ain qadam
jo tū na jalve meñ aatā to maiñ kahāñ hotā
qadam hai ain hudus aur hudus ain qadam
jo tu na jalwe mein aata to main kahan hota
qulzum-e-fikr meñ hai kashtī-e-īmāñ sālim
nā-ḳhudā husn hai aur ishq hai lañgar apnā
qulzum-e-fikr mein hai kashti-e-iman salim
na-KHuda husn hai aur ishq hai langar apna
ayaañ 'alīm' se hai jism-o-jān kā ilhāq
makīñ makāñ meñ na hotā to lā-makāñ hotā
ayan 'alim' se hai jism-o-jaan ka ilhaq
makin makan mein na hota to la-makan hota