Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aashufta Changezi's Photo'

Aashufta Changezi

1956 - 1996 | Aligarh, India

Prominent post-modern poet who went missing in 1996

Prominent post-modern poet who went missing in 1996

Sher of Aashufta Changezi

10.7K
Favorite

SORT BY

hameñ bhī aaj karnā thā intizār us

use bhī aaj sab vaade bhuul jaane the

hamein bhi aaj hi karna tha intizar us ka

use bhi aaj hi sab wade bhul jaane the

kis talāsh hai hameñ kis ke asar meñ haiñ

jab se chale haiñ ghar se musalsal safar meñ haiñ

kis ki talash hai hamein kis ke asar mein hain

jab se chale hain ghar se musalsal safar mein hain

savāl kartī ka.ī āñkheñ muntazir haiñ yahāñ

javāb aaj bhī ham soch kar nahīñ aa.e

sawal karti kai aankhen muntazir hain yahan

jawab aaj bhi hum soch kar nahin aae

tujh se bichhaḌnā koī nayā hādsa nahīñ

aise hazāroñ qisse hamārī ḳhabar meñ haiñ

tujh se bichhaDna koi naya hadsa nahin

aise hazaron qisse hamari KHabar mein hain

burā mat maan itnā hausla achchhā nahīñ lagtā

ye uThte baiThte zikr-e-vafā achchhā nahīñ lagtā

bura mat man itna hausla achchha nahin lagta

ye uThte baiThte zikr-e-wafa achchha nahin lagta

tujh ko bhī kyuuñ yaad rakhā

soch ke ab pachhtāte haiñ

tujh ko bhi kyun yaad rakha

soch ke ab pachhtate hain

ye baat yaad rakheñge talāshne vaale

jo us safar pe ga.e lauT kar nahīñ aa.e

ye baat yaad rakhenge talashne wale

jo us safar pe gae lauT kar nahin aae

ūñchī uḌaan ke liye par taulte the ham

ūñchā.iyoñ pe saañs ghuTegī patā na thā

unchi uDan ke liye par taulte the hum

unchaiyon pe sans ghuTegi pata na tha

ḳhvāb jitne dekhne haiñ aaj saare dekh leñ

kyā bharosa kal kahāñ pāgal havā le jā.egī

KHwab jitne dekhne hain aaj sare dekh len

kya bharosa kal kahan pagal hawa le jaegi

safar to pahle bhī kitne kiye magar is baar

ye lag rahā hai ki tujh ko bhī bhuul jā.eñge

safar to pahle bhi kitne kiye magar is bar

ye lag raha hai ki tujh ko bhi bhul jaenge

sabhī ko apnā samajhtā huuñ kyā huā hai mujhe

bichhaḌ ke tujh se ajab rog lag gayā hai mujhe

sabhi ko apna samajhta hun kya hua hai mujhe

bichhaD ke tujh se ajab rog lag gaya hai mujhe

kabhī is shahr se ho kar guzar

rāstoñ ke jaal meñ uljhā huuñ maiñ

tu kabhi is shahr se ho kar guzar

raston ke jal mein uljha hun main

terī ḳhabar mil jaatī thī

shahr meñ jab aḳhbār na the

teri KHabar mil jati thi

shahr mein jab aKHbar na the

pahle kyā kam tamāshe the yahāñ

phir na.e manzar uThā laayā huuñ maiñ

pahle hi kya kam tamashe the yahan

phir nae manzar uTha laya hun main

kahā thā tum se ki ye rāsta bhī Thiik nahīñ

kabhī to qāfile vāloñ baat rakh lete

kaha tha tum se ki ye rasta bhi Thik nahin

kabhi to qafile walon ki baat rakh lete

sone se jāgne ta.alluq na thā koī

saḌkoñ pe apne ḳhvāb liye bhāgte rahe

sone se jagne ka talluq na tha koi

saDkon pe apne KHwab liye bhagte rahe

badan bhīgeñge barsāteñ raheñgī

abhī kuchh din ye sauġhāteñ raheñgī

badan bhigenge barsaten rahengi

abhi kuchh din ye saughaten rahengi

jo har qadam pe mire saath saath rahtā thā

zarūr koī na koī to vāstā hogā

jo har qadam pe mere sath sath rahta tha

zarur koi na koi to wasta hoga

saḌak pe chalte hue āñkheñ band rakhtā huuñ

tire jamāl aisā maza paḌā hai mujhe

saDak pe chalte hue aankhen band rakhta hun

tere jamal ka aisa maza paDa hai mujhe

hameñ ḳhabar thī zabāñ kholte kyā hogā

kahāñ kahāñ magar āñkhoñ pe haath rakh lete

hamein KHabar thi zaban kholte hi kya hoga

kahan kahan magar aankhon pe hath rakh lete

dariyāoñ nazr hue

dhīre dhīre sab tairāk

dariyaon ki nazr hue

dhire dhire sab tairak

ajiib ḳhvāb thā ta.abīr kyā huī us

ki ek dariyā havāoñ ke ruḳh pe bahtā thā

ajib KHwab tha tabir kya hui us ki

ki ek dariya hawaon ke ruKH pe bahta tha

aañkh khulte bastiyāñ tārāj

koī lazzat nahīñ hai ḳhvāboñ meñ

aankh khulte hi bastiyan taraj

koi lazzat nahin hai KHwabon mein

'āshufta' ab us shaḳhs se kyā ḳhaak nibāheñ

jo baat samajhtā nahīñ dil zabāñ

'ashufta' ab us shaKHs se kya KHak nibahen

jo baat samajhta hi nahin dil ki zaban ki

kyuuñ khilaune TūTne par āb-dīda ho ga.e

ab tumheñ ham kyā batā.eñ kyā pareshānī huī

kyun khilaune TuTne par aab-dida ho gae

ab tumhein hum kya bataen kya pareshani hui

talāsh jin ko hamesha buzurg karte rahe

na jaane kaun duniyā meñ vo ḳhazāne the

talash jin ko hamesha buzurg karte rahe

na jaane kaun si duniya mein wo KHazane the

hai intizār mujhe jañg ḳhatm hone

lahū qaid se bāhar koī bulātā hai

hai intizar mujhe jang KHatm hone ka

lahu ki qaid se bahar koi bulata hai

ye aur baat ki tum bhī yahāñ ke shahrī ho

jo maiñ ne tum ko sunāyā thā merā qissa hai

ye aur baat ki tum bhi yahan ke shahri ho

jo main ne tum ko sunaya tha mera qissa hai

ghar meñ aur bahut kuchh thā

sirf dar-o-dīvār na the

ghar mein aur bahut kuchh tha

sirf dar-o-diwar na the

tezī se bīt.te hue lamhoñ ke saath saath

jiine ik azaab liye bhāgte rahe

tezi se bitte hue lamhon ke sath sath

jine ka ek azab liye bhagte rahe

tujhe bhulāne koshish meñ phir rahe the ki ham

kuchh aur saath meñ parchhā.iyāñ lagā laa.e

tujhe bhulane ki koshish mein phir rahe the ki hum

kuchh aur sath mein parchhaiyan laga lae

ek manzar meñ lipTe badan ke sivā

sard rātoñ meñ kuchh aur dikhtā nahīñ

ek manzar mein lipTe badan ke siwa

sard raaton mein kuchh aur dikhta nahin

ghar had meñ sahrā hai

aage dariyā bahtā hai

ghar ki had mein sahra hai

aage dariya bahta hai

arse se is dayār koī ḳhabar nahīñ

mohlat mile to aaj aḳhbār dekh leñ

arse se is dayar ki koi KHabar nahin

mohlat mile to aaj ka aKHbar dekh len

ghar ke andar jaane ke

aur ka.ī darvāze haiñ

ghar ke andar jaane ke

aur kai darwaze hain

dil detā hai hir-phir ke usī dar pe sadā.eñ

dīvār banā hai abhī dīvāna nahīñ hai

dil deta hai hir-phir ke usi dar pe sadaen

diwar bana hai abhi diwana nahin hai

Recitation

Speak Now