Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Mushtaq's Photo'

Ahmad Mushtaq

1933 | USA

One of the leading and reputed Pakistani poets known for his neo-classical tone, equally well-known in India, lives in Houston USA.

One of the leading and reputed Pakistani poets known for his neo-classical tone, equally well-known in India, lives in Houston USA.

TOP 20 SHAYARI of Ahmad Mushtaq

tanhā.ī meñ karnī to hai ik baat kisī se

lekin vo kisī vaqt akelā nahīñ hotā

tanhai mein karni to hai ek baat kisi se

lekin wo kisi waqt akela nahin hota

agar paas nahīñ hai kahīñ maujūd to hai

tere hone se baḌe kaam hamāre nikle

tu agar pas nahin hai kahin maujud to hai

tere hone se baDe kaam hamare nikle

ishq meñ kaun batā saktā hai

kis ne kis se sach bolā hai

ishq mein kaun bata sakta hai

kis ne kis se sach bola hai

paanī meñ aks aur kisī āsmāñ hai

ye naav kaun hai ye dariyā kahāñ hai

pani mein aks aur kisi aasman ka hai

ye naw kaun si hai ye dariya kahan ka hai

ḳhair badnām to pahle bhī bahut the lekin

tujh se milnā thā ki par lag ga.e rusvā.ī ko

KHair badnam to pahle bhi bahut the lekin

tujh se milna tha ki par lag gae ruswai ko

na.e dīvānoñ ko dekheñ to ḳhushī hotī hai

ham bhī aise the jab aa.e the vīrāne meñ

nae diwanon ko dekhen to KHushi hoti hai

hum bhi aise hi the jab aae the virane mein

ye paanī ḳhāmushī se bah rahā hai

ise dekheñ ki is meñ Duub jaa.eñ

ye pani KHamushi se bah raha hai

ise dekhen ki is mein Dub jaen

ab us shakl bhī mushkil se yaad aatī hai

vo jis ke naam se hote na the judā mire lab

ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai

wo jis ke nam se hote na the juda mere lab

ik raat chāñdnī mire bistar pe aa.ī thī

maiñ ne tarāsh kar tirā chehra banā diyā

ek raat chandni mere bistar pe aai thi

main ne tarash kar tera chehra bana diya

ik zamāna thā ki sab ek jagah rahte the

aur ab koī kahīñ koī kahīñ rahtā hai

ek zamana tha ki sab ek jagah rahte the

aur ab koi kahin koi kahin rahta hai

yaar sab jam.a hue raat ḳhāmoshī meñ

koī ro kar to koī baal banā kar aayā

yar sab jama hue raat ki KHamoshi mein

koi ro kar to koi baal bana kar aaya

maut ḳhāmoshī hai chup rahne se chup lag jā.egī

zindagī āvāz hai bāteñ karo bāteñ karo

maut KHamoshi hai chup rahne se chup lag jaegi

zindagi aawaz hai baaten karo baaten karo

khoyā hai kuchh zarūr jo us talāsh meñ

har chiiz ko idhar se udhar kar rahe haiñ ham

khoya hai kuchh zarur jo us ki talash mein

har chiz ko idhar se udhar kar rahe hain hum

ham un ko soch meñ gum dekh kar vāpas chale aa.e

vo apne dhyān meñ baiThe hue achchhe lage ham ko

hum un ko soch mein gum dekh kar wapas chale aae

wo apne dhyan mein baiThe hue achchhe lage hum ko

maiñ bahut ḳhush thā kaḌī dhuup ke sannāTe meñ

kyuuñ tirī yaad bādal mire sar par aayā

main bahut KHush tha kaDi dhup ke sannaTe mein

kyun teri yaad ka baadal mere sar par aaya

balā chamak us ke chehre pe thī

mujhe kyā ḳhabar thī ki mar jā.egā

bala ki chamak us ke chehre pe thi

mujhe kya KHabar thi ki mar jaega

vahī gulshan hai lekin vaqt parvāz to dekho

koī taa.ir nahīñ pichhle baras ke āshiyānoñ meñ

wahi gulshan hai lekin waqt ki parwaz to dekho

koi tair nahin pichhle baras ke aashiyanon mein

sañg uThānā to baḌī baat hai ab shahr ke log

aañkh uThā kar bhī nahīñ dekhte dīvāne ko

sang uThana to baDi baat hai ab shahr ke log

aankh uTha kar bhi nahin dekhte diwane ko

tire aane din hai tere raste meñ bichhāne ko

chamaktī dhuup meñ saa.e ikaTThe kar rahā huuñ maiñ

tere aane ka din hai tere raste mein bichhane ko

chamakti dhup mein sae ikaTThe kar raha hun main

is ma.arke meñ ishq bechārā karegā kyā

ḳhud husn ko haiñ jaan ke laale paḌe hue

is marke mein ishq bechaara karega kya

KHud husn ko hain jaan ke lale paDe hue

Recitation

Speak Now