Chehra Shayari

A face is an index of human personality but a beloved’s face is something that the lovers and the poets have valued the most and the best. They see their universe in that and love it like nothing else in the world. Here, we have collected some examples for you to see that face and appreciate its beauty.


info iconClick on any word for its meaning

aa ki maiñ dekh luuñ khoyā huā chehra apnā


mujh se chhup kar mirī tasvīr banāne vaale

ā.īna chhoḌ ke dekhā kiye sūrat merī


dil-e-muztar ne mire un ko sañvarne na diyā

ab us shakl bhī mushkil se yaad aatī hai


vo jis ke naam se hote na the judā mire lab

abr meñ chāñd gar na dekhā ho


ruḳh pe zulfoñ ko Daal kar dekho

achchhī sūrat bhī kyā burī shai hai


jis ne Daalī burī nazar Daalī

ai sanam jis ne tujhe chāñd sūrat hai


usī allāh ne mujh ko bhī mohabbat hai

ajab terī hai ai mahbūb sūrat


nazar se gir ga.e sab ḳhūbsūrat

baḌe sīdhe-sādhe baḌe bhole-bhāle


koī dekhe is vaqt chehrā tumhārā

bhulā diiñ ham ne kitābeñ ki us parī-rū ke


kitābī chehre ke aage kitāb hai kyā chiiz

bhuul ga.ī vo shakl bhī āḳhir


kab tak yaad koī rahtā hai

chāñdnī rātoñ meñ chillātā phirā


chāñd jis ne vo sūrat dekh

chehra khulī kitāb hai unvān jo bhī do


jis ruḳh se bhī paḌhoge mujhe jaan jāoge

ham kisī bahrūpiye ko jaan leñ mushkil nahīñ


us ko kyā pahchāniye jis koī chehrā na ho

ik raat chāñdnī mire bistar pe aa.ī thī


maiñ ne tarāsh kar tirā chehra banā diyā

jise paḌhte to yaad aatā thā terā phuul chehra


hamārī sab kitāboñ meñ ik aisā baab rahtā thā

ḳhvāboñ ke ufuq par tirā chehra ho hamesha


aur maiñ usī chehre se na.e ḳhvāb sajā.ūñ

kitāb khol ke dekhūñ to aañkh rotī hai


varaq varaq tirā chehrā dikhā.ī detā hai

koī bhūlā huā chehra nazar aa.e shāyad


ā.īna ġhaur se ne kabhī dekhā nahīñ

kyā sitam hai ki ab tirī sūrat


ġhaur karne pe yaad aatī hai

kyuuñ jal gayā na taab-e-ruḳh-e-yaar dekh kar


jaltā huuñ apnī tāqat-e-dīdār dekh kar

lamha lamha mujhe vīrān kiye detā hai


bas gayā mere tasavvur meñ ye chehra kis

maiñ to 'munīr' ā.īne meñ ḳhud ko tak kar hairān huā


ye chehra kuchh aur tarah thā pahle kisī zamāne meñ

malūñ hoñ ḳhaak juuñ ā.īna muñh par


tirī sūrat mujhe aatī hai jab yaad

rahtā thā sāmne tirā chehra khulā huā


paḌhtā thā maiñ kitāb yahī har class meñ

Tag