Sher on Welcome
Much depends in our
day-to-day lives on how we are received or rejected by others. A good way of receiving and being received makes all the difference. Here are some verses around this idea that would open up new dimensions of human nature to you. Have a look.
vo aa.e ghar meñ hamāre ḳhudā kī qudrat hai
kabhī ham un ko kabhī apne ghar ko dekhte haiñ
wo aae ghar mein hamare KHuda ki qudrat hai
kabhi hum un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain
-
Tags : Famous shayariand 1 more
guloñ meñ rañg bhare bād-e-nau-bahār chale
chale bhī aao ki gulshan kā kārobār chale
gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale
-
Tags : Famous shayariand 3 more
tum aa ga.e ho to kuchh chāñdnī sī bāteñ hoñ
zamīñ pe chāñd kahāñ roz roz utartā hai
how often does the moon condescend to come to earth
let us talk of love and joy now that you are here
tum aa gae ho to kuchh chandni si baaten hon
zamin pe chand kahan roz roz utarta hai
how often does the moon condescend to come to earth
let us talk of love and joy now that you are here
sau chāñd bhī chamkeñge to kyā baat banegī
tum aa.e to is raat kī auqāt banegī
sau chand bhi chamkenge to kya baat banegi
tum aae to is raat ki auqat banegi
-
Tags : Intezarand 3 more
phuul gul shams o qamar saare hī the
par hameñ un meñ tumhīñ bhaa.e bahut
phul gul shams o qamar sare hi the
par hamein un mein tumhin bhae bahut
-
Tags : Chaandand 1 more
chāñd bhī hairān dariyā bhī pareshānī meñ hai
aks kis kā hai ki itnī raushnī paanī meñ hai
chand bhi hairan dariya bhi pareshani mein hai
aks kis ka hai ki itni raushni pani mein hai
us ne va.ada kiyā hai aane kā
rañg dekho ġharīb ḳhāne kā
us ne wada kiya hai aane ka
rang dekho gharib KHane ka
tumhāre saath ye mausam farishtoñ jaisā hai
tumhāre ba.ad ye mausam bahut satā.egā
tumhaare sath ye mausam farishton jaisa hai
tumhaare baad ye mausam bahut sataega
-
Tag : Farewell
der lagī aane meñ tum ko shukr hai phir bhī aa.e to
aas ne dil kā saath na chhoḌā vaise ham ghabrā.e to
Am grateful you came finally, though you were delayed
hope had not forsaken me, though must say was afraid
der lagi aane mein tum ko shukr hai phir bhi aae to
aas ne dil ka sath na chhoDa waise hum ghabrae to
Am grateful you came finally, though you were delayed
hope had not forsaken me, though must say was afraid
-
Tags : Famous shayariand 1 more
mil kar tapāk se na hameñ kījiye udaas
ḳhātir na kījiye kabhī ham bhī yahāñ ke the
mil kar tapak se na hamein kijiye udas
KHatir na kijiye kabhi hum bhi yahan ke the
aap aa.e haiñ so ab ghar meñ ujālā hai bahut
kahiye jaltī rahe yā sham.a bujhā dī jaa.e
aap aae hain so ab ghar mein ujala hai bahut
kahiye jalti rahe ya shama bujha di jae
tum aa ga.e ho to ab ā.īna bhī dekheñge
abhī abhī to nigāhoñ meñ raushnī huī hai
tum aa gae ho to ab aaina bhi dekhenge
abhi abhi to nigahon mein raushni hui hai
har galī achchhī lagī har ek ghar achchhā lagā
vo jo aayā shahr meñ to shahr bhar achchhā lagā
har gali achchhi lagi har ek ghar achchha laga
wo jo aaya shahr mein to shahr bhar achchha laga
shukriya terā tire aane se raunaq to baḌhī
varna ye mahfil-e-jazbāt adhūrī rahtī
shukriya tera tere aane se raunaq to baDhi
warna ye mahfil-e-jazbaat adhuri rahti
jis bazm meñ sāġhar ho na sahbā ho na ḳhum ho
rindoñ ko tasallī hai ki us bazm meñ tum ho
jis bazm mein saghar ho na sahba ho na KHum ho
rindon ko tasalli hai ki us bazm mein tum ho
ye kis zohra-jabīñ kī anjuman meñ aamad aamad hai
bichhāyā hai qamar ne chāñdnī kā farsh mahfil meñ
ye kis zohra-jabin ki anjuman mein aamad aamad hai
bichhaya hai qamar ne chandni ka farsh mahfil mein
-
Tag : Chaand
aap aa.e to bahāroñ ne luTā.ī ḳhushbū
phuul to phuul the kāñToñ se bhī aa.ī ḳhushbū
aap aae to bahaaron ne luTai KHushbu
phul to phul the kanTon se bhi aai KHushbu
aamad pe terī itr o charāġh o subū na hoñ
itnā bhī būd-o-bāsh ko saada nahīñ kiyā
aamad pe teri itr o charagh o subu na hon
itna bhi bud-o-bash ko sada nahin kiya
mahfil meñ chaar chāñd lagāne ke bāvajūd
jab tak na aap aa.e ujālā na ho sakā
mahfil mein chaar chand lagane ke bawajud
jab tak na aap aae ujala na ho saka
har tarah kī be-sar-o-sāmāniyoñ ke bāvajūd
aaj vo aayā to mujh ko apnā ghar achchhā lagā
har tarah ki be-sar-o-samaniyon ke bawajud
aaj wo aaya to mujh ko apna ghar achchha laga
tum aa ga.e ho ḳhudā kā subūt hai ye bhī
qasam ḳhudā kī abhī maiñ ne tum ko sochā thā
tum aa gae ho KHuda ka subut hai ye bhi
qasam KHuda ki abhi main ne tum ko socha tha
bajā.e siine ke āñkhoñ meñ dil dhaḌaktā hai
ye intizār ke lamhe ajiib hote haiñ
bajae sine ke aankhon mein dil dhaDakta hai
ye intizar ke lamhe ajib hote hain
ḳhush-āmdīd vo aayā hamārī chaukhaT par
bahār jis ke qadam kā tavāf kartī hai
KHush-amdid wo aaya hamari chaukhaT par
bahaar jis ke qadam ka tawaf karti hai
itne din ke baad tū aayā hai aaj
sochtā huuñ kis tarah tujh se milūñ
itne din ke baad tu aaya hai aaj
sochta hun kis tarah tujh se milun
bujhte hue charāġh farozāñ kareñge ham
tum aaoge to jashn-e-charāġhāñ kareñge ham
bujhte hue charagh farozan karenge hum
tum aaoge to jashn-e-charaghan karenge hum
ye intizār kī ghaḌiyāñ ye shab kā sannāTā
is ek shab meñ bhare haiñ hazār saal ke din
ye intizar ki ghaDiyan ye shab ka sannaTa
is ek shab mein bhare hain hazar sal ke din
-
Tag : Intezar
raqs-e-mai tez karo saaz kī lai tez karo
sū-e-mai-ḳhāna safīrān-e-haram aate haiñ
raqs-e-mai tez karo saz ki lai tez karo
su-e-mai-KHana safiran-e-haram aate hain
fareb-e-jalva kahāñ tak ba-rū-e-kār rahe
naqāb uThāo ki kuchh din zarā bahār rahe
fareb-e-jalwa kahan tak ba-ru-e-kar rahe
naqab uThao ki kuchh din zara bahaar rahe
-
Tag : Tasawwuf
raunaq-e-bazm nahīñ thā koī tujh se pahle
raunaq-e-bazm tire ba.ad nahīñ hai koī
raunaq-e-bazm nahin tha koi tujh se pahle
raunaq-e-bazm tere baad nahin hai koi
suntā huuñ maiñ ki aaj vo tashrīf lā.eñge
allāh sach kare kahīñ jhūTī ḳhabar na ho
sunta hun main ki aaj wo tashrif laenge
allah sach kare kahin jhuTi KHabar na ho
maiñ ne āvāz tumheñ dī hai baḌe naaz ke saath
tum bhī āvāz milā do mirī āvāz ke saath
main ne aawaz tumhein di hai baDe naz ke sath
tum bhi aawaz mila do meri aawaz ke sath
tum aa ga.e to chamakne lagī haiñ dīvāreñ
abhī abhī to yahāñ par baḌā añdherā thā
tum aa gae to chamakne lagi hain diwaren
abhi abhi to yahan par baDa andhera tha
ye aur baat ki raste bhī ho ga.e raushan
diye to ham ne tire vāste jalā.e the
ye aur baat ki raste bhi ho gae raushan
diye to hum ne tere waste jalae the
abhī to us kā koī tazkira huā bhī nahīñ
abhī se bazm meñ ḳhushbū kā raqs jaarī hai
abhi to us ka koi tazkira hua bhi nahin
abhi se bazm mein KHushbu ka raqs jari hai
ye zulf-bar-dosh kaun aayā ye kis kī aahaT se gul khile haiñ
mahak rahī hai fazā-e-hastī tamām aalam bahār sā hai
ye zulf-bar-dosh kaun aaya ye kis ki aahaT se gul khile hain
mahak rahi hai faza-e-hasti tamam aalam bahaar sa hai
-
Tag : Aahat
sehn-e-chaman ko apnī bahāroñ pe naaz thā
vo aa ga.e to saarī bahāroñ pe chhā ga.e
sehn-e-chaman ko apni bahaaron pe naz tha
wo aa gae to sari bahaaron pe chha gae
muntazir chashm bhī hai qalb bhī hai jaan bhī hai
aap ke aane kī hasrat bhī hai armān bhī hai
muntazir chashm bhi hai qalb bhi hai jaan bhi hai
aap ke aane ki hasrat bhi hai arman bhi hai
aayā ye kaun sāya-e-zulf-e-darāz meñ
peshāni-e-sahar kā ujālā liye hue
aaya ye kaun saya-e-zulf-e-daraaz mein
peshani-e-sahar ka ujala liye hue
bhare haiñ tujh meñ vo lākhoñ hunar ai majma-e-ḳhūbī
mulāqātī tirā goyā bharī mahfil se miltā hai
bhare hain tujh mein wo lakhon hunar ai majma-e-KHubi
mulaqati tera goya bhari mahfil se milta hai
fazā-e-dil pe kahīñ chhā na jaa.e yaas kā rañg
kahāñ ho tum ki badalne lagā hai ghaas kā rañg
faza-e-dil pe kahin chha na jae yas ka rang
kahan ho tum ki badalne laga hai ghas ka rang
saaqī sharāb jām-o-subū mutrib o bahār
sab aa ga.e bas aap ke aane kī der hai
saqi sharab jam-o-subu mutrib o bahaar
sab aa gae bas aap ke aane ki der hai
daaġh ik aadmī hai garmā-garm
ḳhush bahut hoñge jab mileñge aap
dagh ek aadmi hai garma-garm
KHush bahut honge jab milenge aap
tum jo aa.e ho to shakl-e-dar-o-dīvār hai aur
kitnī rañgīn mirī shaam huī jaatī hai
tum jo aae ho to shakl-e-dar-o-diwar hai aur
kitni rangin meri sham hui jati hai
ham ne ba-sad ḳhulūs pukārā hai aap ko
ab dekhnā hai kitnī kashish hai ḳhulūs meñ
hum ne ba-sad KHulus pukara hai aap ko
ab dekhna hai kitni kashish hai KHulus mein
yūñhī har shaam agar aap ko ham yaad raheñ
sohbateñ garm raheñ mahfileñ ābād raheñ
yunhi har sham agar aap ko hum yaad rahen
sohbaten garm rahen mahfilen aabaad rahen
shajar ne lahlahā kar aur havā ne chuum kar mujh ko
tirī aamad ke afsāne sunā.e jhuum kar mujh ko
shajar ne lahlaha kar aur hawa ne chum kar mujh ko
teri aamad ke afsane sunae jhum kar mujh ko
aap agar yūñhī charāġhoñ ko jalāte hue aa.eñ
ham bhī har shaam na.ī bazm sajāte hue aa.eñ
aap agar yunhi charaghon ko jalate hue aaen
hum bhi har sham nai bazm sajate hue aaen
kaun ho saktā hai aane vaalā
ek āvāz sī aa.ī thī abhī
kaun ho sakta hai aane wala
ek aawaz si aai thi abhi