Sher of Aazim Kohli
mohabbat karne vaale dard meñ tanhā nahīñ hote
jo rūThoge kabhī mujh se to apnā dil dukhāoge
mohabbat karne wale dard mein tanha nahin hote
jo ruThoge kabhi mujh se to apna dil dukhaoge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zindagī sundar ġhazal hai dosto
zindagī ko gungunānā chāhiye
zindagi sundar ghazal hai dosto
zindagi ko gungunana chahiye
maiñ jī bhar ke royā to ārām aayā
mirā ġham hī āḳhir mire kaam aayā
main ji bhar ke roya to aaram aaya
mera gham hi aaKHir mere kaam aaya
dukh pe mere ro rahā thā jo bahut
jaate jaate kah gayā achchhā huā
dukh pe mere ro raha tha jo bahut
jate jate kah gaya achchha hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham lakīreñ kured kar dekheñ
rañg lā.egā kyā ye saal nayā
hum lakiren kured kar dekhen
rang laega kya ye sal naya
dekhnā kaise pighalte jāoge
jab mirī āġhosh meñ tum aaoge
dekhna kaise pighalte jaoge
jab meri aaghosh mein tum aaoge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham ne mil-jul ke guzāre the jo din achchhe the
lamhe vo phir se jo aate to bahut achchhā thā
hum ne mil-jul ke guzare the jo din achchhe the
lamhe wo phir se jo aate to bahut achchha tha
niilā ambar chāñd sitāre bachchoñ kī jāgīreñ haiñ
apnī duniyā meñ to bas dīvāreñ hī zanjīreñ haiñ
nila ambar chand sitare bachchon ki jagiren hain
apni duniya mein to bas diwaren hi zanjiren hain
dekhā na tujhe ai rab ham ne haañ duniyā terī dekhī hai
saḌkoñ par bhūke bachche bhī koThe par abla naarī bhī
dekha na tujhe ai rab hum ne han duniya teri dekhi hai
saDkon par bhuke bachche bhi koThe par abla nari bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sabr kī takrār thī josh o junūn-e-ishq se
zindagī bhar dil mujhe maiñ dil ko samjhātā rahā
sabr ki takrar thi josh o junun-e-ishq se
zindagi bhar dil mujhe main dil ko samjhata raha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo huā jaisā huā achchhā huā
jab jahāñ jo ho gayā achchhā huā
jo hua jaisa hua achchha hua
jab jahan jo ho gaya achchha hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'āzim' terī barbādī meñ sab ne mil-jul kar kaam kiyā
kuchh khel lakīroñ kā bhī hai kuchh vaqt kī kār-guzārī bhī
'azim' teri barbaadi mein sab ne mil-jul kar kaam kiya
kuchh khel lakiron ka bhi hai kuchh waqt ki kar-guzari bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aadmī ko chāhiye taufīq chalne kī faqat
kuchh nahīñ to guzre vaqtoñ kā dhuāñ le kar chale
aadmi ko chahiye taufiq chalne ki faqat
kuchh nahin to guzre waqton ka dhuan le kar chale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
baat chal niklegī phir iqrār kī inkār kī
phir vahī bachpan ke bhūle giit gaa.e jā.eñge
baat chal niklegi phir iqrar ki inkar ki
phir wahi bachpan ke bhule git gae jaenge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rañg aa jaatā thā un kī diid se ruḳh par mire
dekh kar ab vo bhī mujh ko surḳh-rū hone lage
rang aa jata tha un ki did se ruKH par mere
dekh kar ab wo bhi mujh ko surKH-ru hone lage
kaun bāñdhegā mirī bikhrī huī ummīd ko
khul rahā hai ab to har halqa mirī zanjīr kā
kaun bandhega meri bikhri hui ummid ko
khul raha hai ab to har halqa meri zanjir ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujhe ayyāriyāñ sab aa ga.ī haiñ
maiñ ab tere nagar kā ho gayā huuñ
mujhe ayyariyan sab aa gai hain
main ab tere nagar ka ho gaya hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo jaate jaate mujhe apne ġham bhī sauñp gayā
ajiib Dhañg nikālā hai ġham-gusārī kā
wo jate jate mujhe apne gham bhi saunp gaya
ajib Dhang nikala hai gham-gusari ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye kyā huā ki ab tujhī se bad-gumāñ maiñ ho gayā
maiñ sochtā thā zindagī tū mujh ko raas aa ga.ī
ye kya hua ki ab tujhi se bad-guman main ho gaya
main sochta tha zindagi tu mujh ko ras aa gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mire har zaḳhm par ik dāstāñ thī us ke zulmoñ kī
mire ḳhūñ-bār dil par us ke hāthoñ kā nishāñ bhī thā
mere har zaKHm par ek dastan thi us ke zulmon ki
mere KHun-bar dil par us ke hathon ka nishan bhi tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaun jaane kis ghaḌī yaañ kyā se kyā ho kar rahe
ḳhauf sā ik darmiyāñ hotā hai tere shahr meñ
kaun jaane kis ghaDi yan kya se kya ho kar rahe
KHauf sa ek darmiyan hota hai tere shahr mein