Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abdul Wahab Sukhan's Photo'

Abdul Wahab Sukhan

1970 | Rampur, India

Sher of Abdul Wahab Sukhan

248
Favorite

SORT BY

na.e haiñ vasl ke mausam mohabbateñ bhī na.ī

na.e raqīb haiñ ab ke adāvateñ bhī na.ī

nae hain wasl ke mausam mohabbaten bhi nai

nae raqib hain ab ke adawaten bhi nai

kitāb-e-dil mirī ek baab ho tum bhī

tumheñ bhī paḌhtā huuñ maiñ ik nisāb sūrat

kitab-e-dil ka meri ek bab ho tum bhi

tumhein bhi paDhta hun main ek nisab ki surat

ye sāneha bhī ho gayā hai raste meñ

jo rahnumā thā vahī kho gayā hai raste meñ

ye saneha bhi ho gaya hai raste mein

jo rahnuma tha wahi kho gaya hai raste mein

ye pyaar jazba tire kuchh kaam to aa.e

merā nahīñ bantā hai to ban aur kisī

ye pyar ka jazba tere kuchh kaam to aae

mera nahin banta hai to ban aur kisi ka

vo aise moḌ par mujh ko milā thā

maiñ tanhā.ī aadī ho chukā thā

wo aise moD par mujh ko mila tha

main tanhai ka aadi ho chuka tha

jalā diye haiñ kisī ne purāne ḳhat varna

fazā meñ aisā to raqs-e-sharar nahīñ hotā

jala diye hain kisi ne purane KHat warna

faza mein aisa to raqs-e-sharar nahin hota

mohabbatoñ ke hasīñ baab se zarā aage

kitāb-e-zīst meñ miltā hai gumrahī varaq

mohabbaton ke hasin bab se zara aage

kitab-e-zist mein milta hai gumrahi ka waraq

jal rahe haiñ abhī kamzor aqīdoñ ke charāġh

jis chāhe zamāne meñ ḳhudā ho jaa.e

jal rahe hain abhi kamzor aqidon ke charagh

jis ka ji chahe zamane mein KHuda ho jae

shāyad ki ye zamāna unheñ pūjne lage

kuchh log is ḳhayāl se patthar ke ho ga.e

shayad ki ye zamana unhen pujne lage

kuchh log is KHayal se patthar ke ho gae

jab bhī ye sochne lagtā huuñ ki kaun apnā hai

zehn meñ aa ke ka.ī naam nikal jaate haiñ

jab bhi ye sochne lagta hun ki kaun apna hai

zehn mein aa ke kai nam nikal jate hain

ye jo maiñ tujh ko ham-āġhosh kiye rahtā huuñ

jaane kis kis ko farāmosh kiye rahtā huuñ

ye jo main tujh ko ham-aghosh kiye rahta hun

jaane kis kis ko faramosh kiye rahta hun

phañs jaate haiñ kisī daam meñ āḳhir ham log

laakh kahte haiñ chhalāve meñ nahīñ ā.eñge

phans hi jate hain kisi dam mein aaKHir hum log

lakh kahte hain chhalawe mein nahin aaenge

vo aise moḌ par mujh ko milā thā

maiñ tanhā.ī aadī ho chukā thā

wo aise moD par mujh ko mila tha

main tanhai ka aadi ho chuka tha

shāyad ki ye zamāna unheñ pūjne lage

kuchh log is ḳhayāl se patthar ke ho ga.e

shayad ki ye zamana unhen pujne lage

kuchh log is KHayal se patthar ke ho gae

tumhārī baat kyā tum baḌe hunar se mile

na zaḳhm-e-dil tarah aur na chārāgar tarah

tumhaari baat hi kya tum baDe hunar se mile

na zaKHm-e-dil ki tarah aur na chaaragar ki tarah

thaam rakkhī hai ham ne chaal apnī

āj-kal haiñ sitāre gardish meñ

tham rakkhi hai hum ne chaal apni

aaj-kal hain sitare gardish mein

jal rahe haiñ abhī kamzor aqīdoñ ke charāġh

jis chāhe zamāne meñ ḳhudā ho jaa.e

jal rahe hain abhi kamzor aqidon ke charagh

jis ka ji chahe zamane mein KHuda ho jae

tumhārī baat kyā tum baḌe hunar se mile

na zaḳhm-e-dil tarah aur na chārāgar tarah

tumhaari baat hi kya tum baDe hunar se mile

na zaKHm-e-dil ki tarah aur na chaaragar ki tarah

ye jo maiñ tujh ko ham-āġhosh kiye rahtā huuñ

jaane kis kis ko farāmosh kiye rahtā huuñ

ye jo main tujh ko ham-aghosh kiye rahta hun

jaane kis kis ko faramosh kiye rahta hun

Recitation

Speak Now