Sher of Abu Mohammad Sahar
takmīl-e-ārzū se bhī hotā hai ġham kabhī
aisī duā na maañg jise bad-duā kaheñ
takmil-e-arzu se bhi hota hai gham kabhi
aisi dua na mang jise bad-dua kahen
hindū se pūchhiye na musalmāñ se pūchhiye
insāniyat kā ġham kisī insāñ se pūchhiye
hindu se puchhiye na musalman se puchhiye
insaniyat ka gham kisi insan se puchhiye
ishq ke mazmūñ the jin meñ vo risāle kyā hue
ai kitāb-e-zindagī tere havāle kyā hue
ishq ke mazmun the jin mein wo risale kya hue
ai kitab-e-zindagi tere hawale kya hue
'sahar' ab hogā merā zikr bhī raushan-dimāġhoñ meñ
mohabbat naam kī ik rasm-e-bejā chhoḌ dī maiñ ne
'sahar' ab hoga mera zikr bhi raushan-dimaghon mein
mohabbat nam ki ek rasm-e-beja chhoD di main ne
hosh-mandī se jahāñ baat na bantī ho 'sahar'
kaam aise meñ bahut be-ḳhabarī aatī hai
hosh-mandi se jahan baat na banti ho 'sahar'
kaam aise mein bahut be-KHabari aati hai
hameñ tanhā.iyoñ meñ yuuñ to kyā kyā yaad aatā hai
magar sach pūchhiye to ek chehrā yaad aatā hai
hamein tanhaiyon mein yun to kya kya yaad aata hai
magar sach puchhiye to ek chehra yaad aata hai
marzī ḳhudā kī kyā hai koī jāntā nahīñ
kyā chāhtī hai ḳhalq-e-ḳhudā ham se pūchhiye
marzi KHuda ki kya hai koi jaanta nahin
kya chahti hai KHalq-e-KHuda hum se puchhiye
phir khule ibtidā-e-ishq ke baab
us ne phir muskurā ke dekh liyā
phir khule ibtida-e-ishq ke bab
us ne phir muskura ke dekh liya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġham-e-habīb nahīñ kuchh ġham-e-jahāñ se alag
ye ahl-e-dard ne kyā mas.ale uThā.e haiñ
gham-e-habib nahin kuchh gham-e-jahan se alag
ye ahl-e-dard ne kya masale uThae hain
rah-e-ishq-o-vafā bhī kūcha-o-bāzār ho jaise
kabhī jo ho nahīñ paatā vo saudā yaad aatā hai
rah-e-ishq-o-wafa bhi kucha-o-bazar ho jaise
kabhi jo ho nahin pata wo sauda yaad aata hai
balā-e-jāñ thī jo bazm-e-tamāshā chhoḌ dī maiñ ne
ḳhushā ai zindagī ḳhvāboñ kī duniyā chhoḌ dī maiñ ne
bala-e-jaan thi jo bazm-e-tamasha chhoD di main ne
KHusha ai zindagi KHwabon ki duniya chhoD di main ne
barq se khelne tūfān pe hañsne vaale
aise Duube tire ġham meñ ki ubhar bhī na sake
barq se khelne tufan pe hansne wale
aise Dube tere gham mein ki ubhar bhi na sake
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ishq ko husn ke atvār se kyā nisbat hai
vo hameñ bhuul ga.e ham to unheñ yaad kareñ
ishq ko husn ke atwar se kya nisbat hai
wo hamein bhul gae hum to unhen yaad karen
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
be-rabtī-e-hayāt kā manzar bhī dekh le
thoḌā sā apnī zaat ke bāhar bhī dekh le
be-rabti-e-hayat ka manzar bhi dekh le
thoDa sa apni zat ke bahar bhi dekh le
maanā apnī jaan ko vo bhī dil kā rog lagā.eñge
ahl-e-junūñ ḳhud kyā samjhe haiñ nāseh kyā samjhā.eñge
TRANSLATION
I know that she too would fall in love, and will remain aggrieved,
Have the passionate ones themselves understood; what preachers can teach.
Sagar Akbarabadi
mana apni jaan ko wo bhi dil ka rog lagaenge
ahl-e-junun KHud kya samjhe hain naseh kya samjhaenge
TRANSLATION
I know that she too would fall in love, and will remain aggrieved,
Have the passionate ones themselves understood; what preachers can teach.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download