Sher of Adeel Zaidi
de hausle kī daad ke ham tere ġham meñ aaj
baiThe haiñ mahfiloñ ko sajā.e tire baġhair
de hausle ki dad ke hum tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajae tere baghair
maiñ is se qīmtī shai koī kho nahīñ saktā
'adīl' maañ kī jagah koī ho nahīñ saktā
main is se qimti shai koi kho nahin sakta
'adil' man ki jagah koi ho nahin sakta
har taraf apne hī apne haa.e tanhā.ī na pūchh
kis qadar khaltī hai aksar ham ko bīnā.ī na pūchh
har taraf apne hi apne hae tanhai na puchh
kis qadar khalti hai aksar hum ko binai na puchh
dil kī dhaḌkan ko sunā ġhaur se kal raat 'adīl'
jis ko maiñ DhūñDhtā rahtā huuñ basā hai mujh meñ
dil ki dhaDkan ko suna ghaur se kal raat 'adil'
jis ko main DhunDhta rahta hun basa hai mujh mein
kahāñ ke māhir-o-kāmil ho tum hunar meñ 'adīl'
tumhāre kaam to parvardigār kartā hai
kahan ke mahir-o-kaamil ho tum hunar mein 'adil'
tumhaare kaam to parwardigar karta hai
tujh se judā hue to ye ho jā.eñge judā
baaqī kahāñ raheñge ye saa.e tire baġhair
tujh se juda hue to ye ho jaenge juda
baqi kahan rahenge ye sae tere baghair
āzādiyoñ ke shauq o havas ne hameñ 'adīl'
ik ajnabī zamīn kā qaidī banā diyā
aazadiyon ke shauq o hawas ne hamein 'adil'
ek ajnabi zamin ka qaidi bana diya
ehsān-e-rab mohabbateñ itnī milīñ 'adīl'
is umr-e-muḳhtasar meñ na lauTā sakeñge ham
ehsan-e-rab mohabbaten itni milin 'adil'
is umr-e-muKHtasar mein na lauTa sakenge hum
tere hote to bayābāñ bhī the gulshan saare
tū nahīñ hai to ye duniyā hai bayābāñ jānāñ
tere hote to bayaban bhi the gulshan sare
tu nahin hai to ye duniya hai bayaban jaanan
ḳhvāb ta.abīr kar ke dekh sakeñ
rābta is qadar bahāl na thā
KHwab tabir kar ke dekh saken
rabta is qadar bahaal na tha
niyyatoñ kī kamī rahī varna
milnā us kā bahut muhāl na thā
niyyaton ki kami rahi warna
milna us ka bahut muhaal na tha
rasm-o-rivāj chhoḌ ke sab aa ga.e yahāñ
rakkhī huī haiñ taaq meñ ab ġhairateñ tamām
rasm-o-riwaj chhoD ke sab aa gae yahan
rakkhi hui hain taq mein ab ghairaten tamam
terī jānib aa rahā huuñ ruuh kī taskīñ ko maiñ
hasrateñ dil kī maiñ duniyā meñ nikāl aayā bahut
teri jaanib aa raha hun ruh ki taskin ko main
hasraten dil ki main duniya mein nikal aaya bahut
jab apnī sar-zamīn ne mujh ko na dī panāh
anjān vādiyoñ meñ utarnā paḌā mujhe
jab apni sar-zamin ne mujh ko na di panah
anjaan wadiyon mein utarna paDa mujhe
-
Tag : Hijrat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mirā dil TuuT jaane par miyāñ hairat bhalā kaisī
agar rasta badal jaa.e sitāre TuuT jaate haiñ
mera dil TuT jaane par miyan hairat bhala kaisi
agar rasta badal jae sitare TuT jate hain
ise shā.irī na jaano ye hai merī āp-bītī
maiñ ne likh diyā hai dil kā sabhī haal chalte chalte
ise shairi na jaano ye hai meri aap-biti
main ne likh diya hai dil ka sabhi haal chalte chalte
de hausle kī daad ki ham tere ġham meñ aaj
baiThe haiñ mahfiloñ ko sajā.e tire baġhair
de hausle ki dad ki hum tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajae tere baghair
jis kā sākin hai mirī zaat meñ ab tak zinda
phuul us qabr pe jā kar maiñ chaḌhā.ūñ kaise
jis ka sakin hai meri zat mein ab tak zinda
phul us qabr pe ja kar main chaDhaun kaise
-
Tag : Yaad-e-Raftagan
mujhe to lagtā hai jaise ye kā.enāt tamām
hai bāzgasht yaqīnan sadā kisī kī nahīñ
mujhe to lagta hai jaise ye kaenat tamam
hai bazgasht yaqinan sada kisi ki nahin
-
Tag : Philosophical
tū mujh se duur chalī jaa.e ain mumkin hai
magar vo aks jo merī nazar meñ rahtā hai
tu mujh se dur chali jae ain mumkin hai
magar wo aks jo meri nazar mein rahta hai
mirā dil TuuT jaane par miyāñ hairat bhalā kaisī
agar rasta badal jaa.e sitāre TuuT jaate haiñ
mera dil TuT jaane par miyan hairat bhala kaisi
agar rasta badal jae sitare TuT jate hain
rasm-o-rivāj chhoḌ ke sab aa ga.e yahāñ
rakkhī huī haiñ taaq meñ ab ġhairateñ tamām
rasm-o-riwaj chhoD ke sab aa gae yahan
rakkhi hui hain taq mein ab ghairaten tamam
terī ḳhushbū ke saath aaj 'adīl'
phir se lauT aa.ī merī bīnā.ī
teri KHushbu ke sath aaj 'adil'
phir se lauT aai meri binai
tujh se judā hue to ye ho jā.eñge judā
baaqī kahāñ raheñge ye saa.e tire baġhair
tujh se juda hue to ye ho jaenge juda
baqi kahan rahenge ye sae tere baghair
vaa.e qismat sabab is kā bhī ye vahshat Thahrī
dar-o-dīvār meñ rah kar bhī maiñ be-ghar niklā
wae qismat sabab is ka bhi ye wahshat Thahri
dar-o-diwar mein rah kar bhi main be-ghar nikla
judā jo ho ga.e tasbīh-e-roz-o-shab se 'adīl'
maiñ zindagī meñ vo daane piro nahīñ saktā
juda jo ho gae tasbih-e-roz-o-shab se 'adil'
main zindagi mein wo dane piro nahin sakta