Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Afroz Alam's Photo'

Afroz Alam

1975 | Saudi Arabia

Sher of Afroz Alam

495
Favorite

SORT BY

maiñ zehnī taur pe āvāra hotā jaatā huuñ

mire shu.ūr mujhe apnī had ke andar khīñch

main zehni taur pe aawara hota jata hun

mere shuur mujhe apni had ke andar khinch

har ḳhvāb shikasta hai ta.amīr-e-nasheman

har sub.h ke māthe par bāzār garmī hai

har KHwab shikasta hai tamir-e-nasheman ka

har subh ke mathe par bazar ki garmi hai

zamāna tujh ko harīf kah le use ye haq hai

mirī nazar meñ devtā hai yahī bahut hai

zamana tujh ko harif kah le use ye haq hai

meri nazar mein tu dewta hai yahi bahut hai

tārīḳh batā.egī vo qatra hai ki dariyā

aañsū hai abhī vaqt ke qadmoñ meñ paḌā hai

tariKH bataegi wo qatra hai ki dariya

aansu hai abhi waqt ke qadmon mein paDa hai

ye khulā jism khule baal ye halke malbūs

tum na.ī sub.h āġhāz karoge shāyad

ye khula jism khule baal ye halke malbus

tum nai subh ka aaghaz karoge shayad

satātī hai tumhārī yaad jab mujh ko shab-e-hijrāñ

mujhe ḳhud apnī hastī ajnabī mālūm hotī hai

satati hai tumhaari yaad jab mujh ko shab-e-hijran

mujhe KHud apni hasti ajnabi malum hoti hai

adā-e-ḳhār se gulshan baḌh ga.ī zīnat

agarche phūloñ ke dāman haiñ taar taar abhī

ada-e-KHar se gulshan ki baDh gai zinat

agarche phulon ke daman hain tar tar abhi

abhī sitāroñ meñ baaqī hai zindagī ramaq

kuchh aur der zarā narm garm chādar khīñch

abhi sitaron mein baqi hai zindagi ki ramaq

kuchh aur der zara narm garm chadar khinch

maiñ ujāle ko mohabbat ḳhudā likhtā huuñ

vo añdhere se mānūs huā jaatā hai

main ujale ko mohabbat ka KHuda likhta hun

wo andhere hi se manus hua jata hai

isī liye to ye duniyā dhulī dhulī lage

tire firāq meñ ro.e haiñ zār-zār abhī

isi liye to ye duniya dhuli dhuli si lage

tere firaq mein roe hain zar-zar abhi

gum-sum khaḌā hai koī darvāza-e-dil par

is shaam manzar to dil-āvez bahut hai

gum-sum sa khaDa hai koi darwaza-e-dil par

is sham ka manzar to dil-awez bahut hai

tumhārī guftugū se aas ḳhushbū chhalaktī hai

jahāñ tum ho vahāñ pe zindagī mālūm hotī hai

tumhaari guftugu se aas ki KHushbu chhalakti hai

jahan tum ho wahan pe zindagi malum hoti hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now