Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Aghaz Barni

Sher of Aghaz Barni

mire ehsās ke ātish-fishāñ

agar ho to mire dil tak dhuāñ ho

mere ehsas ke aatish-fishan ka

agar ho to mere dil tak dhuan ho

use suljhā.ūñ kaise

maiñ ḳhud uljhā huā huuñ

use suljhaun kaise

main KHud uljha hua hun

maiñ to bas ye chāhtā huuñ vasl bhī

do diloñ ke darmiyāñ haa.el na ho

main to bas ye chahta hun wasl bhi

do dilon ke darmiyan hael na ho

vo ḳhvāb jis pe tīra-shabī gumān thā

vo ḳhvāb āftāb ta.abīr ho gayā

wo KHwab jis pe tira-shabi ka guman tha

wo KHwab aaftab ki tabir ho gaya

qad andāza tumheñ ho jā.egā

apne saa.e ko ghaTā kar dekhnā

qad ka andaza tumhein ho jaega

apne sae ko ghaTa kar dekhna

maiñ ḳhud se chhupā lekin

us shaḳhs pe uryāñ thā

main KHud se chhupa lekin

us shaKHs pe uryan tha

ab agar ishq ke āsār nahīñ badleñge

ham bhī pairāya-e-iz.hār nahīñ badleñge

ab agar ishq ke aasar nahin badlenge

hum bhi pairaya-e-izhaar nahin badlenge

ai shab-e-ġham mire muqaddar

tere dāman meñ ik sahar hotī

ai shab-e-gham mere muqaddar ki

tere daman mein ek sahar hoti

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now