Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akhtar Razaa Saleemi's Photo'

Akhtar Razaa Saleemi

1974 | Islamabad, Pakistan

Sher of Akhtar Razaa Saleemi

852
Favorite

SORT BY

ik aag hamārī muntazir hai

ik aag se ham nikal rahe haiñ

ek aag hamari muntazir hai

ek aag se hum nikal rahe hain

sunā gayā hai yahāñ shahr bas rahā thā koī

kahā gayā hai yahāñ par makān hote the

suna gaya hai yahan shahr bas raha tha koi

kaha gaya hai yahan par makan hote the

yahīñ kahīñ pe koī shahr bas rahā thā abhī

talāsh kījiye is agar nishāñ koī hai

yahin kahin pe koi shahr bas raha tha abhi

talash kijiye is ka agar nishan koi hai

ham aa.e roz nayā ḳhvāb dekhte haiñ magar

ye log vo nahīñ jo ḳhvāb se bahal jaa.eñ

hum aae roz naya KHwab dekhte hain magar

ye log wo nahin jo KHwab se bahal jaen

jismoñ se nikal rahe haiñ saa.e

aur raushnī ko nigal rahe haiñ

jismon se nikal rahe hain sae

aur raushni ko nigal rahe hain

tumhāre hone shāyad surāġh paane lage

kanār-e-chashm ka.ī ḳhvāb sar uThāne lage

tumhaare hone ka shayad suragh pane lage

kanar-e-chashm kai KHwab sar uThane lage

guzar rahā huuñ kisī jannat-e-jamāl se maiñ

gunāh kartā huā nekiyāñ kamātā huā

guzar raha hun kisi jannat-e-jamal se main

gunah karta hua nekiyan kamata hua

ab zamīñ bhī jagah nahīñ detī

ham kabhī āsmāñ pe rahte the

ab zamin bhi jagah nahin deti

hum kabhi aasman pe rahte the

ḳhvāb galiyoñ meñ phir rahe the aur

log apne gharoñ meñ so.e the

KHwab galiyon mein phir rahe the aur

log apne gharon mein soe the

pahle tarāshā kāñch se us ne mirā vajūd

phir shahr bhar ke haath meñ patthar thamā diye

pahle tarasha kanch se us ne mera wajud

phir shahr bhar ke hath mein patthar thama diye

dil o nigāh pe taarī rahe fusūñ us

tumhārā ho ke bhī mumkin hai maiñ rahūñ us

dil o nigah pe tari rahe fusun us ka

tumhaara ho ke bhi mumkin hai main rahun us ka

tujhe ḳhabar nahīñ is baat abhī shāyad

ki terā ho to gayā huuñ magar maiñ huuñ us

tujhe KHabar nahin is baat ki abhi shayad

ki tera ho to gaya hun magar main hun us ka

aa.e adam se ek jhalak dekhne tirī

rakkhā kyā thā varna jahān-e-ḳharāb meñ

aae adam se ek jhalak dekhne teri

rakkha hi kya tha warna jahan-e-KHarab mein

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now