Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Andaleeb Shadani's Photo'

Andaleeb Shadani

1904 - 1969 | Dhaka, Bangladesh

Known for his popular ghazal 'Der lagi aane mein lekin…' sung by various singers

Known for his popular ghazal 'Der lagi aane mein lekin…' sung by various singers

Sher of Andaleeb Shadani

der lagī aane meñ tum ko shukr hai phir bhī aa.e to

aas ne dil saath na chhoḌā vaise ham ghabrā.e to

Am grateful you came finally, though you were delayed

hope had not forsaken me, though must say was afraid

der lagi aane mein tum ko shukr hai phir bhi aae to

aas ne dil ka sath na chhoDa waise hum ghabrae to

Am grateful you came finally, though you were delayed

hope had not forsaken me, though must say was afraid

uff vo tūfān-e-shabāb aah vo siina terā

jise har saañs meñ dab dab ke ubhartā dekhā

uff wo tufan-e-shabab aah wo sina tera

jise har sans mein dab dab ke ubharta dekha

dil par choT paḌī hai tab to aah laboñ tak aa.ī hai

yuuñ chhan se bol uThnā to shīshe dastūr nahīñ

dil par choT paDi hai tab to aah labon tak aai hai

yun hi chhan se bol uThna to shishe ka dastur nahin

chāhat ke badle meñ ham bech deñ apnī marzī tak

koī mile to dil gāhak koī hameñ apnā.e to

in exchange for love I'd trade my freedom I confess

if a buyer could be found who would my heart possess

chahat ke badle mein hum bech den apni marzi tak

koi mile to dil ka gahak koi hamein apnae to

in exchange for love I'd trade my freedom I confess

if a buyer could be found who would my heart possess

jhuuT hai sab tārīḳh hamesha apne ko dohrātī hai

achchhā merā ḳhvāb-e-javānī thoḌā dohrā.e to

that history doth repeat itself has no shred of truth

if it does so let it then return to me my youth

jhuT hai sab tariKH hamesha apne ko dohraati hai

achchha mera KHwab-e-jawani thoDa sa dohrae to

that history doth repeat itself has no shred of truth

if it does so let it then return to me my youth

jigar meñ Tiis lab hañsne pe majbūr

kuchh aisī hamārī zindagī hai

jigar mein Tis lab hansne pe majbur

kuchh aisi hi hamari zindagi hai

be-niyāzāna barābar se guzarne vaale

tez kuchh qalb raftār huī thī ki nahīñ

be-niyazana barabar se guzarne wale

tez kuchh qalb ki raftar hui thi ki nahin

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now