Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Asad Bhopali's Photo'

Asad Bhopali

1921 - 1990 | Bhopal, India

Poet & film lyricist.

Poet & film lyricist.

Sher of Asad Bhopali

3K
Favorite

SORT BY

itnā to batā jaao ḳhafā hone se pahle

vo kyā kareñ jo tum se ḳhafā ho nahīñ sakte

itna to bata jao KHafa hone se pahle

wo kya karen jo tum se KHafa ho nahin sakte

ai mauj-e-havādis tujhe mālūm nahīñ kyā

ham ahl-e-mohabbat haiñ fanā ho nahīñ sakte

ai mauj-e-hawadis tujhe malum nahin kya

hum ahl-e-mohabbat hain fana ho nahin sakte

hālāt ne kisī se judā kar diyā mujhe

ab zindagī se zindagī mahrūm ho ga.ī

haalat ne kisi se juda kar diya mujhe

ab zindagi se zindagi mahrum ho gai

aise iqrār meñ inkār ke sau pahlū haiñ

vo to kahiye ki laboñ pe na tabassum aa.e

aise iqrar mein inkar ke sau pahlu hain

wo to kahiye ki labon pe na tabassum aae

jab zarā raat huī aur mah o anjum aa.e

bār-hā dil ne ye mahsūs kiyā tum aa.e

jab zara raat hui aur mah o anjum aae

bar-ha dil ne ye mahsus kiya tum aae

ye aañsū DhūñDtā hai terā dāman

musāfir apnī manzil jāntā hai

ye aansu DhunDta hai tera daman

musafir apni manzil jaanta hai

na bazm apnī na apnā saaqī na shīsha apnā na jaam apnā

agar yahī hai nizām-e-hastī to zindagī ko salām apnā

na bazm apni na apna saqi na shisha apna na jam apna

agar yahi hai nizam-e-hasti to zindagi ko salam apna

ajab andāz ke shām-o-sahar haiñ

koī tasvīr ho jaise adhūrī

ajab andaz ke sham-o-sahar hain

koi taswir ho jaise adhuri

ishq ko jab husn se nazreñ milānā aa gayā

ḳhud-ba-ḳhud ghabrā ke qadmoñ meñ zamāna aa gayā

ishq ko jab husn se nazren milana aa gaya

KHud-ba-KHud ghabra ke qadmon mein zamana aa gaya

dekhiye ahd-e-vafā achchhā nahīñ

marnā jiinā saath ho jā.egā

dekhiye ahd-e-wafa achchha nahin

marna jina sath ka ho jaega

farq itnā hai ki parde meñ aur maiñ be-hijāb

varna maiñ aks-e-mukammal huuñ tirī tasvīr

farq itna hai ki tu parde mein aur main be-hijab

warna main aks-e-mukammal hun teri taswir ka

na aayā ġham bhī mohabbat meñ sāzgār mujhe

vo ḳhud taḌap ga.e dekhā jo be-qarār mujhe

na aaya gham bhi mohabbat mein sazgar mujhe

wo KHud taDap gae dekha jo be-qarar mujhe

ġhuncha o gul maah o anjum sab ke sab bekār the

aap kyā aa.e ki phir mausam suhānā aa gayā

ghuncha o gul mah o anjum sab ke sab bekar the

aap kya aae ki phir mausam suhana aa gaya

maiñ ab tere sivā kis ko pukārūñ

muqaddar so gayā ġham jāgtā hai

main ab tere siwa kis ko pukarun

muqaddar so gaya gham jagta hai

bār-hā ye bhī huā anjuman-e-nāz se ham

sūrat-e-mauj uThe misl-e-talātum aa.e

bar-ha ye bhi hua anjuman-e-naz se hum

surat-e-mauj uThe misl-e-talatum aae

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now