Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ashar Najmi's Photo'

Ashar Najmi

1960 | Mumbai, India

Poet and author, editor of well-known literary journal 'Isbaat'

Poet and author, editor of well-known literary journal 'Isbaat'

Sher of Ashar Najmi

346
Favorite

SORT BY

andhere meñ tajassus taqāzā chhoḌ jaanā hai

kisī din ḳhāmushī meñ ḳhud ko tanhā chhoḌ jaanā hai

andhere mein tajassus ka taqaza chhoD jaana hai

kisi din KHamushi mein KHud ko tanha chhoD jaana hai

rafta rafta ḳhatm qissa ho gayā honā thā

vo bhī āḳhir mere jaisā ho gayā honā thā

rafta rafta KHatm qissa ho gaya hona hi tha

wo bhi aaKHir mere jaisa ho gaya hona hi tha

sauñpoge apne ba.ad virāsat meñ kyā mujhe

bachche ye savāl hai gūñge samāj se

saunpoge apne baad wirasat mein kya mujhe

bachche ka ye sawal hai gunge samaj se

na jaane kab koī aa kar mirī takmīl kar jaa.e

isī ummīd pe ḳhud ko adhūrā chhoḌ jaanā hai

na jaane kab koi aa kar meri takmil kar jae

isi ummid pe KHud ko adhura chhoD jaana hai

zahr meñ Duubī huī parchhā.iyoñ raqs hai

ḳhud se vābasta yahāñ maiñ bhī nahīñ bhī nahīñ

zahr mein Dubi hui parchhaiyon ka raqs hai

KHud se wabasta yahan main bhi nahin tu bhi nahin

vo jin hijratoñ ke aaj bhī kuchh daaġh raushan haiñ

unhī bichhḌe parindoñ ko shajar vāpas bulātā hai

wo jin ki hijraton ke aaj bhi kuchh dagh raushan hain

unhi bichhDe parindon ko shajar wapas bulata hai

shāyad mirī nigāh meñ koī shigāf thā

varna udaas raat chehrā to saaf thā

shayad meri nigah mein koi shigaf tha

warna udas raat ka chehra to saf tha

bahut mohtāt ho kar saañs lenā mo'tabar ho tum

hamārā kyā hai ham to ḳhud apnī rad meñ rahte haiñ

bahut mohtat ho kar sans lena mo'tabar ho tum

hamara kya hai hum to KHud hi apni rad mein rahte hain

raste farār ke sabhī masdūd to na the

apnī shikast mujhe kyuuñ e'tirāf thā

raste farar ke sabhi masdud to na the

apni shikast ka mujhe kyun e'tiraf tha

canvas par hai ye kis paikar-e-harf-o-sadā

ik numūd-e-ārzū jo be-nishāñ hai aur bas

canwas par hai ye kis ka paikar-e-harf-o-sada

ek numud-e-arzu jo be-nishan hai aur bas

tere badan dhuup se mahrūm kab huā

lekin ye isti.āra bhī manzūm kab huā

tere badan ki dhup se mahrum kab hua

lekin ye istiara bhi manzum kab hua

maiñ ne bhī parchhā.iyoñ ke shahr phir raah

aur vo bhī apne ghar ho gayā honā thā

main ne bhi parchhaiyon ke shahr ki phir rah li

aur wo bhi apne ghar ka ho gaya hona hi tha

nā-tamāmī ke sharar meñ roz o shab jalte rahe

sach to ye hai be-zabāñ maiñ bhī nahīñ bhī nahīñ

na-tamami ke sharar mein roz o shab jalte rahe

sach to ye hai be-zaban main bhi nahin tu bhi nahin

saroñ ke bojh ko shānoñ pe rakhnā mojaza bhī hai

har ik pal varna ham bhī halqa-e-sarmad meñ rahte haiñ

saron ke bojh ko shanon pe rakhna mojaza bhi hai

har ek pal warna hum bhi halqa-e-sarmad mein rahte hain

tum bhī the sarshār maiñ bhī ġharq-e-bahr-e-rañg-o-bū

phir bhalā donoñ meñ āḳhir ḳhud-kashīda kaun thā

tum bhi the sarshaar main bhi gharq-e-bahr-e-rang-o-bu

phir bhala donon mein aaKHir KHud-kashida kaun tha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now