Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ateeq Anzar's Photo'

Ateeq Anzar

1963 | Qatar

Sher of Ateeq Anzar

799
Favorite

SORT BY

bichhaḌte vaqt anā darmiyān thī varna

manānā donoñ ne ik dūsre ko chāhā thā

bichhaDte waqt ana darmiyan thi warna

manana donon ne ek dusre ko chaha tha

ġham band muTThī meñ ret mirā jīvan

jab zarā kasī muTThī zindagī bikhartī hai

gham ki band muTThi mein ret sa mera jiwan

jab zara kasi muTThi zindagi bikharti hai

vo ġhazal kitāb hai pyāre

us ko paḌhnā savāb hai pyāre

wo ghazal ki kitab hai pyare

us ko paDhna sawab hai pyare

shaam ke dhuñdlakoñ meñ Dūbtā hai yuuñ sūraj

jaise aarzū koī mere dil meñ martī hai

sham ke dhundlakon mein Dubta hai yun suraj

jaise aarzu koi mere dil mein marti hai

gaañv ke parinde tum ko kyā patā bidesoñ meñ

raat ham akeloñ kis tarah guzartī hai

ganw ke parinde tum ko kya pata bideson mein

raat hum akelon ki kis tarah guzarti hai

duur mujh se rahte haiñ saare ġham zamāne ke

terī yaad ḳhushbū dil meñ jab Thahartī hai

dur mujh se rahte hain sare gham zamane ke

teri yaad ki KHushbu dil mein jab Thaharti hai

tujh se mil kar bhī udāsī nahīñ jaatī dil

nahīñ aur koī merī kamī ho jaise

tujh se mil kar bhi udasi nahin jati dil ki

tu nahin aur koi meri kami ho jaise

tirī zulfoñ ke saa.e meñ agar luuñ maiñ pal-do-pal

na ho phir ġham jo mere naam sahrā likh diyā jaa.e

teri zulfon ke sae mein agar ji lun main pal-do-pal

na ho phir gham jo mere nam sahra likh diya jae

ashk palkoñ pe bichhaḌ kar apnī qīmat kho gayā

ye sitāra qīmtī thā jab talak TuuTā na thā

ashk palkon pe bichhaD kar apni qimat kho gaya

ye sitara qimti tha jab talak TuTa na tha

tirī shoḳh āñkhoñ meñ bārhā ka.ī ḳhvāb dekhe haiñ pyaar ke

tirā pyaar merā nasīb hai kisī aur ko ye vafā na de

teri shoKH aankhon mein barha kai KHwab dekhe hain pyar ke

tera pyar mera nasib hai kisi aur ko ye wafa na de

ik us zaat se jab merā e'tibār uThā

to phir kisī pe bhī aayā na e'tibār mujhe

ek us ki zat se jab mera e'tibar uTha

to phir kisi pe bhi aaya na e'tibar mujhe

kisī ne bhejā hai ḳhat pyaar aur vafā likh kar

qalam se kaam diyā hai mujhe ḳhudā likh kar

kisi ne bheja hai KHat pyar aur wafa likh kar

qalam se kaam diya hai mujhe KHuda likh kar

kahīñ bujhtī hai dil pyaas ik do ghūñT se 'anzar'

maiñ sūraj huuñ mire hisse meñ dariyā likh diyā jaa.e

kahin bujhti hai dil ki pyas ek do ghunT se 'anzar'

main suraj hun mere hisse mein dariya likh diya jae

use dekhne thī aarzū mujhe us thī baḌī justujū

magar us ke āriz-e-nāz pe mirī har nigāh phisal ga.ī

use dekhne ki thi aarzu mujhe us ki thi baDi justuju

magar us ke aariz-e-naz pe meri har nigah phisal gai

maiñ tum se tark-e-ta'alluq baat kyuuñ sochūñ

judā na jismoñ se 'anzar' kabhī bhī saa.e hue

main tum se tark-e-ta'alluq ki baat kyun sochun

juda na jismon se 'anzar' kabhi bhi sae hue

Recitation

Speak Now