Sher of Bayan Meeruthi
nahīñ ye aadmī kā kaam vaa.iz
hamāre but tarāshe haiñ ḳhudā ne
nahin ye aadmi ka kaam waiz
hamare but tarashe hain KHuda ne
yaad meñ ḳhvāb meñ tasavvur meñ
aa ki aane ke haiñ hazār tarīq
yaad mein KHwab mein tasawwur mein
aa ki aane ke hain hazar tariq
adā.eñ tā-abad bikhrī paḌī haiñ
azal meñ phaT paḌā joban kisī kā
adaen ta-abad bikhri paDi hain
azal mein phaT paDa joban kisi ka
ye tāsīr mohabbat hai ki Tapkā
hamārā ḳhuuñ tumhārī guftugū se
ye tasir mohabbat hai ki Tapka
hamara KHun tumhaari guftugu se
lahū Tapkā kisī kī aarzū se
hamārī aarzū Tapkī lahū se
lahu Tapka kisi ki aarzu se
hamari aarzu Tapki lahu se
-
Tag : Aarzoo
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hazāroñ dil masal kar pair se jhuñjhlā ke yuuñ bole
lo pahchāno tumhārā in diloñ meñ kaun sā dil hai
hazaron dil masal kar pair se jhunjhla ke yun bole
lo pahchano tumhaara in dilon mein kaun sa dil hai
vo poshīda rakhte haiñ apnā ta.alluq
idhar dekh kar phir udhar dekh lenā
wo poshida rakhte hain apna talluq
idhar dekh kar phir udhar dekh lena
kabhī hañsāyā kabhī rulāyā kabhī rulāyā kabhī hañsāyā
jhijak jhijak kar simaT simaT kar lipaT lipaT kar dabā dabā kar
kabhi hansaya kabhi rulaya kabhi rulaya kabhi hansaya
jhijak jhijak kar simaT simaT kar lipaT lipaT kar daba daba kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shaiḳh ke māthe pe miTTī barhaman ke bar meñ but
aadmī dair-o-haram se ḳhaak patthar le chalā
shaiKH ke mathe pe miTTi barhaman ke bar mein but
aadmi dair-o-haram se KHak patthar le chala
vahī uThā.e mujhe jo bane mirā mazdūr
tumhāre kūche meñ baiThā huuñ maiñ makāñ kī tarah
wahi uThae mujhe jo bane mera mazdur
tumhaare kuche mein baiTha hun main makan ki tarah
paar dariyā-e-shahādat se utar jaate haiñ sar
kashtī-e-ushshāq kī mallāh ban jaatī hai teġh
par dariya-e-shahadat se utar jate hain sar
kashti-e-ushshaq ki mallah ban jati hai tegh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil aayā hai qayāmat hai mirā dil
uThe ta.azīm de joban kisī kā
dil aaya hai qayamat hai mera dil
uThe tazim de joban kisi ka
vo haTe aañkh ke aage se to bas sūrat-e-aks
maiñ bhī is ā.īna-ḳhāna se nikal jā.ūñgā
wo haTe aankh ke aage se to bas surat-e-aks
main bhi is aaina-KHana se nikal jaunga
havā-e-vahshat dil le uḌī kahāñ se kahāñ
paḌī hai duur zamīñ gard-e-kārvāñ kī tarah
hawa-e-wahshat dil le uDi kahan se kahan
paDi hai dur zamin gard-e-karwan ki tarah
nairañgiyāñ falak kī jabhī haiñ ki hoñ baham
kaalī ghaTā safed pyāle sharāb-e-surḳh
nairangiyan falak ki jabhi hain ki hon baham
kali ghaTa safed pyale sharab-e-surKH
ai tan-parast jāma-e-sūrat kasīf hai
bazm-e-huzūr-e-dost meñ kapḌe badal ke chal
ai tan-parast jama-e-surat kasif hai
bazm-e-huzur-e-dost mein kapDe badal ke chal
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gauhar-e-maqsad mile gar charḳh-e-mīnā.ī na ho
ġhota-zan bahr-e-haqīqat meñ huuñ gar kaa.ī na ho
gauhar-e-maqsad mile gar charKH-e-minai na ho
ghota-zan bahr-e-haqiqat mein hun gar kai na ho