Sher of Bekhud Badayuni
hāsil us mah-laqā kī diid nahīñ
eid hai aur ham ko eid nahīñ
hasil us mah-laqa ki did nahin
eid hai aur hum ko eid nahin
un kī hasrat bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ dil bhī nahīñ
ab to 'beḳhud' hai ye aalam mirī tanhā.ī kā
un ki hasrat bhi nahin main bhi nahin dil bhi nahin
ab to 'beKHud' hai ye aalam meri tanhai ka
kabhī hayā unheñ aa.ī kabhī ġhurūr aayā
hamāre kaam meñ sau sau tarah futūr aayā
kabhi haya unhen aai kabhi ghurur aaya
hamare kaam mein sau sau tarah futur aaya
-
Tag : Haya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apnī ḳhū-e-vafā se Dartā huuñ
āshiqī bandagī na ho jaa.e
apni KHu-e-wafa se Darta hun
aashiqi bandagi na ho jae
-
Tag : Bandagi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na mudārāt hamārī na adū se nafrat
na vafā hī tumheñ aa.ī na jafā hī aa.ī
na mudaraat hamari na adu se nafrat
na wafa hi tumhein aai na jafa hi aai
baiThtā hai hamesha rindoñ meñ
kahīñ zāhid valī na ho jaa.e
baiThta hai hamesha rindon mein
kahin zahid wali na ho jae
-
Tag : Rind
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aañsū mirī āñkhoñ meñ haiñ naale mire lab par
saudā mire sar meñ hai tamannā mire dil meñ
aansu meri aankhon mein hain nale mere lab par
sauda mere sar mein hai tamanna mere dil mein
vaa.iz o mohtasib kā jamghaT hai
mai-kada ab to mai-kada na rahā
waiz o mohtasib ka jamghaT hai
mai-kada ab to mai-kada na raha
vo jo kar rahe haiñ bajā kar rahe haiñ
ye jo ho rahā hai bajā ho rahā hai
wo jo kar rahe hain baja kar rahe hain
ye jo ho raha hai baja ho raha hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dair-o-haram ko dekh liyā ḳhaak bhī nahīñ
bas ai talāsh-e-yār na dar-dar phirā mujhe
dair-o-haram ko dekh liya KHak bhi nahin
bas ai talash-e-yar na dar-dar phira mujhe
-
Tag : Dair-o-Haram
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shifā kyā ho nahīñ saktī hameñ lekin nahīñ hotī
davā kyā kar nahīñ sakte haiñ ham lekin nahīñ karte
shifa kya ho nahin sakti hamein lekin nahin hoti
dawa kya kar nahin sakte hain hum lekin nahin karte
vo un kā vasl meñ ye kah ke muskurā denā
tulū-e-sub.h se pahle hameñ jagā denā
wo un ka wasl mein ye kah ke muskura dena
tulu-e-subh se pahle hamein jaga dena
shikva sun kar jo mizāj-e-but-e-bad-ḳhū badlā
ham ne bhī saath hī taqrīr kā pahlū badlā
shikwa sun kar jo mizaj-e-but-e-bad-KHu badla
hum ne bhi sath hi taqrir ka pahlu badla
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhuun ho jaa.eñ ḳhaak meñ mil jaa.eñ
hazrat-e-dil se kuchh ba.iid nahīñ
KHun ho jaen KHak mein mil jaen
hazrat-e-dil se kuchh baid nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gardish-e-baḳht se baḌhtī hī chalī jaatī haiñ
mirī dil-bastagiyāñ zulf-e-girah-gīr ke saath
gardish-e-baKHt se baDhti hi chali jati hain
meri dil-bastagiyan zulf-e-girah-gir ke sath