Sher of Divakar Rahi
ab to utnī bhī mayassar nahīñ mai-ḳhāne meñ
jitnī ham chhoḌ diyā karte the paimāne meñ
the tavern does not even give that much wine to me
that I was wont to waste in the goblet casually
ab to utni bhi mayassar nahin mai-KHane mein
jitni hum chhoD diya karte the paimane mein
the tavern does not even give that much wine to me
that I was wont to waste in the goblet casually
vaqt barbād karne vāloñ ko
vaqt barbād kar ke chhoḌegā
waqt barbaad karne walon ko
waqt barbaad kar ke chhoDega
agar maujeñ Dubo detīñ to kuchh taskīn ho jaatī
kināroñ ne Duboyā hai mujhe is baat kā ġham hai
agar maujen Dubo detin to kuchh taskin ho jati
kinaron ne Duboya hai mujhe is baat ka gham hai
ġhusse meñ barhamī meñ ġhazab meñ itaab meñ
ḳhud aa ga.e haiñ vo mire ḳhat ke javāb meñ
ghusse mein barhami mein ghazab mein itab mein
KHud aa gae hain wo mere KHat ke jawab mein
is se pahle ki log pahchāneñ
ḳhud ko pahchān lo to behtar hai
is se pahle ki log pahchanen
KHud ko pahchan lo to behtar hai
vaqār-e-ḳhūn-e-shahīdān-e-karbalā kī qasam
yazīd morcha jiitā hai jañg haarā hai
waqar-e-KHun-e-shahidan-e-karbala ki qasam
yazid morcha jita hai jang haara hai
is intizār meñ baiThe haiñ un kī mahfil meñ
ki vo nigāh uThā.eñ to ham salām kareñ
is intizar mein baiThe hain un ki mahfil mein
ki wo nigah uThaen to hum salam karen
baat haq hai to phir qubūl karo
ye na dekho ki kaun kahtā hai
baat haq hai to phir qubul karo
ye na dekho ki kaun kahta hai
is daur-e-taraqqī ke andāz nirāle haiñ
zehnoñ meñ añdhere haiñ saḌkoñ pe ujāle haiñ
is daur-e-taraqqi ke andaz nirale hain
zehnon mein andhere hain saDkon pe ujale hain
sochne kī ye baat hai 'rāhī'
sochte hī rahe to kyā hogā
sochne ki ye baat hai 'rahi'
sochte hi rahe to kya hoga
vaqt ko bas guzār lenā hī
dosto koī zindagānī hai
waqt ko bas guzar lena hi
dosto koi zindagani hai
agar ai nāḳhudā tūfān se laḌne kā dam-ḳham hai
idhar kashtī na le aanā yahāñ paanī bahut kam hai
agar ai naKHuda tufan se laDne ka dam-KHam hai
idhar kashti na le aana yahan pani bahut kam hai
savāl ye hai ki is pur-fareb duniyā meñ
ḳhudā ke naam pe kis kis kā ehtirām kareñ
sawal ye hai ki is pur-fareb duniya mein
KHuda ke nam pe kis kis ka ehtiram karen
abas ilzām mat do mushkilāt-e-rāh ko 'rāhī'
tumhāre hī irāde meñ kamī ma.alūm hotī hai
abas ilzam mat do mushkilat-e-rah ko 'rahi'
tumhaare hi irade mein kami malum hoti hai
ain-fitrat hai ki jis shāḳh pe phal ā.eñge
inkisārī se vahī shāḳh lachak jā.egī
ain-fitrat hai ki jis shaKH pe phal aaenge
inkisari se wahi shaKH lachak jaegi
bahut āsān hai do ghūñT pī lenā to ai 'rāhī'
baḌī mushkil se aate haiñ magar ādāb-e-mai-ḳhāna
bahut aasan hai do ghunT pi lena to ai 'rahi'
baDi mushkil se aate hain magar aadab-e-mai-KHana