Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Fariha Naqvi's Photo'

Fariha Naqvi

Lahore, Pakistan

Prominent among the new generation of poets in Pakistan

Prominent among the new generation of poets in Pakistan

Sher of Fariha Naqvi

2.8K
Favorite

SORT BY

ham tohfe meñ ghaḌiyāñ to de dete haiñ

ik duuje ko vaqt nahīñ de paate haiñ

hum tohfe mein ghaDiyan to de dete hain

ek duje ko waqt nahin de pate hain

tumhāre rañg phīke paḌ ga.e naañ

mirī āñkhoñ vīrānī ke aage

tumhaare rang phike paD gae nan

meri aankhon ki virani ke aage

de rahe haiñ log mere dil pe dastak baar baar

dil magar ye kah rahā hai sirf aur sirf

de rahe hain log mere dil pe dastak bar bar

dil magar ye kah raha hai sirf tu aur sirf tu

tumheñ patā hai mire haath lakīroñ meñ

tumhāre naam ke saare hurūf bante haiñ

tumhein pata hai mere hath ki lakiron mein

tumhaare nam ke sare huruf bante hain

raat se ek soch meñ gum huuñ

kis bahāne tujhe kahūñ aa

raat se ek soch mein gum hun

kis bahane tujhe kahun aa ja

tumheñ paane haisiyyat nahīñ hai

magar khone bhī himmat nahīñ hai

tumhein pane ki haisiyyat nahin hai

magar khone ki bhi himmat nahin hai

zamāne ab tire madd-e-muqābil

koī kamzor aurat nahīñ hai

zamane ab tere madd-e-muqabil

koi kamzor si aurat nahin hai

tum mirī vahshatoñ ke sāthī the

koī āsān thā tumheñ khonā?

tum meri wahshaton ke sathi the

koi aasan tha tumhein khona?

us jānib se baḌhā ek qadam

mere sau saal baḌhā detā hai

us ki jaanib se baDha ek qadam

mere sau sal baDha deta hai

hathelī se ThanDā dhuāñ uTh rahā hai

yahī ḳhvāb har martaba dekhtī huuñ

hatheli se ThanDa dhuan uTh raha hai

yahi KHwab har martaba dekhti hun

mire hijr ke faisle se Daro tum

maiñ ḳhud meñ ajab hausla dekhtī huuñ

mere hijr ke faisle se Daro tum

main KHud mein ajab hausla dekhti hun

laḌkhaḌānā nahīñ mujhe phir bhī

tum mirā haath thaam kar rakhnā

laDkhaDana nahin mujhe phir bhi

tum mera hath tham kar rakhna

ain mumkin hai use mujh se mohabbat na ho

dil bahar-taur use apnā banānā chāhe

ain mumkin hai use mujh se mohabbat hi na ho

dil bahar-taur use apna banana chahe

ham aaj qaus-e-quzah ke mānind ek duuje pe khil rahe haiñ

mujhe to pahle se lag rahā thā ye āsmānoñ silsila hai

hum aaj qaus-e-quzah ke manind ek duje pe khil rahe hain

mujhe to pahle se lag raha tha ye aasmanon ka silsila hai

bhalī kyuuñ lage ham ko ḳhushiyoñ dastak

abhī ham mohabbat ġham kar rahe haiñ

bhali kyun lage hum ko KHushiyon ki dastak

abhi hum mohabbat ka gham kar rahe hain

bhalā maiñ zaḳhm khol kar dikhā.ūñ kyoñ

udaas huuñ to huuñ tumheñ batā.ūñ kyoñ

bhala main zaKHm khol kar dikhaun kyon

udas hun to hun tumhein bataun kyon

ai mujhe phuul bhejne vaale

mirī ādateñ bigāḌegā

ai mujhe phul bhejne wale

tu meri aadaten bigaDega

vo tire shahr meñ aate dhḌaknā dil

har galī yaar mire terī galī ho jaise

wo tere shahr mein aate hi dhDakna dil ka

har gali yar mere teri gali ho jaise

vo ḳhudā hai to bhalā us se shikāyat kaisī?

muqtadir hai vo sitam mujh pe jo Dhānā chāhe

wo KHuda hai to bhala us se shikayat kaisi?

muqtadir hai wo sitam mujh pe jo Dhana chahe

soī huī taḌap ko phir se jagā rahā hai

kahtā to kuchh nahīñ hai bas yaad aa rahā hai

soi hui taDap ko phir se jaga raha hai

kahta to kuchh nahin hai bas yaad aa raha hai

khul kar āḳhir jahl elaan honā chāhiye

haq-parastoñ ke liye zindān honā chāhiye

khul kar aaKHir jahl ka elan hona chahiye

haq-paraston ke liye zindan hona chahiye

sun mire ḳhvāb meñ aane vaale

tujh se jalte haiñ zamāne vaale

sun mere KHwab mein aane wale

tujh se jalte hain zamane wale

kis kis phuul shādābī ko masḳh karoge bolo!!!

ye to us den hai jis ko chāhe vo mahkā.e

kis kis phul ki shadabi ko masKH karoge bolo!!!

ye to us ki den hai jis ko chahe wo mahkae

aap jaisoñ ko re.āyā jheltī hai kis tarah

aap ko to soch kar hairān honā chāhiye

aap jaison ko reaya jhelti hai kis tarah

aap ko to soch kar hairan hona chahiye

andar aisā habs thā maiñ ne khol diyā darvāza

jis ne dil se jaanā hai vo ḳhāmoshī se jaa.e

andar aisa habs tha main ne khol diya darwaza

jis ne dil se jaana hai wo KHamoshi se jae

ham udāsī ke is dabistāñ

āḳhirī mustanad havāla haiñ

hum udasi ke is dabistan ka

aaKHiri mustanad hawala hain

aañkh aur bādal donoñ TuuT ke rote haiñ

jaane in aapas meñ kyā rishta hai

aankh aur baadal donon TuT ke rote hain

jaane in ka aapas mein kya rishta hai

dekh maiñ yaad kar rahī huuñ tujhe

phir maiñ ye bhī na kar sakūñ aa

dekh main yaad kar rahi hun tujhe

phir main ye bhi na kar sakun aa ja

dil meñ so.e saare dard jagātā hai

bin mausam bārish aisā nauha hai

dil mein soe sare dard jagata hai

bin mausam ki barish aisa nauha hai

mire ashkoñ le kar raushnā.ī

zamāna sher likhtā rahā thā

mere ashkon ki le kar raushnai

zamana sher likhta ja raha tha

mirā dil jal rahā hai raushnī se

zamāna faiz paatā rahā hai

mera dil jal raha hai raushni se

zamana faiz pata ja raha hai

shaam huī to ghar har ik shai par aa kar jhapTe

āñgan dahlīz pe baiThe vīrānī ke saa.e

sham hui to ghar ki har ek shai par aa kar jhapTe

aangan ki dahliz pe baiThe virani ke sae

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now