Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

1740 - 1792

Sher of Gulam Yahya Huzur Azimabadi

303
Favorite

SORT BY

kabhī haath bhī aa.egā yaar sach kah

yūñhī bāteñ banātā rahegā

kabhi hath bhi aaega yar sach kah

ya yunhi tu baaten banata rahega

yaar gar pūchhe to kiije kuchh arz

baat par baat kahī jaatī hai

yar gar puchhe to kije kuchh arz

baat par baat kahi jati hai

adā ko tirī merā jāntā hai

harīf apnā har koī pahchāntā hai

ada ko teri mera ji jaanta hai

harif apna har koi pahchanta hai

diin o duniyā jo nahīñ pāband

vo farāġhat tamām rakhtā hai

din o duniya ka jo nahin paband

wo faraghat tamam rakhta hai

kab is hālat koī jāntā hai

jo jāntā hai so jāntā hai

kab is ji ki haalat koi jaanta hai

jo ji jaanta hai so ji jaanta hai

hai afsos ai umr jaane tere

ki mere paas ek muddat rahī hai

hai afsos ai umr jaane ka tere

ki tu mere pas ek muddat rahi hai

ishq meñ dard se hai hurmat-e-dil

chashm ko aabrū hai aañsū se

ishq mein dard se hai hurmat-e-dil

chashm ko aabru hai aansu se

haajī to raah ko bhūlā manzil ko koī pahuñche hai

dil qibla chhoḌ ke ne ka.abe ehrām kiyā

haji tu to rah ko bhula manzil ko koi pahunche hai

dil sa qibla chhoD ke tu ne kabe ka ehram kiya

haiñ shaiḳh o barhaman tasbīh aur zunnār ke bande

takalluf bartaraf āshiq haiñ apne yaar ke bande

hain shaiKH o barhaman tasbih aur zunnar ke bande

takalluf bartaraf aashiq hain apne yar ke bande

shab-e-hijr meñ ek din dekhnā

agar zindagī hai to mar jā.eñge

shab-e-hijr mein ek din dekhna

agar zindagi hai to mar jaenge

ai bahr na itnā umañD chal mire aage

ro ro ke Dubā dūñgā kabhī aa ga.ī gar mauj

ai bahr na tu itna umanD chal mere aage

ro ro ke Duba dunga kabhi aa gai gar mauj

ġhair vafā meñ puḳhta haiñ yuuñ sahī pa mujh bhī

ek tirī janāb meñ ḳhaam rahā to kyā huā

ghair wafa mein puKHta hain yun hi sahi pa mujh sa bhi

ek teri janab mein KHam raha to kya hua

ishq meñ ḳhuub niiñ bahut ronā

is se ifshā-e-rāz hotā hai

ishq mein KHub nin bahut rona

is se ifsha-e-raaz hota hai

na jaldī kar ai dast-e-junūñ nāseh ko siine de

bahār aa pahuñchī ab koī Thaharte haiñ rafū is ke

na tu jaldi kar ai dast-e-junun naseh ko sine de

bahaar aa pahunchi ab koi Thaharte hain rafu is ke

aur rabt jise kufr se hai ya.anī barahman

kahtā hai ki hargiz mirā zunnār na TuuTe

aur rabt jise kufr se hai yani barahman

kahta hai ki hargiz mera zunnar na TuTe

abas ghar se apne nikāle hai

bhalā ham tujhe chhoḌ kar jā.eñge

abas ghar se apne nikale hai tu

bhala hum tujhe chhoD kar jaenge

ishq ne sāmne hote jalāyā dil ko

jaise bastī ko lagāve hai adū jañg meñ aag

ishq ne samne hote hi jalaya dil ko

jaise basti ko lagawe hai adu jang mein aag

tujh bin ik dal ho paas rahtā hai

vo bhī akasr udaas rahtā hai

tujh bin ek dal ho pas rahta hai

wo bhi akasr udas rahta hai

gar shaiḳh azm-e-manzil-e-haq hai to aa idhar

hai dil raah sīdhī va ka.abe raah kaj

gar shaiKH azm-e-manzil-e-haq hai to aa idhar

hai dil ki rah sidhi wa kabe ki rah kaj

āñkhoñ se isī tarah agar sail ravāñ hai

duniyā meñ koī ghar na rahā hai na rahegā

aankhon se isi tarah agar sail rawan hai

duniya mein koi ghar na raha hai na rahega

karūñ qat-e-ulfat butoñ se va-lekin

ye kāfir mirā dil nahīñ māntā hai

karun qat-e-ulfat buton se wa-lekin

ye kafir mera dil nahin manta hai

kahūñ ki shaiḳh-e-zamāna huuñ laaf to ye hai

maiñ apne but barahman huuñ saaf to ye hai

kahun ki shaiKH-e-zamana hun laf to ye hai

main apne but ka barahman hun saf to ye hai

nā-chār hai dil zulf-e-girah-gīr ke aage

dīvāne kyā chaltā hai zanjīr ke aage

na-chaar hai dil zulf-e-girah-gir ke aage

diwane ka kya chalta hai zanjir ke aage

har koī apnī fahm-e-nāqis meñ

puḳhta saudā-e-ḳhām rakhtā hai

har koi apni fahm-e-naqis mein

puKHta sauda-e-KHam rakhta hai

āzurda kuchh haiñ shāyad varna huzūr mujh se

kyuuñ muñh phulā rahā hai vo gul-ezār apnā

aazurda kuchh hain shayad warna huzur mujh se

kyun munh phula raha hai wo gul-ezar apna

bahār is dhuum se aa.ī ga.ī ummīd jiine

garebāñ phaT chukā kui dam meñ ab naubat siine

bahaar is dhum se aai gai ummid jine ki

gareban phaT chuka kui dam mein ab naubat hi sine ki

dekhnā zor gāñThā hai dil-e-yār se dil

sañg-o-shīshe ko kiyā hai maiñ hunar se paivand

dekhna zor hi ganTha hai dil-e-yar se dil

sang-o-shishe ko kiya hai main hunar se paiwand

jo chāhe hai dekhūñ māh-e-nau kahtā hai dil merā

idhar kyā dekhtā hai abrū-e-ḳhamdār ke bande

jo ji chahe hai dekhun mah-e-nau kahta hai dil mera

idhar kya dekhta hai abru-e-KHamdar ke bande

jo shaiḳh hai chāhe hai sar-e-rishta-e-islām

qaa.em rahe tasbīh ik taar na TuuTe

jo shaiKH hai chahe hai sar-e-rishta-e-islam

qaem rahe tasbih ka ek tar na TuTe

ik aan meñ le gayā muñh dekhte rah ga.e

kuchh bas nahīñ is māya-e-tasḳhīr ke aage

ek aan mein ji le gaya munh dekhte rah gae

kuchh bas nahin is maya-e-tasKHir ke aage

Recitation

Speak Now