Sher of Hafeez Merathi
vo vaqt kā jahāz thā kartā lihāz kyā
maiñ dostoñ se haath milāne meñ rah gayā
wo waqt ka jahaz tha karta lihaz kya
main doston se hath milane mein rah gaya
-
Tag : Waqt
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raat ko raat kah diyā maiñ ne
sunte hī baukhlā ga.ī duniyā
raat ko raat kah diya main ne
sunte hi baukhla gai duniya
ik ajnabī ke haath meñ de kar hamārā haath
lo saath chhoḌne lagā āḳhir ye saal bhī
ek ajnabi ke hath mein de kar hamara hath
lo sath chhoDne laga aaKHir ye sal bhi
shīsha TuuTe ġhul mach jaa.e
dil TuuTe āvāz na aa.e
shisha TuTe ghul mach jae
dil TuTe aawaz na aae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye bhī to sochiye kabhī tanhā.ī meñ zarā
duniyā se ham ne kyā liyā duniyā ko kyā diyā
ye bhi to sochiye kabhi tanhai mein zara
duniya se hum ne kya liya duniya ko kya diya
-
Tag : Motivational
bad-tar hai maut se bhī ġhulāmī kī zindagī
mar jā.iyo magar ye gavārā na kījiyo
bad-tar hai maut se bhi ghulami ki zindagi
mar jaiyo magar ye gawara na kijiyo
ye hunar bhī baḌā zarūrī hai
kitnā jhuk kar kise salām karo
ye hunar bhi baDa zaruri hai
kitna jhuk kar kise salam karo
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sirf zabāñ kī naqqālī se baat na ban pā.egī 'hafīz'
dil par kaarī choT lage to 'mīr' kā lahja aa.e hai
sirf zaban ki naqqali se baat na ban paegi 'hafiz'
dil par kari choT lage to 'mir' ka lahja aae hai
rañg āñkhoñ ke liye bū hai dimāġhoñ ke liye
phuul ko haath lagāne kī zarūrat kyā hai
rang aankhon ke liye bu hai dimaghon ke liye
phul ko hath lagane ki zarurat kya hai
kyā jaane kyā sabab hai ki jī chāhtā hai aaj
rote hī jaa.eñ sāmne tum ko biThā ke ham
kya jaane kya sabab hai ki ji chahta hai aaj
rote hi jaen samne tum ko biTha ke hum
kabhī kabhī hameñ duniyā hasīn lagtī thī
kabhī kabhī tirī āñkhoñ meñ pyaar dekhte the
kabhi kabhi hamein duniya hasin lagti thi
kabhi kabhi teri aankhon mein pyar dekhte the
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab khul ke kaho baat to kuchh baat banegī
ye daur-e-ishārāt-o-kināyāt nahīñ hai
ab khul ke kaho baat to kuchh baat banegi
ye daur-e-ishaaraat-o-kinayat nahin hai
har sahārā be-amal ke vāste be-kār hai
aañkh hī khole na jab koī ujālā kyā kare
har sahaara be-amal ke waste be-kar hai
aankh hi khole na jab koi ujala kya kare
mohabbat chīḳh bhī ḳhāmoshī bhī naġhma bhī na.ara bhī
ye ik mazmūn hai kitne hī unvānoñ se vābasta
mohabbat chiKH bhi KHamoshi bhi naghma bhi nara bhi
ye ek mazmun hai kitne hi unwanon se wabasta
mai-ḳhāne kī samt na dekho
jaane kaun nazar aa jaa.e
mai-KHane ki samt na dekho
jaane kaun nazar aa jae
-
Tag : Maikada
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shaiḳh qātil ko masīhā kah ga.e
mohtaram kī baat ko jhuTlā.eñ kyā
shaiKH qatil ko masiha kah gae
mohtaram ki baat ko jhuTlaen kya
abhī se hosh uḌe maslahat-parastoñ ke
abhī maiñ bazm meñ aayā abhī kahāñ bolā
abhi se hosh uDe maslahat-paraston ke
abhi main bazm mein aaya abhi kahan bola
rasā hoñ yā na hoñ naale ye nāloñ kā muqaddar hai
'hafīz' aañsū bahā kar jī to halkā kar liyā maiñ ne
rasa hon ya na hon nale ye nalon ka muqaddar hai
'hafiz' aansu baha kar ji to halka kar liya main ne
haa.e vo naġhma jis kā muġhannī
gaatā jaa.e rotā jaa.e
hae wo naghma jis ka mughanni
gata jae rota jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bazm-e-takallufāt sajāne meñ rah gayā
maiñ zindagī ke naaz uThāne meñ rah gayā
TRANSLATION
I was involved in decorating the formal meeting place,
And thus remained drawn up in bearing the life’s grace.
Sagar Akbarabadi
bazm-e-takallufat sajaane mein rah gaya
main zindagi ke naz uThane mein rah gaya
TRANSLATION
I was involved in decorating the formal meeting place,
And thus remained drawn up in bearing the life’s grace.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download