aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Iftikhar Naseem's Photo'

Iftikhar Naseem

1946 - 2011 | USA

Sher of Iftikhar Naseem

14.6K
Favorite

SORT BY

us ke chehre chamak ke sāmne saada lagā

āsmāñ pe chāñd puurā thā magar aadhā lagā

us ke chehre ki chamak ke samne sada laga

aasman pe chand pura tha magar aadha laga

agarche phuul ye apne liye ḳharīde haiñ

koī jo pūchhe to kah dūñgā us ne bheje haiñ

agarche phul ye apne liye KHaride hain

koi jo puchhe to kah dunga us ne bheje hain

mujh se nafrat hai agar us ko to iz.hār kare

kab maiñ kahtā huuñ mujhe pyaar kartā jaa.e

mujh se nafrat hai agar us ko to izhaar kare

kab main kahta hun mujhe pyar hi karta jae

is qadar bhī to na jazbāt pe qaabū rakkho

thak ga.e ho to mire kāñdhe pe baazū rakkho

is qadar bhi to na jazbaat pe qabu rakkho

thak gae ho to mere kandhe pe bazu rakkho

hazār talḳh hoñ yādeñ magar vo jab bhī mile

zabāñ pe achchhe dinoñ zā.iqa rakhnā

hazar talKH hon yaaden magar wo jab bhi mile

zaban pe achchhe dinon ka hi zaiqa rakhna

kaTī hai umr kisī ābdoz kashtī meñ

safar tamām huā aur kuchh nahīñ dekhā

kaTi hai umr kisi aabdoz kashti mein

safar tamam hua aur kuchh nahin dekha

taaq par juzdān meñ lipTī duā.eñ rah ga.iiñ

chal diye beTe safar par ghar meñ maa.eñ rah ga.iiñ

taq par juzdan mein lipTi duaen rah gain

chal diye beTe safar par ghar mein maen rah gain

na jaane kab vo palaT aa.eñ dar khulā rakhnā

ga.e hue ke liye dil meñ kuchh jagah rakhnā

na jaane kab wo palaT aaen dar khula rakhna

gae hue ke liye dil mein kuchh jagah rakhna

bahtī rahī nadī mire ghar ke qarīb se

paanī ko dekhne ke liye maiñ taras gayā

bahti rahi nadi mere ghar ke qarib se

pani ko dekhne ke liye main taras gaya

ḳhud ko hujūm-e-dahr meñ khonā paḌā mujhe

jaise the log vaisā honā paḌā mujhe

KHud ko hujum-e-dahr mein khona paDa mujhe

jaise the log waisa hi hona paDa mujhe

na ho ki qurb phir marg-e-rabt ban jaa.e

vo ab mile to zarā us se fāsla rakhnā

na ho ki qurb hi phir marg-e-rabt ban jae

wo ab mile to zara us se fasla rakhna

ġhair ho koī to us se khul ke bāteñ kījiye

dostoñ dostoñ se gila achchhā nahīñ

ghair ho koi to us se khul ke baaten kijiye

doston ka doston se hi gila achchha nahin

ye kaun mujh ko adhūrā banā ke chhoḌ gayā

palaT ke merā musavvir kabhī nahīñ aayā

ye kaun mujh ko adhura bana ke chhoD gaya

palaT ke mera musawwir kabhi nahin aaya

jis ghaḌī aayā palaT kar ik mirā bichhḌā huā

aam se kapḌoñ meñ thā vo phir bhī shahzāda lagā

jis ghaDi aaya palaT kar ek mera bichhDa hua

aam se kapDon mein tha wo phir bhi shahzada laga

koī bādal mere tapte jism par barsā nahīñ

jal rahā huuñ jaane kab se jism garmī ke saath

koi baadal mere tapte jism par barsa nahin

jal raha hun jaane kab se jism ki garmi ke sath

dīvār o dar jhulaste rahe tez dhuup meñ

bādal tamām shahr se bāhar baras gayā

diwar o dar jhulaste rahe tez dhup mein

baadal tamam shahr se bahar baras gaya

tirā hai kaam kamāñ meñ use lagāne tak

ye tiir ḳhud chalā jā.egā nishāne tak

TRANSLATION

Your task is limited to putting it in the bow,

On its own the target will be hit by this arrow.

Sagar Akbarabadi

tera hai kaam kaman mein use lagane tak

ye tir KHud hi chala jaega nishane tak

TRANSLATION

Your task is limited to putting it in the bow,

On its own the target will be hit by this arrow.

Sagar Akbarabadi

maiñ shīsha kyuuñ na banā aadmī huā kyūñkar

mujhe to umr lagī TuuT phuuT jaane tak

main shisha kyun na bana aadmi hua kyunkar

mujhe to umr lagi TuT phuT jaane tak

to un bhī gila kartā hai jo tere na the

ne dekhā nahīñ kuchh bhī pāgal hai abhī

tu to un ka bhi gila karta hai jo tere na the

tu ne dekha hi nahin kuchh bhi tu pagal hai abhi

meñ Thānī hai ki jiinā hai bahar-hāl mujhe

jis ko marnā hai vo chup-chāp martā jaa.e

ji mein Thani hai ki jina hai bahar-haal mujhe

jis ko marna hai wo chup-chap hi marta jae

fasl-e-gul meñ bhī dikhātā hai ḳhizāñ-dīda-daraḳht

TuuT kar dene pe aa.e to ghaTā jaisā bhī hai

fasl-e-gul mein bhi dikhata hai KHizan-dida-daraKHt

TuT kar dene pe aae to ghaTa jaisa bhi hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now