Sher of Ishq Aurangabadi
'ishq' raushan thā vahāñ dīda-e-āhū se charāġh
maiñ jo yak raat gayā qais ke kāshāne meñ
'ishq' raushan tha wahan dida-e-ahu se charagh
main jo yak raat gaya qais ke kashane mein
ā.īna kabhī qābil-e-dīdār na hove
gar ḳhaak ke saath us ko sarokār na hove
aaina kabhi qabil-e-didar na howe
gar KHak ke sath us ko sarokar na howe
ye but hirs-o-havā ke dil ke jab ka.aba meñ toḌūñgā
tumhārī sub.ha meñ kab shaiḳh-jī zunnār chhoḌūñgā
ye but hirs-o-hawa ke dil ke jab kaba mein toDunga
tumhaari subha mein kab shaiKH-ji zunnar chhoDunga
tū ne kyā dekhā nahīñ gul kā pareshāñ ahvāl
ġhuncha kyuuñ aiñThā huā rahtā hai zardār kī tarah
tu ne kya dekha nahin gul ka pareshan ahwal
ghuncha kyun ainTha hua rahta hai zardar ki tarah
mazā āb-e-baqā kā jān-e-jānāñ
tirā bosa liyā hove so jaane
maza aab-e-baqa ka jaan-e-jaanan
tera bosa liya howe so jaane
āñkhoñ se dil ke diid ko maan.e nahīñ nafas
āshiq ko ain-hijr meñ bhī vasl-e-yār hai
aankhon se dil ke did ko mane nahin nafas
aashiq ko ain-hijr mein bhi wasl-e-yar hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us kī āñkhoñ ke agar vasf raqam kījiyegā
shāḳh-e-nargis ko qalam kar ke qalam kījiyegā
us ki aankhon ke agar wasf raqam kijiyega
shaKH-e-nargis ko qalam kar ke qalam kijiyega
āshiq kī siyah-rozī ījād huī jis din
us roz se ḳhvāboñ kī ye zulf pareshāñ hai
aashiq ki siyah-rozi ijad hui jis din
us roz se KHwabon ki ye zulf pareshan hai
gar shaiḳh ne aah kī to mat bhuul
dil meñ patthar ke bhī sharar hai
gar shaiKH ne aah ki to mat bhul
dil mein patthar ke bhi sharar hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
giraftārī kī lazzat aur nirā āzād kyā jaane
ḳhushī se kāTnā ġham kā dil-e-nāshād kyā jaane
giraftari ki lazzat aur nira aazad kya jaane
KHushi se kaTna gham ka dil-e-nashad kya jaane
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ho gul bulbul tabhī bulbul pe bulbul phuul kar gul ho
tire gar gul-badan bar meñ qabā-e-chashm-e-bulbul ho
ho gul bulbul tabhi bulbul pe bulbul phul kar gul ho
tere gar gul-badan bar mein qaba-e-chashm-e-bulbul ho
nahīñ ma.alūm dil meñ baiTh ke kaun
chashm kī dūrbīñ se dekhe hai
nahin malum dil mein baiTh ke kaun
chashm ki durbin se dekhe hai
lailā kā siyah ḳhema yā aañkh hai hirnoñ kī
ye shāḳha-e-ġhazālāñ hai yā nāla-e-majnūñ hai
laila ka siyah KHema ya aankh hai hirnon ki
ye shaKHa-e-ghazalan hai ya nala-e-majnun hai
ai muqallid bul-havas ham se na kar dāvā-e-ishq
daaġh laala kī tarah rakhte haiñ mādar-zād ham
ai muqallid bul-hawas hum se na kar dawa-e-ishq
dagh lala ki tarah rakhte hain madar-zad hum
kahiyo ḳhud-bīñ se ki ā.īne meñ tanhā mat baiTh
ḳhatar aaseb kā rahtā hai parī-ḳhāne meñ
kahiyo KHud-bin se ki aaine mein tanha mat baiTh
KHatar aaseb ka rahta hai pari-KHane mein
sheva-e-afsurdagī ko kam na buujh
ḳhaak kā kahte haiñ aalam paak hai
shewa-e-afsurdagi ko kam na bujh
KHak ka kahte hain aalam pak hai
duḳhtar-e-raz mat kaho nāpāk hai
ābrū-e-dūdmān-e-tāk hai
duKHtar-e-raz mat kaho napak hai
aabru-e-dudman-e-tak hai
muqābil ho hamāre kasb-e-taqlīdī se kyā tāqat
abhī ham mahv kar dete haiñ ā.īne ko ik hū meñ
muqabil ho hamare kasb-e-taqlidi se kya taqat
abhi hum mahw kar dete hain aaine ko ek hu mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download