Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Krishna Kumar Toor's Photo'

Krishna Kumar Toor

1933 | Dharamshala, India

One of the prominent modern poets, recipient of Sahitya Academy award.

One of the prominent modern poets, recipient of Sahitya Academy award.

Sher of Krishna Kumar Toor

1.2K
Favorite

SORT BY

maiñ to thā maujūd kitāb ke lafzoñ meñ

vo shāyad mujh ko paḌhnā bhuul gayā

main to tha maujud kitab ke lafzon mein

wo hi shayad mujh ko paDhna bhul gaya

maiñ vahm huuñ ki haqīqat ye haal dekhne ko

giraft hotā huuñ apnā visāl dekhne ko

main wahm hun ki haqiqat ye haal dekhne ko

giraft hota hun apna visal dekhne ko

safar na ho to ye lutf-e-safar hai be-ma.anī

badan na ho to bhalā kyā qabā meñ rakkhā hai

safar na ho to ye lutf-e-safar hai be-mani

badan na ho to bhala kya qaba mein rakkha hai

kab tak āsmāñ meñ chhup ke baiThegā

maañg rahā huuñ maiñ kab se duā bāhar aa

kab tak tu aasman mein chhup ke baiThega

mang raha hun main kab se dua bahar aa

band paḌe haiñ shahar ke saare darvāze

ye kaisā aaseb ab ghar ghar lagtā hai

band paDe hain shahar ke sare darwaze

ye kaisa aaseb ab ghar ghar lagta hai

bahut kahā thā ki tum akele na rah sakoge

bahut kahā thā ki ham ko yuuñ dar-ba-dar na karnā

bahut kaha tha ki tum akele na rah sakoge

bahut kaha tha ki hum ko yun dar-ba-dar na karna

un se kyā rishta thā vo kyā mere lagte the

girne lage jab peḌ se patte to maiñ royā bahut

un se kya rishta tha wo kya mere lagte the

girne lage jab peD se patte to main roya bahut

us ko khonā asl meñ us ko paanā hai

hāsil partav hai lā-hāsil meñ

us ko khona asl mein us ko pana hai

hasil ka hi partaw hai la-hasil mein

maiñ kis se kartā yahāñ guftugū koī bhī na thā

nahīñ thā mere muqābil jo koī bhī na thā

main kis se karta yahan guftugu koi bhi na tha

nahin tha mere muqabil jo tu koi bhi na tha

ek diyā dahlīz pe rakkhā bhuul gayā

ghar ko lauT ke aane vaalā bhuul gayā

ek diya dahliz pe rakkha bhul gaya

ghar ko lauT ke aane wala bhul gaya

sab dāman motiyoñ se bharne vaale

merī aañkh meñ bhī ik aañsū rakhnā thā

sab ka daman motiyon se bharne wale

meri aankh mein bhi ek aansu rakhna tha

yahāñ kisī ko kisī ḳhabar nahīñ darkār

ajab tarah ye saarā jahān ho gayā hai

yahan kisi ko kisi ki KHabar nahin darkar

ajab tarah ka ye sara jahan ho gaya hai

vo bhī mujh ko bhulā ke bahut ḳhush baiThā hai

maiñ bhī us ko chhoḌ ke 'tūr' nihāl huā

wo bhi mujh ko bhula ke bahut KHush baiTha hai

main bhi us ko chhoD ke 'tur' nihaal hua

ik aag ab lagī huī hai

paanī meñ asar kahāñ se aayā

ek aag si ab lagi hui hai

pani mein asar kahan se aaya

saarī umr kisī ḳhātir suulī pe laTkā rahā

shāyad 'tūr' mere andar ik shaḳhs thā zinda bahut

sari umr kisi ki KHatir suli pe laTka raha

shayad 'tur' mere andar ek shaKHs tha zinda bahut

donoñ bahr-e-shola-e-zāt donoñ asīr-e-anā

dariyā ke lab par paanī dasht ke lab par pyaas

donon bahr-e-shola-e-zat donon asir-e-ana

dariya ke lab par pani dasht ke lab par pyas

kyuuñ mujhe mahsūs ye hotā hai aksar raat bhar

sīna-e-shab par chamaktā hai samundar raat bhar

kyun mujhe mahsus ye hota hai aksar raat bhar

sina-e-shab par chamakta hai samundar raat bhar

maiñ jab peḌ se gir ke zamīñ ḳhaak huā

tab ik ālam-e-mauhūm samajh meñ aayā

main jab peD se gir ke zamin ki KHak hua

tab ek aalam-e-mauhum samajh mein aaya

ḳhud charāġh ab apnī lau se nālāñ hai

naqsh ye kyā ubhrā ye kaisā zavāl huā

KHud hi charagh ab apni lau se nalan hai

naqsh ye kya ubhra ye kaisa zawal hua

ye asrār hai zāhir us ke hone

manzar ho pas-manzar gahrā paanī

ye asrar hai zahir us ke hone ka

manzar ho ya pas-manzar gahra pani

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now