Sher of Mirza Azfari
ham gunahgāroñ ke kyā ḳhuun kā phīkā thā rañg
mehñdī kis vāste hāthoñ pe rachā.ī pyāre
hum gunahgaron ke kya KHun ka phika tha rang
mehndi kis waste hathon pe rachai pyare
tere mizhgāñ kī kyā karūñ tārīf
tiir ye be-kamān jaatā hai
tere mizhgan ki kya karun tarif
tir ye be-kaman jata hai
-
Tag : Teer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham farāmosh kī farāmoshī
aur tum yaad umr bhar bhūle
hum faramosh ki faramoshi
aur tum yaad umr bhar bhule
kaun kahtā hai ki tū ne hameñ haT kar maarā
dil jhapaT aañkh laḌā nazroñ se DaT kar maarā
kaun kahta hai ki tu ne hamein haT kar mara
dil jhapaT aankh laDa nazron se DaT kar mara
ham ishq tere haath se kyā kyā na dekhīñ hālateñ
dekh āb-dīda ḳhuuñ na ho ḳhūn-e-jigar paanī na kar
hum ishq tere hath se kya kya na dekhin haalaten
dekh aab-dida KHun na ho KHun-e-jigar pani na kar
-
Tag : Aab Deedah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kis zamāne kī ye dushman thī mirī
is mohabbat kā ho muñh kaalā miyāñ
kis zamane ki ye dushman thi meri
is mohabbat ka ho munh kala miyan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai musavvir shitāb ho ki abhī
us kā naqsha dhiyān meñ kuchh hai
ai musawwir shitab ho ki abhi
us ka naqsha dhiyan mein kuchh hai
ye dīvāne haiñ mahv-e-dīd dilbar
nahīñ kuchh mānte yaañ ko na vaañ ko
ye diwane hain mahw-e-did dilbar
nahin kuchh mante yan ko na wan ko
jilāo maaro durkāro bulā lo gāliyāñ de lo
karo jo chāho ham kis baat se ikrāh rakhte haiñ
jilao maro durkaro bula lo galiyan de lo
karo jo chaho hum kis baat se ikrah rakhte hain
rafū jeb-e-majnūñ huā kab ai nāseh
tū mar jā.egā us ke siite hī siite
rafu jeb-e-majnun hua kab ai naseh
tu mar jaega us ke site hi site
ham ishq tere haath se kyā kyā na dekhīñ hālateñ
dekh ab ye diida ḳhuuñ na ho ḳhūn-e-jigar paanī na kar
hum ishq tere hath se kya kya na dekhin haalaten
dekh ab ye dida KHun na ho KHun-e-jigar pani na kar
kākul nahīñ laTakte kuchh un kī chhātiyoñ par
chaukāñ se ye khilanDre geñdeñ uchhālte haiñ
kakul nahin laTakte kuchh un ki chhatiyon par
chaukan se ye khilanDre genden uchhaalte hain
bah chukā ḳhūn-e-dil aañkh tak aa pahuñchā sail
ro.e jā aur bhī ai dīda-e-tar dekheñ to
bah chuka KHun-e-dil aankh tak aa pahuncha sail
roe ja aur bhi ai dida-e-tar dekhen to
qasam mai kī mujh bin hai mere lahū kī
jo ham bin piyo to hamārā lahū hai
qasam mai ki mujh bin hai mere lahu ki
jo hum bin piyo to hamara lahu hai
dhānī juuḌe pe tire sāñvle maiñ martā huuñ
mar bhī jā.ūñ to kafan dekh ke kaahī denā
dhani juDe pe tere sanwle main marta hun
mar bhi jaun to kafan dekh ke kahi dena
jo aayā yaar to tū ho chalā ġhash ai divāne dil
isī dam tujh ko marnā thā batā kyā tujh ko dhaaḌ aa.ī
jo aaya yar to tu ho chala ghash ai diwane dil
isi dam tujh ko marna tha bata kya tujh ko dhaD aai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
taak laagī tirī duḳhtar se hamārī ai taak
aaj shab jī meñ hai ghar tere ye dāmād rahe
tak lagi teri duKHtar se hamari ai tak
aaj shab ji mein hai ghar tere ye damad rahe
osoñ ga.ī hai pyaas kahīñ dīda-e-namīñ
bujhtā hai āñsuoñ se kahāñ dil phuñkā huā
oson gai hai pyas kahin dida-e-namin
bujhta hai aansuon se kahan dil phunka hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hai jaanī tujh meñ sab ḳhūbī pa jaañ sā
tū ik dam meñ bichhaḌ jaatā hai mujh se
hai jaani tujh mein sab KHubi pa jaan sa
tu ek dam mein bichhaD jata hai mujh se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shitābī apne dīvāne ko kar band
musalsal zulf se kar yā nazar-band
shitabi apne diwane ko kar band
musalsal zulf se kar ya nazar-band
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo uThā kar yak qadam aayā na gaah
ham qalam saañ us ke, sar ke bhal ga.e
wo uTha kar yak qadam aaya na gah
hum qalam san us ke, sar ke bhal gae
be-ġhamī tark-e-alā.iq hai sadā 'azfariyā'
jis ko duniyā se ilāqa nahīñ ġhamnāk nahīñ
be-ghami tark-e-alaiq hai sada 'azfariya'
jis ko duniya se ilaqa nahin ghamnak nahin
'azfarī' ġhuncha-e-dil band aur aa.ī hai bahār
sair-e-gul ko ki ye shāyad ba-takalluf khil le
'azfari' ghuncha-e-dil band aur aai hai bahaar
sair-e-gul ko ki ye shayad ba-takalluf khil le
suunī ga.ī meñ huī yaar se muDbheḌ aaj
pūchho koī kis liye muñh pe kar ojhal gayā
suni gai mein hui yar se muDbheD aaj
puchho koi kis liye munh pe kar ojhal gaya
dil liyā tāb-o-tavāñ le chukā jaañ bhī le le
paak kar Daal bakheḌā ye sabhī jhanjhaT kā
dil liya tab-o-tawan le chuka jaan bhi le le
pak kar Dal bakheDa ye sabhi jhanjhaT ka
o atārid zuhal-e-nahis se Tuk maañg midād
baḳht kā mājrā likhtā huuñ siyāhī denā
o atarid zuhal-e-nahis se Tuk mang midad
baKHt ka majra likhta hun siyahi dena