Sher of Mohammad Ahmad Ramz
harf ko lafz na kar lafz ko iz.hār na de
koī tasvīr mukammal na banā us ke liye
harf ko lafz na kar lafz ko izhaar na de
koi taswir mukammal na bana us ke liye
-
Tag : Tasweer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum aa ga.e ho tum mujh ko zarā sambhalne do
abhī to nashsha sā āñkhoñ meñ intizār kā hai
tum aa gae ho tum mujh ko zara sambhalne do
abhi to nashsha sa aankhon mein intizar ka hai
ab ke vasl kā mausam yūñhī bechainī meñ biit gayā
us ke hoñToñ par chāhat kā phuul khilā bhī kitnī der
ab ke wasl ka mausam yunhi bechaini mein bit gaya
us ke honTon par chahat ka phul khila bhi kitni der
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
alfāz kī giraft se hai māvarā hanūz
ik baat kah gayā vo magar kitne kaam kī
alfaz ki giraft se hai mawara hanuz
ek baat kah gaya wo magar kitne kaam ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jaise ḳhalā ke pas-manzar meñ rañg rañg ke naqsh-o-nigār
bāteñ us kī vazn se ḳhālī lahja bhārī-bharkam hai
jaise KHala ke pas-manzar mein rang rang ke naqsh-o-nigar
baaten us ki wazn se KHali lahja bhaari-bharkam hai
kaun pūchhe mujh se merī gosha-gīrī kā sabab
kaun samjhe dar kabhī dīvār kar lenā mirā
kaun puchhe mujh se meri gosha-giri ka sabab
kaun samjhe dar kabhi diwar kar lena mera
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us kā tarkash ḳhālī hone vaalā hai
mere naam kā tiir hai kitne tīroñ meñ
us ka tarkash KHali hone wala hai
mere nam ka tir hai kitne tiron mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik sach kī āvāz meñ haiñ jiine ke hazār āhañg
lashkar kī kasrat pe na jaanā bai.at mat karnā
ek sach ki aawaz mein hain jine ke hazar aahang
lashkar ki kasrat pe na jaana baiat mat karna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'ramz' adhūre ḳhvāboñ kī ye ghaTtī baḌhtī chhāñv
tum se dekhī jaa.e to dekho mujh se na dekhī jaa.e
'ramz' adhure KHwabon ki ye ghaTti baDhti chhanw
tum se dekhi jae to dekho mujh se na dekhi jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aur koī duniyā hai terī jis kī khoj karūñ
zehn meñ phir ik samt bikherī rāhguzar Daalī
aur koi duniya hai teri jis ki khoj karun
zehn mein phir ek samt bikheri rahguzar Dali
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
saare imkānāt meñ raushan sirf yahī do pahlū
ek tirā ā.īna-ḳhāna ik merī hairānī
sare imkanat mein raushan sirf yahi do pahlu
ek tera aaina-KHana ek meri hairani
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download